Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi

by fayaz deshi on September 12, 2005, 01:32:56 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 895 times)
fayaz deshi
Guest
Reply with quote
Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi


Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan


Mohbbat karna koi zulm nahi,
Agar ki jaye usool se,
Khuda ko bhi muhabbat thi,
Apne rasoul se


Ashq Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain


Aisa lagta hai zindagi tum ho
Main zameen par ghana andhera hoon Aasmaanon ki chaandini tum ho


Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi
Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi
Is umar key sehra say teri yaad ka baadal
Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi


Hasi ke raste pe chala karo,
khushiyo ki mahak liya karo,
pyar se dilon ko chuha karo,
jahan tumhe gum nazar aaye,
is nacheez ko yaad kiya karo!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aaaj ek bakri ne kia hain ek sher ka shikarr ! by hero_hindustani13155555 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
aaGaaz by amber ali in Shayri for Dard -e- Judai
AaGaaz to hotaa hai by tanishk_yadav in Shayri for Dard -e- Judai
ZINDAGI MEIN APNE PAAS HO by ANKIT RAO in Other Languages
Aaaj wo kaghaz bhi khasta ho gaya........ by Syed Mohd Mahzar in Ghazals
arzoo22
Guest
«Reply #1 on: September 12, 2005, 03:13:29 PM »
Reply with quote
Welcome to yoindia Fayaz.....

nice shayrs..ek se bhar ke ek Usual Smile

keep it up
Logged
fayaz deshi
Guest
F-D
«Reply #2 on: September 13, 2005, 12:30:00 PM »
Reply with quote
thnxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx
Logged
fayaz deshi
Guest
«Reply #3 on: September 13, 2005, 12:55:49 PM »
Reply with quote
Tujhe pata kya hai mere dil mein hai teri khatir junun kitna,
Main apne bare mein ruk ke sochon nahin hai abto sukun itna,
Jita hoon magar Jita bhi nahin marta hoon magar marta bhi nahin,
Tere gam mein phana hone ke liye pita hoon mein zeher(teri judai ka) o bekhaber.


Wo mil jate hai kahani bankar...
Dil mein bas jate hai nishani bankar...
Jinhe hum rakhte hai apni aakho mein..
Kyo nikal jate hai wo pani bankar....


Samjha na koi dil ki baat ko,
Dard duniya ne bin soche he de diya....
Sah gaye jo hum agar dard ko chupke se,
To phir humko patthar dil keh diya...


Mombati ke andar ka dhaga bola,
Main jalta hoon to tu kyon pighalti hai?
Mombati boli,Jisko dil mein jagah di woh bichade ti aansoo to niklenge hi.


Chale gaye ho dur kuch pal ke liye...,
Dur rehkar bhi karib ho har pal ke liye...
Kaise yaad na aaye aapki ek pal ke liye,
Jab dil me ho aap harpal ke liye....


Jab tak humaari soch mein kuch Faasla na tha
Woh Hum sey door ho kay bhi Hum sey Juda na tha
Faasley aisey bhi hongey yeh kabhi socha na tha
Saamney baitha tha Merey aur Woh Mera na tha


Agar hum na hote to gajal kon kehata...
Aapke chehare ko kamal kon kehata...
Ye to karishma hai mohabbat ka...
Varna patthar ko TAJ-MAHAL kon kehata.......


Aasman ko neend aaye to sulayeh kahan,
Dharti ko maut aaye to dafnayein kahan.
Sagar ki lehrein aaye to chupayein kahan,
Aapki yaad aaye to jaye kahan...


Ishq sabhi ko jeena sikha deta hai,
wafa ke naam pr marna sikha deta hai,
ishq nahi kiya to karke dekho yaar har dard ko sehna sikha deta hai.


Parai duniya saza rahi hai sapne !
Sapno main ab aitbaar na raha !!
Kahne ko to sapne apne hain !
Magar sapno ko ab hum se pyar na raha !!


Nafrat thi hamse to izhar kyo kiya?
Dena tha jahar to pyar kyo kiya?
Dekar jahar kahte hain ki peena hi hoga,
aur jab pee gaye jahar to kahte hain jeena hi hoga


Humne manga tha saath unka...
wo judai ka gum de gaye...
hum yaado ke sahare jee lete..
wo bhulane ki kasam de gaye...


Tanhaiyo ne jab bhi unhe sataya hoga...
tab tab unhe mera khayaal aaya hoga...
gam ye nahi ki wo bhool gaye hume...
Gam ye hai ki ro-ro kar bhulaya hoga....


Sehmi-Sehmi nighaon mein khawab hum jaga denge,
Suni-Suni rahon pe phool hum khila denge.
Aap hamare sung muskura kar to dekho,
Aapka har gam hum chura lenge...


Aapke paas waqt nahi hume yaad karne ka,
Bewaqt hi yaad kar liya karo.
Mana aapke paas saari duniya hai,
Kabhi hamara bhi ehsaas kar liya karo...


Kash ye pal yahi ruk jate,
Tuze milane ko hum daude chale aate,
E-Khuda etna ek kaam to kiya hota,
Ek dil is bedard waqt ko bhi diya hota


Tute hue taare ko dekh kar maine kaha,
Ae dil maang le tu bhi fariyad koi...
Par dil se awaaz aayi ki jo khud toot raha kaise puri karega wo fariyad koi....


Jab kabhi aapko koi gam sataye,
Koi baat dil ko na bhaaye.
Aankhein sagar chalkayein,
Yaad karke dekhna hame...
Kya pata ek aansoo kam ho jaaye....


EK HAMARA WAQT HAI JISKA EK PAL AAPKI YAD KE BINA NAHI JATA AUR EK AAP KA WAQT HAI JISME HAMEIN YAAD KARNE WALA PAL HI NAHI AATA.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 06:45:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer