milkysahu
Guest
|
|
|
jab dekha un nigahon se yu toone mujhe, to ji uthi meri dhadkane, meri ankhon mein khwab saje. roshan hua mera dil teri hansi ki badaulat, toone pukara to mere kadam fir na ruke. ye kesi deewangi, ye kesa pagalpan, ye kesi madhoshi, ghere hai mera mann main khud hi nahi janu kya ho gaya hai mujhe- badal dala toone, ae zaalim mujhe.
meri saheli, tanhai, se toot gayi hai meri dosti, chhod diya usne mujhe, teri yaadon ne jagah le li. ab sara din wo mujhe hansati hai, mujhse batiyati hai, main kehti hu ja, to laakh minnaton par hi jati hai, par raat ko chandni failte hi, sapne bhi sang le aati hai. ab tu hi samajh ja, ye to samajhti nahi, teri yaadon ki aadat mujhe daalni nahi. ab tu hi dekh tere siva dusra kaam na raha mujhe, badal daala toone, ae zaalim mujhe.
dekhe athraah saawan, par koi barsaat na aisi hoti thi, is kaale aasmaan se zyada meri aankhein to na roti thi. na garajte the is dil ke toofan in baadalon se zyada, na bheegta tha mera takiya, mere aangan ki kyari se zyada. ab to dabdabaayi aankhon se takti rehti hoon tera raasta, ek bar, bas, ek bar aaja, tujhe meri chahat ka waasta. chourahe par khadi sochti rehti hu, jane kis raah dikh jaye tu mujhe, badal daala toone, ae zaalim mujhe.
log kehte hain mujhse main main nahi rahi, main kehti hoon main, mere bas mein nahi. gar mujhse koi shikayat ho, to mujhse aakar na karo, abhi main zara unse mohabbat kar rahi hu, are yaar.. pareshan na karo. sapna mera toot jayega gar palak jhapak jayegi, fir tum hi puchhoge kya hua, jo aankh chhalak jayegi. jao bhai.. fir aana, abhi apni hi sudh nahi mujhe, badal daala toone, ae zaalim mujhe.
|