Aseh lagta hai ke tum ho....

by Anushka on June 15, 2006, 11:13:47 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2869 times)
Anushka
Guest
Reply with quote
Khushboo si koi aye to lagta hai ke tum ho
Sheesha kahin takraye to lagta hai ke tum ho

Ehsaas-e-muhabbat se kisi goshaye dil meh
Jab chot ubhar aye to lagta hai ke tum ho

Par kaif hawa meh jo kisi pedh ke neechey
Anchal mera lehraye to lagta hai ke tum ho

Chune se kabhi bad-e-saba ke mere tan me
Ek bark si lehraye to lagta hai ke hum to

Sar rakh ke jo patthar pe kabhi rah-e-alam me
Kuch neend si aa jaye to lagta hai ke tum ho

Jab sham-e -mulaqat padhosi ke makan se
Awaz koi aye to lagta hai ke tum ho

Jab shana bhi karne na utthe haat hamara
Aur zulf sanwar jaaye to lagta hai ke tum ho..


Aseh lagta hai kay tum ho.........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
DAR LAGTA HA by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
***DAR LAGTA HAI*** by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
DaR LAgTA hAi by clicksahil in Shayri for Khumar -e- Ishq
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #1 on: June 15, 2006, 11:20:18 AM »
Reply with quote
very nice anushka ji...........

 teri julpho ko sawarne ki chahat aaj bhi mere dil main hai,
tujhe pehlo se dekhne ki hasrat aaj bhi mere dil main hai
 har waqt deta rehta hoon tere naam ko main aawaz Sanjna
 ki tere naam per marne ki aadat aaj bhi mere dil main hai.

.............@fahi@.............
Logged
Anushka
Guest
«Reply #2 on: June 15, 2006, 12:10:40 PM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
very nice anushka ji...........

 teri julpho ko sawarne ki chahat aaj bhi mere dil main hai,
tujhe pehlo se dekhne ki hasrat aaj bhi mere dil main hai
 har waqt deta rehta hoon tere naam ko main aawaz Sanjna
 ki tere naam per marne ki aadat aaj bhi mere dil main hai.

.............@fahi@.............

Shukriya PJAG..
Logged
phoenix
Guest
«Reply #3 on: June 15, 2006, 12:19:56 PM »
Reply with quote
nice anushka ji

and gud reply PJAG

raat ko sard hawa mere kadmo ko chu gayi to laga tumho
subah uthte hi oos ki bund ne chehre ko mehkaya to laga tum ho
sunsan si barsaat ki raat ko ek sada si gunj uthi kaano me to laga tum ho
mere khwaboon me ek parchai si ubhar aayi to dil ne kaha tum ho
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: June 15, 2006, 01:10:36 PM »
Reply with quote
bahut khub Anu,Nitiesh and... ups sorry ........ :oops: PJAG ji.............

aankho ke akas mein ek chahara har dam mujhe bulata hai
deta hai koi pyaar se awaz aur sote se mujhe jaga jaata hai

dekhti hun khawabo mein usko pyaar karte hue
chumata hai lab mere aur hole se jaga jaata hai

uske agaosh mein samaane ko bas dil mera machal jaata hai
kahi woh tum toh nahi ho ,apna naam toh woh tum  sa hi batata hai
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #5 on: June 15, 2006, 01:21:01 PM »
Reply with quote
nice 1 ranjana ji.............rwg?

   aankhon ke tassavvur main aitbaar unka hai
    hontho per jafa-e-gum se inkaar unka hai
    jod rahe hai naam apna woh  kisi aur se
    per mere naam ko aaj bhi intzaar unka hai

.............@fahi@.................

Quote from: "ranjana"
bahut khub Anu,Nitiesh and RWG ji.............

aankho ke akas mein ek chahara har dam mujhe bulata hai
deta hai koi pyaar se awaz aur sote se mujhe jaga jaata hai

dekhti hun khawabo mein usko pyaar karte hue
chumata hai lab mere aur hole se jaga jaata hai

uske agaosh mein samaane ko bas dil mera machal jaata hai
kahi woh tum toh nahi ho ,apna naam toh woh sa hi batata hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: June 15, 2006, 02:32:52 PM »
Reply with quote
VERY NICE PJAG....... :D

lab mere kahmosh hai,par nigaahe toh sab bolti hai
yah nazar bhi kya cheega hai sab dil ke raaz kholti hai

pehle gujarati nahi thee jindagi yun bhi unke bagair
aaj toh mere lafajo ki jubaan bhi naam sirf unka hi bolti hai

dekha jo aaena hamne ,toh hans ke woh bola
aaj toh tere chehare ki rangat bhi  unke kahlyo se dolti hai
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #7 on: June 15, 2006, 02:47:47 PM »
Reply with quote
dil dega tanhayi main aawaz tere naam ko
jubaan  degi falak per parwaaz tere naam ko

 meri sab nishaaniya bankar khadi hongi aks mera
 phir itra kar  dikhayengi naaz tere naam ko

 mere ishq-e-junoon kar dega khudayi ko bhi kayal
 ki jhuk kar karega salaam  TAAJ tere naam ko

..............@fahi@.............
Logged
Anushka
Guest
«Reply #8 on: June 15, 2006, 11:07:06 PM »
Reply with quote
Quote from: "phoenix"
nice anushka ji

and gud reply PJAG

raat ko sard hawa mere kadmo ko chu gayi to laga tumho
subah uthte hi oos ki bund ne chehre ko mehkaya to laga tum ho
sunsan si barsaat ki raat ko ek sada si gunj uthi kaano me to laga tum ho
mere khwaboon me ek parchai si ubhar aayi to dil ne kaha tum ho

Thx Phoenix
Logged
Anushka
Guest
«Reply #9 on: June 15, 2006, 11:09:09 PM »
Reply with quote
Thank you Ranjana N PJAG bahut sunder likha hai  kya baat hai....  :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: June 16, 2006, 02:41:40 AM »
Reply with quote
shukriya ANU........

jab se unse nigaahe.n meri ulajh gayi
meri jindagi ki raahe.n bhi ab  badal gayi
sochta hai mera dil ki ab kya hoga
jab se unki tasveer aankho mein mere bas gayi
Logged
Anushka
Guest
«Reply #11 on: June 16, 2006, 05:01:51 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
shukriya ANU........

jab se unse nigaahe.n meri ulajh gayi
meri jindagi ki raahe.n bhi ab  badal gayi
sochta hai mera dil ki ab kya hoga
jab se unki tasveer aankho mein mere bas gayi


Thx Ranjana.. very beautiful indeed!

Tehri  tehri si hui hai zindagi meri ..
jab sey tesveer  teri ankho meh besi
Rukhi rukhi si hai yea zindagi aur veraan yeh raastay
Dekti hu kay aaj bhi kuch nehi badla...

Na yeh neela aasmaan, na yeh gaggan
Falak bhi wohi hai aur sitaray bhi...
aseh hamari beqarari bhi na badli...

Raahay aaj bhi tumhay pukarti hai
Manzil ke rastay mein yeh morr aaj bhi sadayain dete hain
Mera aaj bhi wohi hal hai jo mera kal thaa..
Zindagi ke yeh lamhay aaj bhi waheen khaRay hain
Kay jab bi koi hawa chelay.... aur kisi ki ahatt aye...
Aseh Lagta hai keh Tum Ho....
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #12 on: June 16, 2006, 05:06:47 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Ranju and Anu!!!!
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #13 on: June 16, 2006, 05:23:57 AM »
Reply with quote
nice 1 anushka ji................

    aankhon main behte yaadon ke karvan main
     tujhe maine mehsoos kiya sansoo ki hawa main.

.............@fahi@.............
   
     

Quote from: "Anushka"
Quote from: "ranjana"
shukriya ANU........

jab se unse nigaahe.n meri ulajh gayi
meri jindagi ki raahe.n bhi ab  badal gayi
sochta hai mera dil ki ab kya hoga
jab se unki tasveer aankho mein mere bas gayi


Thx Ranjana.. very beautiful indeed!

Tehri  tehri si hui hai zindagi meri ..
jab sey tesveer  teri ankho meh besi
Rukhi rukhi si hai yea zindagi aur veraan yeh raastay
Dekti hu kay aaj bhi kuch nehi badla...

Na yeh neela aasmaan, na yeh gaggan
Falak bhi wohi hai aur sitaray bhi...
aseh hamari beqarari bhi na badli...

Raahain aaj bhi tumhay pukarti hai
Manzil ke rastay mein yeh morr aaj bhi sadayain dete hain
Mera aaj bhi wohi hal hai jo mera kal thaa..
Zindagi ke yeh lamhay aaj bhi waheen khaRay hain
Kay jab bi koi hawa chelay.... aur kisi ki ahatt aye...
Aseh Lagta hai keh Tum Ho....
Logged
Anushka
Guest
«Reply #14 on: June 16, 2006, 07:01:32 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pankhuri2"
bahoot khoob Ranju and Anu!!!!


Bahut shukriya Pankuri... aur PJAG..
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 01:24:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer