<>*Baarish*<>

by *KasaK*....Dil Ki on August 08, 2010, 01:32:00 PM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 4812 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #15 on: August 09, 2010, 05:16:52 AM »
Reply with quote
ji klaskar ji jaisi aapki marzi....
ye soch hi hume likhne ki prerna deti hai..aur jahan se ye guzar rahi hai bht kuch hai jo keh sakte hain...

tum mujhe keh rahe ho tumhe bhul jaun
kabhi tumko khuda se na chaahun

lekin yehi baat tum bhi ab se yaad rakhna
meri yaad me na tum khoye rehna

dhundh lena koi mujhse achchi sangini
aur uske saath apna jeewan beeta lena

kho jana ab tum kisi aur k pyaar me aur
khushiyon ka ek sunhera sansaar basa lena...!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
baarish by yammy in Shayri for Khumar -e- Ishq
Baarish......................... by khoobsurat_subah in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
BAARISH(nm) by myloveosho in Shayri for Dard -e- Judai
Baarish by Brijinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
Baarish by Brijinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #16 on: August 09, 2010, 05:42:16 AM »
Reply with quote
Bilkul sahi kahaa aapne... par kya itna asaan hota hai mohabbat karke kisi ko bhula dena ... mujhe to nahi lagta ...aap kya kehti hain...

tumhaari yaadon ko shaayad jald na bhulenge,
vaada to nahi kar sakte par koshish jaroor karenge,

aasaan na hoga kisi aur se ab fir se mohabbat kar paana,
har chehre me tumhe na dhundne ki koshish jaroor karenge,

khushiyan to meri tumse thi, muskaan meri tum hi thi,
apni muskaan ka naam badalne ki koshish jaroor karenge...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #17 on: August 09, 2010, 05:47:00 AM »
Reply with quote
sahi kaha aapne bht mushkil hai ye karna k apne pyaar ki jagah koi aur aake rahe dil me......fir humse ye kyun kaha aapne...kahiye..

jante ho tum bhi ye k ye mumkin nahin
tumhe bhul unko gale lagana ab mujhse hoga nahin

lekin keh gaye tum ye itni badi baat humse
jaise hum chalti firti machine hain koi insaan nahin

kaise hum unhe apna sab kuch maan lein
ye koi bhi kyun humare dil ko samjhata nahin

nahin saha jata humse unka chhuna hume
k unke chehre me tera chehra hume nazar aata nahin...!!!
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #18 on: August 09, 2010, 06:02:38 AM »
Reply with quote
Bada rochak hai Kapil-Kasak ye ulhaano ka aadaan pradaan..... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kya kahu is bante bigadte rishte ko
K ye baarish k baadalo sa mausami hai

Ya ye koi udhahran adhbhut tyag ka hai
Ya keh du ye rishta ek pavitra rishta hai.....

Yu badalte ho tum dono apni bhaavnayon ko
Jaise ye pyaar nahi koi fashion ka manch hai

Kyu kar rahe ho pyaar ki paribhashaa ko badnaam
Hai bhi koi an-ban tou,mat chhedo rehne do usse gumnaam
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #19 on: August 09, 2010, 06:17:29 AM »
Reply with quote
Wah bahot khoob likha hai Kasak ji. Ek achhi poem ke liye daad hazir hai.
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #20 on: August 09, 2010, 06:20:46 AM »
Reply with quote
ye to badi ajeeb baat keh di tumne sakhee
iss rishte ki neenv to tumne hi rakhi

aur ab tumhi isse fer rahi ho muhh
kum se kum tum to hume samjhti

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #21 on: August 09, 2010, 06:31:39 AM »
Reply with quote
shukriya Koyal ji.... achcha lagaa jaanke ki aapko hamari ye kahaani rochak lagi...!!!

Bada rochak hai Kapil-Kasak ye ulhaano ka aadaan pradaan..... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kya kahu is bante bigadte rishte ko
K ye baarish k baadalo sa mausami hai

Ya ye koi udhahran adhbhut tyag ka hai
Ya keh du ye rishta ek pavitra rishta hai.....

Yu badalte ho tum dono apni bhaavnayon ko
Jaise ye pyaar nahi koi fashion ka manch hai

Kyu kar rahe ho pyaar ki paribhashaa ko badnaam
Hai bhi koi an-ban tou,mat chhedo rehne do usse gumnaam

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #22 on: August 09, 2010, 07:28:01 AM »
Reply with quote
Kasak ji... baat to aap ekdum sahi keh rahi hain... par kabhi kabhi kuch yun rishton me bandh jaate hain hum ki kya sahi kay galat kuch samajh hi nahi aata... aur isi wajah se sabki khushiyaan paani me mil jaati hain... bahut hi badi samasya hai ye bhi.... aur iska saamna karna bahut hi mushkil...

badi mushkil me hai aaj do jaan,
ek tumhaari jaan, ek hamaari haan,

samajh me kuch aata nahi ki kya karein hum,
aisi mushkil hai ise ab kaise suljhaayein hum,

pehle meri har mushkil tum yun chutiyon me suljha deti thi,
aaj kaise suljhaoge hum dono ki ye pareshaani meri jaan,

na tum mujhe bhool paati ho, na hi main tumhe bhula paata hoon,
keh to nahi sakta par aaj bhi main dil se bas tumhe chahta hoon,

rok rakha hai mujhe tumhaare badnaami ke khayaal ne,
yahi wajaah hai ki aaj main tumhaare kareeb nahi aata hoon,

zinda hoon main, par meri saanse kuch yun ruk si gayi hain,
apne in ruki hui saanson se hi main apne dhadkano ko sambhaalta hoon,

kya karein, kya na karein kuch samajh nahi aata,
sach kahun to jaana main bahut mushkil me hoon...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #23 on: August 09, 2010, 07:53:30 AM »
Reply with quote
hmmmm .....

iss mushkil me to main bhi hun
tere bina jii main nahin sakti hun

lekin ye kaisi majburi hai meri sanam
k tujhe dekh bhi nahin sakti hun

ho gai hun parai duniya ki nazar me
fir bhi tere hi naam ki maala main japti hun

kaise suljhaun main iss uljhan ko
har pal bas yehi sochti rehti hun

kabhi jab ulajh jati hun teri yaadon me jaal me
sab chhod k aajaun tere pas ye soch leti hun

lekin fir rok leta hai maathe pe laga sindurr unke naam ka
aur khud k armaanon ko apne hathon hi main kuchal deti hun...!!!
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #24 on: August 09, 2010, 08:02:57 AM »
Reply with quote
Didi ye ajeeb baat nahi,ajeeb he wo
Bahoot darpok hai,majnoo tera he jo

Kabhee kuchh kehta hai kabhee kuchh
Dekh ab kehta he mushkil me hu main

Bahaana badnaamee ka banaa kar ke wo
Behna Kewal bharmaa raha he tujhe wo

Aagaah kar rahi hu tujhe pyaari didi
Fayda uthaa raha tere bholepan ka wo



ye to badi ajeeb baat keh di tumne sakhee
iss rishte ki neenv to tumne hi rakhi

aur ab tumhi isse fer rahi ho muhh
kum se kum tum to hume samjhti

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #25 on: August 09, 2010, 08:06:17 AM »
Reply with quote
janti hun main ye pyari behna
fusla raha hai mujhe baaton me apne

par main bhi kya karun behna
majbur hun main dil k hathon apne

ye nahin samjhne deta koi teri bat
karta hai ye unse beintehaa pyaar
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #26 on: August 09, 2010, 08:06:31 AM »
Reply with quote
Wow.. Kya khoob sama banda hua hai... I love rain.. aur barish ki uss undekhi khushi ko uss bechani ko sabne bahoot bahoot Khoob bayan kiya hai.... Hats off guys

Bahoot khoob Klaskar ji, matrix, Smardia and kasak dil ki .. Good job everyone !
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #27 on: August 09, 2010, 08:42:07 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Divya ji...!!!

Wow.. Kya khoob sama banda hua hai... I love rain.. aur barish ki uss undekhi khushi ko uss bechani ko sabne bahoot bahoot Khoob bayan kiya hai.... Hats off guys

Bahoot khoob Klaskar ji, matrix, Smardia and kasak dil ki .. Good job everyone !
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #28 on: August 09, 2010, 08:42:35 AM »
Reply with quote
fir aag laga rahi hain mohtarma...!!!

Didi ye ajeeb baat nahi,ajeeb he wo
Bahoot darpok hai,majnoo tera he jo

Kabhee kuchh kehta hai kabhee kuchh
Dekh ab kehta he mushkil me hu main

Bahaana badnaamee ka banaa kar ke wo
Behna Kewal bharmaa raha he tujhe wo

Aagaah kar rahi hu tujhe pyaari didi
Fayda uthaa raha tere bholepan ka wo



Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #29 on: August 09, 2010, 08:43:53 AM »
Reply with quote


ye duniya ki reet hi niraali hai,
jise jo chahiye use wo nahi mil paata,

na chahke bhi kisi ko sab kuch mil jaata hai,
aur kisi ko chahke bhi kuch nahi mil paata,

mulaqat se dosti, aur dosti se pyaar ho hi jaata hai,
par har mohabbt ko uska anjaam nahi mil paata,

jaanke bhi sab kuch hum kabhi anjaan ban jaate hain,
aur anjaana banke bhi is dil ko chain nahi mil paata,

jeewan ke is safar me kuch yaadein laut ke aa hi jaati hain,
laakh koshish kar lo un yaadon ka saath chhoot hi nahi paata,

kya faida aisi zindagi ka jisme dikhaawe ke liye muskuraana pade,
par fir bhi sachchi muskaan laane ke liye himmat hi nahi jut paata,

kai rishte aise hote hain jinme bhala kisi ka nahi hota,
fir bhi jaane kyun koi un rishton ko tod hi nahi paata,

kai kashtiyaan aisi hoti hain jo samundar me hi gum ho jaati hain,
usi tarha jeewan ki kashti ko bhi hamesha saahil nahi mil paata...


hmmmm .....

iss mushkil me to main bhi hun
tere bina jii main nahin sakti hun

lekin ye kaisi majburi hai meri sanam
k tujhe dekh bhi nahin sakti hun

ho gai hun parai duniya ki nazar me
fir bhi tere hi naam ki maala main japti hun

kaise suljhaun main iss uljhan ko
har pal bas yehi sochti rehti hun

kabhi jab ulajh jati hun teri yaadon me jaal me
sab chhod k aajaun tere pas ye soch leti hun

lekin fir rok leta hai maathe pe laga sindurr unke naam ka
aur khud k armaanon ko apne hathon hi main kuchal deti hun...!!!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:01:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer