Apne Ehsas Se Cho.............

by lovebites on November 23, 2004, 01:42:35 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 5780 times)
lovebites
Guest
«Reply #30 on: November 29, 2004, 03:33:52 PM »
Reply with quote
ana ki jung main aakhir bharam qaayem bhi rakhna hai
to yuun kartey hain rasta darmayana dhondh letey hai
Logged
Nedura!
Guest
«Reply #31 on: November 29, 2004, 06:07:45 PM »
Reply with quote
Quote from: "lovebites"
Dil ki chokhat pe ik deep jala rakha hai,
Tere lote aney ka amkab saja rakha hai,

Saans tak beh nahi leytey hain tujhe sochtey waqat,
Hum ne is kaam ko beh kal pe utha rakha hai,

Roth jatey ho tu kuch or haseen lagtey ho,
Hum ne yeh soch ke he tum ko khafa rakha hai,

Tum jis se rota huwa chor gaye they ik din,
Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai,

Chain leyne nahi deyta yeh kis c tor mujhe,
Teri yadoon ne jo tofan utha rakha hai,

Jane waley ne kaha tha k woh lotey ka zaroor,
Ik is he aass pey darwasa khula rakha hai,

Tere jane se jo ik dhool uthi thi ghum ki,
Hum ne us dhool ko anhkon mein basa rakha hai,

Muhe ko kal shaam se woh bohat yaad aney laga,
Dil ne mudat se jo ik shaks bohla rakha hai,

Akhri bar jo aya tha mere naam Wasi,
Mein ne us khat ko kaleyje se laga rakha hai.


great !!!!!!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #32 on: November 29, 2004, 06:26:09 PM »
Reply with quote
Quote from: "Nedura!"
Quote from: "lovebites"
Dil ki chokhat pe ik deep jala rakha hai,
Tere lote aney ka amkab saja rakha hai,

Saans tak beh nahi leytey hain tujhe sochtey waqat,
Hum ne is kaam ko beh kal pe utha rakha hai,

Roth jatey ho tu kuch or haseen lagtey ho,
Hum ne yeh soch ke he tum ko khafa rakha hai,

Tum jis se rota huwa chor gaye they ik din,
Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai,

Chain leyne nahi deyta yeh kis c tor mujhe,
Teri yadoon ne jo tofan utha rakha hai,

Jane waley ne kaha tha k woh lotey ka zaroor,
Ik is he aass pey darwasa khula rakha hai,

Tere jane se jo ik dhool uthi thi ghum ki,
Hum ne us dhool ko anhkon mein basa rakha hai,

Muhe ko kal shaam se woh bohat yaad aney laga,
Dil ne mudat se jo ik shaks bohla rakha hai,

Akhri bar jo aya tha mere naam Wasi,
Mein ne us khat ko kaleyje se laga rakha hai.


great !!!!!!


Thankssssssss.........!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #33 on: November 29, 2004, 06:39:04 PM »
Reply with quote
Meri Ankhoon Kay SAmandar main Jalan kaisi Hai...!!
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaisi Hai ...

Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi ...
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaisi Hai ...

Baraf Kay Roop Main dhaal Jain Gay Saray Rishtay ...
Mujh say Pocho Kay Muhabbat Main Agan kaisi Hai ...

Main Teray Wisal Ki Khuwahish Ko na Marnay Doon Ga ...
Mausam-e-Hijar Kay lehjay Main Takan Kaisi Hai ...

Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kantoon Ki RiDa ...
Uss Ki Majboor Sii Ankhoon Main Kiran Kaisi hai ...

Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai ...
Usay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai .
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #34 on: November 29, 2004, 07:03:43 PM »
Reply with quote
Woww Nice Lovebites...!!!

Milan  ki  raat  mai  bhi
Biraha  ka  khof  hai

Is  pyar  ke  andhepan  me
aur  ishq  ke  pagalpan  me
Is dil  ko  haqiqat  se   bhi
Sapno  ka  sokh  hai
 Puzzled !
Logged
lovebites
Guest
«Reply #35 on: November 29, 2004, 07:21:55 PM »
Reply with quote
Quote from: "Miss Kismat"
Woww Nice Lovebites...!!!

Milan  ki  raat  mai  bhi
Biraha  ka  khof  hai

Is  pyar  ke  andhepan  me
aur  ishq  ke  pagalpan  me
Is dil  ko  haqiqat  se   bhi
Sapno  ka  sokh  hai
 Puzzled !


bohat khoob.......!

mey maqtel mey bhi muqader ka sikender nikla,
qura`e faal mere naam ka aksir nikla,

sheher walon ki mohabet ka mey qail hoon mager,
mene jis haath ko bhi chooma wo khanjer nikla.
Logged
lovebites
Guest
«Reply #36 on: December 01, 2004, 04:59:46 AM »
Reply with quote
ab vahii harf-e-junuu.N sab kii zubaa.N Thaharii hai
jo bhii chal nikalii hai vo baat kahaa.N Thaharii hai

aaj tak shaiKh ke ikaraam me.n jo shay thii haraam
ab vahii dushman-e-dii.n raahat-e-jaa.N Thaharii hai
Logged
lovebites
Guest
«Reply #37 on: December 01, 2004, 10:31:45 AM »
Reply with quote
jo khayal thay, naa qayaas thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Jo mohabaton kee asaas thay wahee,
loog mujh say bichar gayae
Jinhain mantaa hee nahin yeah dil,
wahee loog meray hain ham safar
Mujhay har tarah say joo raas thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Mujhay lamhay bhar kee rafaqaton kay saraab or sataeengay
Mairee umar bhar kee joo pyas thay
wahee loog mujh say bichar gayae
Yeah khayal saray hain aaarzeee,
yeah gulaab saaray hain kaghzi
Gul aarzu kee joo ba-as thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Jinhain kar sakaa naa qubool main,
woh shareek raah-e-safar howay
Jo meray talab, meray aas thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Meri dharkanon kay qareeb thay,
meri chah thay, mera khuwaab thay
Woh joo roz-o-shab meray paas thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Logged
lovebites
Guest
«Reply #38 on: December 02, 2004, 06:50:40 PM »
Reply with quote
-------------Pagal Larki-------------

Main jab
tanha hoti hoon
tab tu meray saath hota hai
tujhay sochti hoon
tujhay poojti hoon
main tujh say batain karti hoon
kabhee hasti hoon
kabhee roti hoon
kabhee sharma kar chehra chupati hoon
teri sunti hoon
apni kehti hoon
tujhay ghenton sochti rehti hoon
kabhee kho jaon
kabhee chonk jaon
tujhay khiyalon main takti rehti hoon
main main nahin rehti tum ho jati hoon
kabhee aik dam say
chonk kar
main aas paas daikhti hoon
phir khude hi apni halat par
holay say hass daiti hoon
tab agar koi daikhay mujh ko
iss halat main paay mujh ko
to yahi sochay
Keh
yeh kaisi pagal larki hai
Jo
sab jaan kay bhee
anjaan hai
Jo
dhund main khoy raston par
aur andheeri rahon par
ik umeed ka jugnoo thamay
jeewen ki pur khaar rahon par
lamhon kay peech-o-kham main uljhi
sanglakh haqeeqton say moonh moray
bas ik aas ki dori thamay
chalti ja rahi hai
yeh kaisi pagal larki hai
khud say bhee ghafil larki hai
abb koi unhain kaisay batay
yeh haqeeqt kaisay samjhay
Keh
iss pagal larki ka
khud say ghafil larki ka
yahi sab muqadder hai
taqdeer nain iss ki qismt main
yahi sab khail likhay hain
lakin
phir bhee
khud say uljhti larti larki
kabhee hasti kabhee roti larki
aas kay jugnoo ki
madham si lo main
umeed ki dori thamay
apnay piyar kay sahary
apnay yaqeen kay asray par
khush khush
chalti ja rahi hai
kion kay
woh janti hai
iss haqeeqet ko manti hai
Keh
yahi sab uss ka muqaddar hai
issi aas main uss ko jeena hai
zindgi ki sab talkhiyon ko
ghoont ghoont peena hai
judai ka zeher pee kay
hastay hooy jeena hai
apnay dil kay zakhmon ko
khud apnay hathon seena hai
hansi ka khude pay khol charhay
aansoon ko peena hai
apnay dil ka dard chupay
sab ko khush rakhna hai
aankhon main sunehray khwab sajaay
bas younhi chaltay jana hai
Logged
bazish
Guest
«Reply #39 on: December 02, 2004, 08:02:13 PM »
Reply with quote
Ye husn-e-raaz muhabbat chhupaa rahaa hai koii
Hai ashk aankhon mein aur muskuraa rahaa hai koii
 
Nazar nazar mein tajallii dikhaa rahaa hai koii
Nafaz nafaz pe mujhe yaad aa rahaa hai koii

TaKhayulaat ke dhoke hain sab shab-e-vaadaa
Na aa rahaa hai koii aur na jaa rahaa hai koii

Ye husn-o-ishq kii tasviir ke hain do manzar
Ki ro rahaa hai koii muskuraa rahaa hai koii

"Qadeer" hashr mein pahunche to ham ne kyaa dekhaa
Kisii ke haath se daaman chhudaa rahaa hai koii
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #40 on: December 03, 2004, 07:19:43 AM »
Reply with quote
wah!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!   Nice Work All...............
Logged
lovebites
Guest
«Reply #41 on: December 03, 2004, 12:44:22 PM »
Reply with quote
wo ek hi chehra to nahi sary jahan mai
jo dur hai wo dil se utar kyu nahi jata
mi apni hi uljhi hoi raho ka tamashai
jtey hai jidher sub mai udher kyu nahi jata
jo beet gaya hai wo guzar kyu nahi jata
be naam sa ye dard teher kyu nahi jata
wo khawab jo barso se na chehra na badan hai
wo khawab hawao mai bikher kyu nahi jata
qurbat bhi nhi dil se uter bhi nahi jata
wo shaks koi fesla kar bhi nhi jata
dil ko teri chahat pe bharosa bhi bhoot hai
aur tugh se bicher janey ka dar bhi nahi jata
hum dohari aziyat k giraftar musafir
pao bhi shal,shoq safar bhi nahi jata
pagal hoey jatey ho faraz us se miley kia
itni c khusi pe koi mar bhi nahi jata.
Logged
lovebites
Guest
«Reply #42 on: December 09, 2004, 11:39:14 AM »
Reply with quote
=====Shama=======

Yun beh ho sakta hai,
Jo shama jal rehe hai,
Uskey mom ka,
Her ik.......
Dalhta huwa karam katra,
Kis c k dil per gir raha ho...........!
Logged
Mansi_d_archi
Guest
«Reply #43 on: December 11, 2004, 12:46:09 PM »
Reply with quote
gr8 effort Lovebites!

So,how do u find time 2 write such a lenghty shayri? Shocked
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #44 on: December 11, 2004, 01:02:58 PM »
Reply with quote
itni lambi posting luvbites ji???


 Shocked


 Shocked  Shocked  Shocked  Shocked  Shocked
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:38:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer