<>*Baarish*<>

by *KasaK*....Dil Ki on August 08, 2010, 01:32:00 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 4784 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
Reply with quote
<>*Baarish*<>

Iss  barish me bheegne ko taras gaye hum
Teri  baahon ki garmahat ko tadap gaye hum

Jab  seh na sake iss pyaase dil ki bechaini
Iss tanha raat mein khud mein simatkar so gaye hum

Khamosh raatein yun hi beet gai hain kai
Ab to koi kehne sunne wala bhi nahin

Main to ab ho chuki hun sada ko maun
Ab to ye dil bhi kuch hum se kehta nahin

Kaash k ye barsatein fir se aa jati.n
Main tum me fir iss kadar kho jati

Bunti rehti hun main unn lamhon ki chaadar
Jis me tere jism ki mehak fir sama jati

Aaj fir yunhi so jaungi tanha akeli
Aaj fir ye rukhi ankahi bojhal raat dhul jayegi

Kaash aa jaye tu fir kahin se ek baar
Aur mujhe seene se lagake ye kehde

“Aaj hume iss barsaat mein bheeg jane de
Aaj hamare pyaar ko jeet jane de..!!”
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
baarish by yammy in Shayri for Khumar -e- Ishq
Baarish......................... by khoobsurat_subah in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
BAARISH(nm) by myloveosho in Shayri for Dard -e- Judai
Baarish by Brijinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
Baarish by Brijinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
Matrix Guy
Guest
«Reply #1 on: August 08, 2010, 01:42:35 PM »
Reply with quote
Wowwwwwwwwwwwwww...............

Barish Ke Is Mousam Me Esi Poetry.........

Yaha Hum Bethe Bethe Bhig Gaye.........

So Romantic Feel With Some Beautiful Desires......

Kasak Ki .........Ab Apki Tarif Ke Liye Words Nahi He Hamare Paas Maaf Karna.........Apki Is Barish Ne Hume Sar Se Paav Tak Bhigo Kar Rakh Diya......

Few Lines From My Side.....

In Bundo Ko Tan Man Ko Bhigo Jane De
Aaj Jo Hota He Tu Bas Ho Jane De

Ye Mousam Ki Aarzo He Ki Har Diwana Jhum Jaye
Is Diwane Pan Me Kuch Khata Mujse Bhi Ho Jane De

Na Karna Eetraaj Jo Hum Bhar Le Tuje Apni Baho Me
Tere Bhige Aacnhcal Me Kuch Pal Hume So Jane De

Thak Gaya Hu Zindagi Ke Safar Me Chalte Chalte
Gira Bunde Apne Labo Se Ki Hume Dil Tak Tar Ho Jane De
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: August 08, 2010, 02:14:17 PM »
Reply with quote
Uffff ye shabdon ka sajaana aapka aur ehsaason ko in shabdon ki maala me pirona .. kya batayein.. kya taarif karein... hum to bas nishabd ho gaye.... bahut khoobsurti se aapne ehsaason ko pesh kiya hai... bahut khoob Kasak ji.. bahut bahut khoob....!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause


aaj bhi barsaat ki har boond se mujhe teri mehek aati hai,
ye gili barsaatein mujhe aaj bhi bas teri yaad dilaati hai,

bheege huye patton ko dekh main aaj bhi yun saham jata hoon,
par zamaane ki zaalim rasmo k baare me dil ko samjhaata hoon,

wo rut ab na aayegi wapas jisme hum saath bheega karte the,
koi aur mil jaayegi ye bol main apne dil ko behlaata hoon,

ye barsaatein aaj sirf meri hain ya sirf teri hain,
ye hamaari nahi ho sakti ye khud ko batlaata hoon,

ye tanha baarish ki boondein, aur bas meri tanhaayi hai,
aaj apni tanhaayion se hi main apna dil behlaata hoon....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: August 08, 2010, 02:16:07 PM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Matrix ji ... bahut achcha likha hai aapne...!!!


Few Lines From My Side.....

In Bundo Ko Tan Man Ko Bhigo Jane De
Aaj Jo Hota He Tu Bas Ho Jane De

Ye Mousam Ki Aarzo He Ki Har Diwana Jhum Jaye
Is Diwane Pan Me Kuch Khata Mujse Bhi Ho Jane De

Na Karna Eetraaj Jo Hum Bhar Le Tuje Apni Baho Me
Tere Bhige Aacnhcal Me Kuch Pal Hume So Jane De

Thak Gaya Hu Zindagi Ke Safar Me Chalte Chalte
Gira Bunde Apne Labo Se Ki Hume Dil Tak Tar Ho Jane De

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #4 on: August 08, 2010, 03:01:26 PM »
Reply with quote
Superb........Kasak-di....ati sunder bhaav.....aur shabdo me pirone ki kala.......maan gaye di aapko.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Yu tou jamkar barse megha pure Gujraat me
Tum kyu bhigne ko tarse es bhari barsaat me

Aaye naa kyu tere piya  pardesh se es saawan me
Sakhee kya jagee nahi ye pyaas unke b mann me




<>*Baarish*<>

Iss  barish me bheegne ko taras gaye hum
Teri  baahon ki garmahat ko tadap gaye hum

Jab  seh na sake iss pyaase dil ki bechaini
Iss tanha raat mein khud mein simatkar so gaye hum

Khamosh raatein yun hi beet gai hain kai
Ab to koi kehne sunne wala bhi nahin

Main to ab ho chuki hun sada ko maun
Ab to ye dil bhi kuch hum se kehta nahin

Kaash k ye barsatein fir se aa jati.n
Main tum me fir iss kadar kho jati

Bunti rehti hun main unn lamhon ki chaadar
Jis me tere jism ki mehak fir sama jati

Aaj fir yunhi so jaungi tanha akeli
Aaj fir ye rukhi ankahi bojhal raat dhul jayegi

Kaash aa jaye tu fir kahin se ek baar
Aur mujhe seene se lagake ye kehde

“Aaj hume iss barsaat mein bheeg jane de
Aaj hamare pyaar ko jeet jane de..!!”
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #5 on: August 08, 2010, 03:14:32 PM »
Reply with quote
Superb........Kasak-di....ati sunder bhaav.....aur shabdo me pirone ki kala.......maan gaye di aapko.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Yu tou jamkar barse megha pure Gujraat me
Tum kyu bhigne ko tarse es bhari barsaat me

Aaye naa kyu tere piya  pardesh se es saawan me
Sakhee kya jagee nahi ye pyaas unke b mann me




bht pyara likha hai koyal tumne...and thnx tumne pasand kiya

jagi ye pyaas mere piyaji k man me
par bairan naukri aa gai jewan me

kat diya durr usne piya ji ko mujhse
le gai wo durr kahin pardes me....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #6 on: August 08, 2010, 03:23:43 PM »
Reply with quote
Wowwwwwwwwwwwwww...............

Barish Ke Is Mousam Me Esi Poetry.........

Yaha Hum Bethe Bethe Bhig Gaye.........

So Romantic Feel With Some Beautiful Desires......

Kasak Ki .........Ab Apki Tarif Ke Liye Words Nahi He Hamare Paas Maaf Karna.........Apki Is Barish Ne Hume Sar Se Paav Tak Bhigo Kar Rakh Diya......

Few Lines From My Side.....

In Bundo Ko Tan Man Ko Bhigo Jane De
Aaj Jo Hota He Tu Bas Ho Jane De

Ye Mousam Ki Aarzo He Ki Har Diwana Jhum Jaye
Is Diwane Pan Me Kuch Khata Mujse Bhi Ho Jane De

Na Karna Eetraaj Jo Hum Bhar Le Tuje Apni Baho Me
Tere Bhige Aacnhcal Me Kuch Pal Hume So Jane De

Thak Gaya Hu Zindagi Ke Safar Me Chalte Chalte
Gira Bunde Apne Labo Se Ki Hume Dil Tak Tar Ho Jane De


ufffffffffff.......MG ji.....kya likha hai...romantic mausam me itna romantic reply....wooooo

maza aagaya......
lijiye kuch shararat hum bhi kar lete hain ....

Aaj iss baarish me hume bheeg jane de
Aaja paas hamare hume tujhme duub jane de

Taiirte rahen hum teri bheegi saanson ki lehron par
Aaj iss tarah hume khud se lipat jane de

Ye madhoshi ka aalam ye thandi bheegi hawa
Aaj hoke bekaabu mujhe khudme kho jane de

Aaja lele hume baahon me aur jhuum jaa sanam
Mere bheege labon se ye jaltarang beh jane de….
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: August 08, 2010, 03:30:10 PM »
Reply with quote
Uffff ye shabdon ka sajaana aapka aur ehsaason ko in shabdon ki maala me pirona .. kya batayein.. kya taarif karein... hum to bas nishabd ho gaye.... bahut khoobsurti se aapne ehsaason ko pesh kiya hai... bahut khoob Kasak ji.. bahut bahut khoob....!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause


aaj bhi barsaat ki har boond se mujhe teri mehek aati hai,
ye gili barsaatein mujhe aaj bhi bas teri yaad dilaati hai,

bheege huye patton ko dekh main aaj bhi yun saham jata hoon,
par zamaane ki zaalim rasmo k baare me dil ko samjhaata hoon,

wo rut ab na aayegi wapas jisme hum saath bheega karte the,
koi aur mil jaayegi ye bol main apne dil ko behlaata hoon,

ye barsaatein aaj sirf meri hain ya sirf teri hain,
ye hamaari nahi ho sakti ye khud ko batlaata hoon,

ye tanha baarish ki boondein, aur bas meri tanhaayi hai,
aaj apni tanhaayion se hi main apna dil behlaata hoon....

klaskar ji ab kya kahun main...sach aapke replies....ufffff...
wakai dil ko chhu gaye aapki feelings....and words....
kuch kaha hai ..suniye....

Aaj bhi barsaat hai aur main tumse durr hun
Dil ki betaabi aaj fir apne junnun pe hai

Kuch to hai in barasti boondon me jarur
Jo teri kami ka ehsaas aaj fir pure josh me hai

Nahin samjha paa rahi hun khudko main sanam
Tu nahin mere paas hai to sirf meri tanhai hai

Bijli chamki to dar k sahaem gai hun main aaj bhi
Lekin teri baahein nahin mujhe thaamne ko hain

Sirf ehsaas reh gaya hai tera aur kuch bheegi yaadein k
Tere badan ki khushbu aaj bhi mere rom rom me hai

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #8 on: August 08, 2010, 04:10:55 PM »
Reply with quote
<>*Baarish*<>

Iss  barish me bheegne ko taras gaye hum
Teri  baahon ki garmahat ko tadap gaye hum

Jab  seh na sake iss pyaase dil ki bechaini
Iss tanha raat mein khud mein simatkar so gaye hum

Khamosh raatein yun hi beet gai hain kai
Ab to koi kehne sunne wala bhi nahin

Main to ab ho chuki hun sada ko maun
Ab to ye dil bhi kuch hum se kehta nahin

Kaash k ye barsatein fir se aa jati.n
Main tum me fir iss kadar kho jati

Bunti rehti hun main unn lamhon ki chaadar
Jis me tere jism ki mehak fir sama jati

Aaj fir yunhi so jaungi tanha akeli
Aaj fir ye rukhi ankahi bojhal raat dhul jayegi

Kaash aa jaye tu fir kahin se ek baar
Aur mujhe seene se lagake ye kehde

“Aaj hume iss barsaat mein bheeg jane de
Aaj hamare pyaar ko jeet jane de..!!”

Good one Kasak Ji
Logged
smardia
Guest
«Reply #9 on: August 08, 2010, 04:47:44 PM »
Reply with quote
Bahut khoobsoorat ehsaas Anamikaji......
Mann me oothti umang aur tadaph ka....
Behadd sunder chitran...Daad kabool farmaaiye....... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

TAN-BADAN ME MERE AAG LAGA GAYEE YE BAIRAN BAARISH
MANN ME ANGIN ARMAAN JAGAA GAYEE YE BAIRAN BAARISH

UMANGO KI HILLOR MACHA GAYEE YE BAIRAN BAARISH
PYAAR KI LEHAR LEHRAA GAYEE HE YE BAIRAN BAARISH

BANDISHEN LAKHON JAMAANE NE BANA DI DARMAYAN HAMAARE
PUCHHO DIL SE MERE AB BHI HAIN SANAM HUM KEWAL TUMHAARE

TERI JUDAAYEE MAIN BARASTEE HAIN UMAD-GHUMAD KAR YE AANKHEN
ISS BAARISH ME SANG TERE BHEEGNE KO TARAS GAYEE HE MERI SAASEYEN....

<>*Baarish*<>

Iss  barish me bheegne ko taras gaye hum
Teri  baahon ki garmahat ko tadap gaye hum

Jab  seh na sake iss pyaase dil ki bechaini
Iss tanha raat mein khud mein simatkar so gaye hum

Khamosh raatein yun hi beet gai hain kai
Ab to koi kehne sunne wala bhi nahin

Main to ab ho chuki hun sada ko maun
Ab to ye dil bhi kuch hum se kehta nahin

Kaash k ye barsatein fir se aa jati.n
Main tum me fir iss kadar kho jati

Bunti rehti hun main unn lamhon ki chaadar
Jis me tere jism ki mehak fir sama jati

Aaj fir yunhi so jaungi tanha akeli
Aaj fir ye rukhi ankahi bojhal raat dhul jayegi

Kaash aa jaye tu fir kahin se ek baar
Aur mujhe seene se lagake ye kehde

“Aaj hume iss barsaat mein bheeg jane de
Aaj hamare pyaar ko jeet jane de..!!”
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #10 on: August 08, 2010, 05:20:18 PM »
Reply with quote
Bahut khoobsoorat ehsaas Anamikaji......
Mann me oothti umang aur tadaph ka....
Behadd sunder chitran...Daad kabool farmaaiye....... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

TAN-BADAN ME MERE AAG LAGA GAYEE YE BAIRAN BAARISH
MANN ME ANGIN ARMAAN JAGAA GAYEE YE BAIRAN BAARISH

UMANGO KI HILLOR MACHA GAYEE YE BAIRAN BAARISH
PYAAR KI LEHAR LEHRAA GAYEE HE YE BAIRAN BAARISH

BANDISHEN LAKHON JAMAANE NE BANA DI DARMAYAN HAMAARE
PUCHHO DIL SE MERE AB BHI HAIN SANAM HUM KEWAL TUMHAARE

TERI JUDAAYEE MAIN BARASTEE HAIN UMAD-GHUMAD KAR YE AANKHEN
ISS BAARISH ME SANG TERE BHEEGNE KO TARAS GAYEE HE MERI SAASEYEN....


waahhhhhh......kya khub likha hai surendra ji.....sach me bht hi mastam....

dil me hilloare lene lage armaan kai
ab to raha na jaye humse kahin

aajao aake mil jao bas ek baar sanam
tere bina kat ti ab ye raatein nahin

aaja bheeg jayen yun simat kar ik duje me
k rah jaye hamare bich koi duurie nahin.....
Logged
smardia
Guest
«Reply #11 on: August 08, 2010, 05:46:29 PM »
Reply with quote
Aapke shabdo me uffffffffffff....bahut romantic mood me hain aap.....

Padh k tera ye khat jaane-mann
Jee karta hai abhee ud k aa jaaun

Tan-mann me mere oothti in tarango ko
Ek-mek kar du tere dil ki ushalti hilloro se

Mann se mann ka milan ho jaaye
Janam-janam ki pyaas bujh jaaye

Aa raha hu bheegne-bheegone
Tere PREM RAS ME DOOBNE......

Mitt jaayengee sab duriyein
Iss baarish me bheegenge jab hum ho k ek......


waahhhhhh......kya khub likha hai surendra ji.....sach me bht hi mastam....

dil me hilloare lene lage armaan kai
ab to raha na jaye humse kahin

aajao aake mil jao bas ek baar sanam
tere bina kat ti ab ye raatein nahin

aaja bheeg jayen yun simat kar ik duje me
k rah jaye hamare bich koi duurie nahin.....



Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: August 09, 2010, 04:29:03 AM »
Reply with quote
hmmmmmm.... bahut bahut shukriya Kasak ji... sach aapke bhi jawaab ka jawaab nahi.... chaliye hum thodi si chot karte hain aapke dil pe... pata nahi kyun ye khayal aaya hamare dil me aur yunhi likhte chale gaye....


yun apni mohabbat ko tum aaj badnaam na karo,
kisi aur ki ho ke tum ab aisa kaam na karo,

zamaane ko to bas mauka chahiye hasi udaane ka,
tum apni izzat ko yun sare aam neelam na karo,

hamaara milan mumkin nahi ye tumhe bhi hai pata,
bewajah tum mere kareeb aane ki koshish na karo,

ab tumhaari zindagi sirf tumhaari nahi rahi,
tum yun kisi aur ki zindagi kharaab na karo,

chahta hai wo bhi tumhe apni jaan se badhkar,
tum uski mohabbat ko mere liye ruswa na karo,

ab uske sang kai aur rishte jud gaye hain tumse,
tum un rishton ko aaj yun qurbaan na karo,

bhool jao tum ki kabhi mile bhi the hum tum,
tum un barsaat ke dino ko ab yaad na karo...


klaskar ji ab kya kahun main...sach aapke replies....ufffff...
wakai dil ko chhu gaye aapki feelings....and words....
kuch kaha hai ..suniye....

Aaj bhi barsaat hai aur main tumse durr hun
Dil ki betaabi aaj fir apne junnun pe hai

Kuch to hai in barasti boondon me jarur
Jo teri kami ka ehsaas aaj fir pure josh me hai

Nahin samjha paa rahi hun khudko main sanam
Tu nahin mere paas hai to sirf meri tanhai hai

Bijli chamki to dar k sahaem gai hun main aaj bhi
Lekin teri baahein nahin mujhe thaamne ko hain

Sirf ehsaas reh gaya hai tera aur kuch bheegi yaadein k
Tere badan ki khushbu aaj bhi mere rom rom me hai

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #13 on: August 09, 2010, 04:31:32 AM »
Reply with quote
bht khubb likha hai klaskar ji... icon_scratch :-?wakai me dil me ek soch jaga di iss aapke kalaam ne... Applause Applause Applause Applause Applause


aaj ye kehke tumne mujhe mere pyaar ka ruup dikhaya hai sad10
sach kehti hun mujhe aaj tune aaina dikhaya hai

main to ab tak sirf tumhari yaadon me jiti rahi
uss devta samaan insaan ka maine bht dil dukhaya hai

haan mujhe khud se jyada wo pyaar karta hai
mere liye har khushi taiyaar rakhta hai

main hi na samjh pai kabhi uske pyaar ko
tarasti rahi bas tere ek deedaar ko

aaj lekin jab ye sach jaana tumse maine jana hai
apne hi chehre pe kai dag hain maine pehchana hai

ab se main hun sirf unki ye khati hun kasam
mere liye ab se tu sirf ek ajnabee deewana hai...!!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: August 09, 2010, 05:05:08 AM »
Reply with quote
shukriya ji...kavitaayein to bas soch pe hi zinda hain... sach inka to aadhaar hi soch hai sirf soch... bahut achcha likha hai aapne... bahut hi achcha...!!!

kabhi tum ab mere milne ki fariyaad na karna,
bhoole se bhi ab tum is deewane ko yaad na karna,

asaan nahi hota kisi ki chahat ko yun mitaana dil se,
par us chahat ke chalte apne aaj to tum barbaad nahi karna,

haan wo aashiq aur honge jo apne swaarth ke khaatir jeete hain,
tum kabhi unki tarha apni duwaon me mujhe maanga nahi karna,

khush raho tum apne naye saathi ke saath naye jeewan me,
kabhi bhoole se bhi tum uski chahat ko badnaam nahi karna...
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:22:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer