** badalte ehasas

by ranjana on July 01, 2006, 06:20:51 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3236 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
paa  liya karta thaa kabhi tu mujhe tatol kar raat ke andhare mein bhi
aaj din ke ujaale mein bhi mere naam tere labo per nahi hai
yeh gujarate waqt ki saajish   hai ya………
mere pyaar mein ab who kashish nahi hai………..

kabhi mere labo per jami khamoshi bhi tu  pad liya karta thaa
aaj meri jubaan se nikali baat ka tujh ko yakeen kyu nahi hai

kar deti thee kabhi diwana tujhko mero shokhiyaan ,nadaniyaan
aaj meri pyaar ki baato ka bhi kyu tujhe per asar nahi hai

kabhi mere chhone bhar se tu ban jaata thaa ek jalata sharara
aur mujhe bhi kar deta thaa diwaana yeh pyaar tumhara
aaj mere pure vajood  ka  bhi tujh per asar kyu nahi hai


kho jaaya karta thaa kabhi tu peharo pehar merei aankho  ke nashe mein dub kar
aaj mujhe per ek nazar daalne ka bhi kyu tujhe waqt nahi hai

kiya karta thaa kabhi mere husan ke charche tu diwaano ki tarha
aaj kyu tere dil ki dharkan mein bhi naam mera nahi hai…..

kaha karte they kabhi apni saanse apni jaan mujhko
kyu ab woh teri rahagujar an meri raha nahi hai…

thaam kar haath mera tune kiya thaa umar bhar saath chalne ka vaada
kyu aaj tere waqt ka ek pal bhi aaj mera nahi hai

dhal gya  hai kya mosam pyaar ka tere mere beech mein
ya tujhe ab garo.n se hi fursat nahi hai………

yah gujarate waqt ka hai yeh aalam
ya mere pyaar mein ab who kashisih nahi hai…………………..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tera ehasas............ by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Badalte Nazare...!! by badnaam_shayar in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
kyu nahi badalte dil jo taqdeere badal jathi hai.. by Satya.patel in Shairi for Manzar -e- Kudrat
Ehasas Rehega mujme tera by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Ehasas Tumhara by gajal in Shayri for Khumar -e- Ishq
nirbhay
Guest
«Reply #1 on: July 01, 2006, 06:29:46 PM »
Reply with quote
=D> =D> =D> !

Bahut bahut aache maata Jee...

Wasie ye Jitni lambi dikhti hai utni hai nahi .... Padne mein lagta hai ek chhoti se Shayari hai.. Very wel done!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #2 on: July 01, 2006, 06:33:44 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
paa  liya karta thaa kabhi tu mujhe tatol kar raat ke andhare mein bhi
aaj din ke ujaale mein bhi mere naam tere labo per nahi hai
yeh gujarate waqt ki saajish   hai ya………
mere pyaar mein ab who kashish nahi hai………..

kabhi mere labo per jami khamoshi bhi tu  pad liya karta thaa
aaj meri jubaan se nikali baat ka tujh ko yakeen kyu nahi hai

kar deti thee kabhi diwana tujhko mero shokhiyaan ,nadaniyaan
aaj meri pyaar ki baato ka bhi kyu tujhe per asar nahi hai

kabhi mere chhone bhar se tu ban jaata thaa ek jalata sharara
aur mujhe bhi kar deta thaa diwaana yeh pyaar tumhara
aaj mere pure vajood  ka  bhi tujh per asar kyu nahi hai


kho jaaya karta thaa kabhi tu peharo pehar merei aankho  ke nashe mein dub kar
aaj mujhe per ek nazar daalne ka bhi kyu tujhe waqt nahi hai

kiya karta thaa kabhi mere husan ke charche tu diwaano ki tarha
aaj kyu tere dil ki dharkan mein bhi naam mera nahi hai…..

kaha karte they kabhi apni saanse apni jaan mujhko
kyu ab woh teri rahagujar an meri raha nahi hai…

thaam kar haath mera tune kiya thaa umar bhar saath chalne ka vaada
kyu aaj tere waqt ka ek pal bhi aaj mera nahi hai

dhal gya  hai kya mosam pyaar ka tere mere beech mein
ya tujhe ab garo.n se hi fursat nahi hai………

yah gujarate waqt ka hai yeh aalam
ya mere pyaar mein ab who kashisih nahi hai…………………..


Wah kya baat hai....Ranjana

Dekha hai humne bhi badalte tujhe jaise Chand Sitaare.....
Tum baat karti ho Chahat ki kabhi khair se tumne bhi poocha hota kaise hai haal hamare......

Dinn Guzarta hai yeh tumhe kya pata....Raat ko toh hote nahi ab Deedar bhi tumhare.....
Bolo kaise kahein hum bhi ki tum kyu na ho sake kabhi Dil-O-Jaan se hamare.......!!!!!!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #3 on: July 01, 2006, 06:41:03 PM »
Reply with quote
Sunn ek Sada kya tumhe bhi Sunai deti hai......
Rawani hai jo Saanson me kya woh aaj bhi kisi se mehkayi jaati hai.....

Mahobbat Mahobbat bas ab dikhti hai hume Chaaron taraf......
Kya kahein hum ki usme bhi chupa tera Nasha hai Sachh......

Mere lahoo se Mehekenge ek Dinn Gulaab tere Gulistaan ke......
Choot jayegi Kalam haathon se tere sunke ki mere Armaan jayada toh na the........!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: July 01, 2006, 07:15:12 PM »
Reply with quote
shukriya Neer dear.....bahot khub Gaurav..............aacha likha tumne......... Usual Smile
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #5 on: July 01, 2006, 09:11:43 PM »
Reply with quote
Shukriya Ranju

Sach tere Pyar ne mujhpar kuch Jaadu kar dikhaya.....
Binn Sune Awaaz teri dekh me aaj raat bhar na so paya.....

Ab bhi intezaar hai tera inn Ankhon me.....
Jaise Ek Daal par Kabootar basera karta Paya.....

Rooth gaya Rabb bhi ab toh mujhse.....
Kehta tune Cheen lee meri Jannat ki Chaya.....

Aa Jao Sanam ab Aur nahi raha jata.....
Dekho aaj kaise mitt raha hai tera SaYa.....!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: July 02, 2006, 01:54:50 AM »
Reply with quote
wah !!!! bahut khoob.......gaurav..............

woh mohabbat ke pehle ehasas ki nishaani
kyu badal jaate hain rishte kyu bada jaati hai kahaani

hai bahut lamaba yeh afsaana magar jindagi ka waqt kam hai
jaane kaise kaise rang dikha jaati hai yeh meri jindagi

woh lamhaat gujarate ja rahe hain paas se
woh toh rukate nahi hai ab tu hi tham ja jindagi

yeh inayat hai teri ki hum muskara dete hain aaj bhi tere khayal se
aur kabhi beete waqt ki yaade kar deti  hai aankho ko nam jindagi
Logged
amazing_world
Guest
«Reply #7 on: July 02, 2006, 04:14:00 AM »
Reply with quote
very beautiful poem

aapki yeh poem pad kar mujhe jagjit singh ki ek gazal yaad aa gayi....

woh jo apna tha kabhi, wohi aaj aur kissi ka kyun hai....

bhaut hi achi poem hai
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #8 on: July 02, 2006, 05:44:39 AM »
Reply with quote
bahut khoob ranju aap waqai kamal ka likhati hain
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: July 02, 2006, 09:12:31 AM »
Reply with quote
Quote from: "amazing_world"
very beautiful poem

aapki yeh poem pad kar mujhe jagjit singh ki ek gazal yaad aa gayi....

woh jo apna tha kabhi, wohi aaj aur kissi ka kyun hai....

bhaut hi achi poem hai


shukriya ji...........aapko pasand aayi aacha laga.....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: July 02, 2006, 09:13:13 AM »
Reply with quote
Quote from: "tabassum shakeel"
bahut khoob ranju aap waqai kamal ka likhati hain


shukriya tabassum.............. Usual Smile
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #11 on: July 02, 2006, 09:32:34 AM »
Reply with quote
sach mein!!!!!!!!!!!!!! ranz-na tum etna achcha likhti ho mujhe to malum hii nahii tha!  wah wah kya kehna!:P..................... :D
Gaurav ne bhi khub sath diya hein!...weldone man! :wink:
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #12 on: July 02, 2006, 05:46:05 PM »
Reply with quote
Thnx alll......

Tere Badalte Ehsaason ko phir ek baar Khawahishon me badal dunga.....
Poore kar sab khawaab tere tere Chehre par ek Muskaan la dunga......

Guzregi jab harr Shaaam badalte Mausam ke sang toh bas hume yaad rakhna......
Deri ho jaya karegi kabhi kabhi Rang badalne me tum bas meri Raah takna.......!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: July 02, 2006, 06:07:17 PM »
Reply with quote
bahut khub ...........shukriya shahid.............apne aas pass ki kahbar rakha karo....... Usual Smile  :wink:

uske damaan se aati meethi khusboo ka mujhe ehasas hai
woh mere bahut kareeb hai mere dil ke bahut pass hai

per waqt hai yeh kabhi thamata nahi hai ek jaisa kabhi bhi
isliye uski baato ki ,uski yaado ki ek chhooan mere liye ek pawan ehasas hai
Logged
phoenix
Guest
«Reply #14 on: July 03, 2006, 03:41:42 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
paa  liya karta thaa kabhi tu mujhe tatol kar raat ke andhare mein bhi
aaj din ke ujaale mein bhi mere naam tere labo per nahi hai
yeh gujarate waqt ki saajish   hai ya………
mere pyaar mein ab who kashish nahi hai………..

kabhi mere labo per jami khamoshi bhi tu  pad liya karta thaa
aaj meri jubaan se nikali baat ka tujh ko yakeen kyu nahi hai

kar deti thee kabhi diwana tujhko mero shokhiyaan ,nadaniyaan
aaj meri pyaar ki baato ka bhi kyu tujhe per asar nahi hai

kabhi mere chhone bhar se tu ban jaata thaa ek jalata sharara
aur mujhe bhi kar deta thaa diwaana yeh pyaar tumhara
aaj mere pure vajood  ka  bhi tujh per asar kyu nahi hai


kho jaaya karta thaa kabhi tu peharo pehar merei aankho  ke nashe mein dub kar
aaj mujhe per ek nazar daalne ka bhi kyu tujhe waqt nahi hai

kiya karta thaa kabhi mere husan ke charche tu diwaano ki tarha
aaj kyu tere dil ki dharkan mein bhi naam mera nahi hai…..

kaha karte they kabhi apni saanse apni jaan mujhko
kyu ab woh teri rahagujar an meri raha nahi hai…

thaam kar haath mera tune kiya thaa umar bhar saath chalne ka vaada
kyu aaj tere waqt ka ek pal bhi aaj mera nahi hai

dhal gya  hai kya mosam pyaar ka tere mere beech mein
ya tujhe ab garo.n se hi fursat nahi hai………

yah gujarate waqt ka hai yeh aalam
ya mere pyaar mein ab who kashisih nahi hai…………………..


excellent
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 08:49:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer