Apne Ehsas Se Cho.............

by lovebites on November 23, 2004, 01:42:35 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
ReplyPrint
Author  (Read 5733 times)
lovebites
Guest
Reply with quote
Apne ehsas se cho ker mujhe sandal ker do,
Mein Sadion se adhura hoon mujhe mukamil ker do,
Na tumhain hosh rahey or na mujhe hosh rahey,
Is kader tot k chaho,mujhe pagal ker do,
Tum apni hathali ko mere pyar ki mehndi se rungo,
Apni anhkoon mein mere naam ka kajal ker do,
Is k saye mein mere khawab dhak uthey gey,
Mere chehre pe chamakta howa anchal ker do,
Dhoop he dhoop hoom mein tot k berso mujh per,
Is kader berso meri roh mein chal thal ker do,
Jasey sehraoon mein her sham hawa chalti hai,
Is terhan mujh mein chalo or mujhe thal ker do,
Tum chupa lo mera dil,ote mein apne dil ki,
Or mujhe meri nigahoon se beh ujhal ker do,
Masla hoon tu nigahain na churaoo mujh se,
Apni chahat se tawaja se mujhe hal ker do,
Apne ghum se kaho her waqat mere saath rahay,
Ik ehsan karo is ko musalsil ker do,
Mujh pe cha jaoo kis c aag ki sorat Jana,
Or meri zaat ko sokha howa jungle ker do.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: November 23, 2004, 02:53:14 AM »
Reply with quote
bhoot khoob!!!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #2 on: November 23, 2004, 04:28:47 AM »
Reply with quote
thanks ....!!!
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #3 on: November 23, 2004, 05:10:53 AM »
Reply with quote
good lovebites.. good yaar
Logged
lovebites
Guest
«Reply #4 on: November 23, 2004, 05:29:19 AM »
Reply with quote
thanks sandeep

Apni dhun mein rehta hoon
Mein beh tere jasa hoon
O pichli rut k saathi
Ab k Bars mein tanha hoon
Teri gali main sara din
Dukh k kanker chunta hoon
Mujh se anhk milaye kon
Mein tera Aiena hoon
Tu jeevan ki bahri gali
Mein jungle ka rasta hoon
Ati rut mujhe riye gi
Jati rut ka jhonka hoon
Apni laher hai apna rokh
Daria hoon or paysa hoon
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #5 on: November 23, 2004, 07:23:43 AM »
Reply with quote
shabe-hizr mai yaad aana kisi ka,
sataye hue ko satana kisi ka....
kabhi pyar ki baaten wo chupke chupke,
kabhi naaj se rooth jaana kisi ka....
woh bholi adayen na kyon yaad aayen,
ladakpann mai tha zamana kisi ka....
najar lag gayee mere dushman ki mujhe,
kyamat hua rooth jana kisi ka....
khilayega gul rang layega, yaad rakhna dosto,
mujhe dekhkar muskurana kisi kaa...
Logged
lovebites
Guest
«Reply #6 on: November 23, 2004, 08:07:27 AM »
Reply with quote
Hasaroon dukh parey sehna mohabat mar nahi sakti,
Hai tum se bus yeh he kehna mohabt mar nahi saki,
Tera her bar mere khat ko perna or ro deyna,
Mera her bar likh deyna mohabat mar nahi sakti,
Kiya tha hum ne champus ki nadi pe ik haseen wada,
Bhaley hum ko parey marna mohabat mar nahi sakti,
Jahan mein jab talk punchi chahektey urtey pertey hain,
Hai jab tak phool ka kihlna mohabat mar nahi sakti
Puraney ahed ko jab zinda kerney ka khail aye,
Bus mujhe atna likh deyna mohabat mar nahi sakti,
Woh tera hijer ki shab phone rakhney sezara pehley,
Bohat rotey howey kehna mohabat mar nahi sakti,
Ager hum hasratoon ki kabar mein he dafan ho jain,
Tu yeh kutboon pe likh deyna mohabat mar nahi sakti,
Puraney rabtoon ko phir naye wadey ki khawaish hai,
Zara ik bar tu kehna mohabat mar nahi sakti,
Gaye lamhat fursat k kahan se dhoond laoon,
Woh peroon haathon pe likhna mohabat mar nahi sakti.
Logged
nishita
Guest
«Reply #7 on: November 23, 2004, 12:48:06 PM »
Reply with quote
wah wah wah wah
Logged
lovebites
Guest
«Reply #8 on: November 23, 2004, 12:55:55 PM »
Reply with quote
Dosti ka ek samandar
Unginat saahil wafa kay
Apnay seenay maiN chupaye
Jaanay kab say beh raha tha
Daf'atun ek mauj ubhree
MotiyoN kee shakal maiN
Dhaltay huay alfaaz, jumlay
Khood-bakhood dil say uThay
Lub tak gaye
Dil ka her ek bojh lafzoN nay uThaya
Fikr ka her lamha ek jumlay say Takraya
Bhikher ker kho gaya
Gham ka raiza raiza
Kuch baatoN ki ro maiN beh gaya
Logged
lovebites
Guest
«Reply #9 on: November 23, 2004, 01:08:00 PM »
Reply with quote
Ab jo lote ho atney saloon mein,
Dhoop utri huwi hai baloon mein,
Tum meri anhk k samender mein,
Tum meri roh k ujaloon mein,
Phool he phool khil uthey hain mujh mein,
Kon aya mere khailoon mein,
Mein ne je bahr k tujh ko dehk liya,
Tujh ko uljha k khuch sawaloon mein,
Meri khushion ki kyainat beh tu hai,
Tu he dukh dard k hawaloon mein,
Jub ter dostoon mein zikar aye
Teehes uthti hain dil k chaloon mein,
Tum se abad hai yeh tanhai,
Tum he roshan ho ghar k ujaloon mein,
Saloni sham ki tarhan hai woh,
Woh na goroon mein hain,na kaloon mein,
Kya usey yaad a raha hoon ,
Rung ubhrey hain us k galoon mein
Logged
lovebites
Guest
«Reply #10 on: November 24, 2004, 07:21:55 AM »
Reply with quote
---------!Us Maseha K Liye Ik Nazam!---------
Ajnabi!
Kabhi zinadgi mein ager tu akela ho,
Aur dard hadh se guser jaye,
Anhkain teri,
Baat be baat ro parain,
Tab koi ajnabi,
Teri tanhae k chand ka narum hala baney,
Teri qamat ka saaya baney,
Tere zakhmoon pe perhum rakhey,
Teri palkoon se shabnum chuney.....
Tere dukh ka maseha baney!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #11 on: November 24, 2004, 09:52:51 AM »
Reply with quote
wowowowowowowowowowowowowwowwowowowowo lovebites...
Logged
lovebites
Guest
«Reply #12 on: November 24, 2004, 12:07:25 PM »
Reply with quote
Dukh dard mein hamesha nikaley tumhare khat,
Or mil gi khushi tu ochaley tumhare khat,
Sub chorian tumhari samender ko sonp dein,
Or ker diye hawa k hawaley tumhare khat,
Mere laho mein goonj raha hai her ik lufz,
Mein ne ragoon k dasht mein paley tumhare khat,
Yun tu hain be-shumar wafa ki nishaniya,
Lakin her ik shae se niraley tumhare khat,
Jasey ho umer baher ka asasa tumhare khat,
Kuch is tarhan se mein ne sambahley tumhare khat,
Aehley hunir ko mujh pe Wasi atiraz hai,
Mein ne ko apne shair mein dhaley tumhare khat,
Perwa mujhe nahi hai kis c chand ki Wasi,
Zulmat k dhast mein hai ujaley tumhare khat.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #13 on: November 24, 2004, 04:14:27 PM »
Reply with quote
Quote from: "sandeepparker"
shabe-hizr mai yaad aana kisi ka,
sataye hue ko satana kisi ka....
kabhi pyar ki baaten wo chupke chupke,
kabhi naaj se rooth jaana kisi ka....
woh bholi adayen na kyon yaad aayen,
ladakpann mai tha zamana kisi ka....
najar lag gayee mere dushman ki mujhe,
kyamat hua rooth jana kisi ka....
khilayega gul rang layega, yaad rakhna dosto,
mujhe dekhkar muskurana kisi kaa...


wow wow sandeep.......... bahot khoobsurat words likha aap ne,.,,,, :D
Logged
lovebites
Guest
«Reply #14 on: November 24, 2004, 04:31:50 PM »
Reply with quote
daray-e-Gair mein kaise tujhe sadaa detey,
tuu mil bhii jaataa to tujhe ga.Nvaa detey,
tumhe ne ham ko sunaayaa na apanaa dukh veranaa,
duaa vo karate ke ham aasamaan hilaa detey,
humhain ye zom rahaa ab ke vo pukaarenge,
unhein ye zid thii ke har baar ham sadaa detey,
vo teraa Ghum thaa ke taasiir mere lehjey kii
ke jis ko haal sunaate use rulaa detey,
tumhein bhulaanaa hii awal to dastaaras mein nahe,
jo ikhtiyair bhii hotaa to kyaa bhulaa detey,
tumhaarii yaad ne koi jawaab hii na diyaa,
mere Khayaal ke ansoo rahey sadaa detey,
samatoon ko main taa-umer kosataa Syed,
vo kuch na kehate magar hoonth to hilaa detey.
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 03:59:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer