** badalte ehasas

by ranjana on July 01, 2006, 06:20:51 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3168 times)
ranjana
Guest
«Reply #15 on: July 03, 2006, 08:57:14 AM »
Reply with quote
shukriya Nitiesh.......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tera ehasas............ by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Badalte Nazare...!! by badnaam_shayar in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
kyu nahi badalte dil jo taqdeere badal jathi hai.. by Satya.patel in Shairi for Manzar -e- Kudrat
Ehasas Rehega mujme tera by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Ehasas Tumhara by gajal in Shayri for Khumar -e- Ishq
phoenix
Guest
«Reply #16 on: July 03, 2006, 07:23:44 PM »
Reply with quote
amavas ki raat mein jugnuo.n ka sath ho
jab tujhe belibas karun jab koi nahi tere pas ho

chaand ko mein rukhsat kar k tere aangan me diya jala dun
jab aaye koi tufan agar to mein tujhe iss dil mein chupa lun

har ghadi har lamha tere deedar kliye mein tadapunga
par jab aaega yaad tera wo pak husn to mein bhi kuch aanhe.n bhar lunga

teri muskaan ko apni aankho me panah dunga
agar ho saka to tere khwaab ko me sach kar k dikha dunga
Logged
ranjana
Guest
«Reply #17 on: July 04, 2006, 04:07:33 AM »
Reply with quote
bahut hi khubsurat Nitiesh..........

pyaar ki laye mein ab geet sajane lage hain
woh amawas mein bhi chand ban ke mujhse milne lage hain

sara sama mehek raha hai unke hi pyaar se
ek nasha sa ban kar woh mujhe mein utrane lage hain

ho jaata hai dil mera betaab unki awaz sun kar
hum unke labo per payaas ban ke jagane lage hain

le le woh mujhko apni bahaon ki panahao mein ek din
bas unmein saamane ke sapne meri aankho mein sajane lage hain

der tak gunjati rahi unki hansi mere kaano mein
woh ek saaz sa ban kar mere dil mein dharkane lage hain
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #18 on: July 04, 2006, 10:28:27 AM »
Reply with quote
GUd job Ranju and NItesh

Bhala kabhi kisi ki Zindagi badli hai....
Jo tum aaj apne Ehsaas badalte hai.....

Rang jab chaye IShQ ke.....
Toh tum kyu phir apni Raat badalte ho...!!!!!!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #19 on: July 04, 2006, 11:04:41 AM »
Reply with quote
Log kehte hain k waqt k saath ehsaas badla karte hain...
koi samjaye unhe k khabi hum khudai badal sakte hain??

hum ab ik pal bhi judaii ka seh nahi sakte...
wo ab dil o jaan main basa karte hain...

koi baas nahi chalta ab is dil pe humara...
wo ab isse bhi legaye hain...!

dil to bohot kiya k churaloon unhe is zamane se...
hum to waise bhi naam se unke jud chuke hain

ab to raaton ko hi unhe pukara karte hain...
k wo nahi ate par phir bhi unka intzaar kiya karte hain..!!

ishq hai ab dil main samaya...
bas ek unki kaami hai....aur hain hum besahara...!

~rosh~
Logged
ranjana
Guest
«Reply #20 on: July 04, 2006, 11:46:43 AM »
Reply with quote
bahut khub Gaurav and wonderful job Roshu................bahut khubsurat likha hai..........

kuch ehsaas sari umar hamare saath hi rehte hain
un palo ke ehsaas se hi hum apni jindagi jeete hain

woh pehli baar unki chhoona akasar yaad aata hai
mujhko unke saath na jaane kahan pe le jaata hai

woh pehli baar labo ka milna aaj bhi mujhe kampa jaata hai
aaj bhi usko yaad karke dil mera ghabara jaata hai..........

jab mili thee nazaro se nazare na jaane hui thee kitni khamosh baatein
aaj bhi unko yaad karana meri nazaro ko sharam se jhuka jaata hai

waqt ke saath saath sab kuch jindagi mein badal jaata hai
bas yahi beete palo ka ehsaas hi hamaare saath reh jaata hai
Logged
sangy
Guest
«Reply #21 on: July 04, 2006, 02:16:01 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"

oooops no words at all ranju  :D
simply great
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #22 on: July 04, 2006, 03:08:16 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
bahut khub Gaurav and wonderful job Roshu................bahut khubsurat likha hai..........

kuch ehsaas sari umar hamare saath hi rehte hain
un palo ke ehsaas se hi hum apni jindagi jeete hain

woh pehli baar unki chhoona akasar yaad aata hai
mujhko unke saath na jaane kahan pe le jaata hai

woh pehli baar labo ka milna aaj bhi mujhe kampa jaata hai
aaj bhi usko yaad karke dil mera ghabara jaata hai..........

jab mili thee nazaro se nazare na jaane hui thee kitni khamosh baatein
aaj bhi unko yaad karana meri nazaro ko sharam se jhuka jaata hai

waqt ke saath saath sab kuch jindagi mein badal jaata hai
bas yahi beete palo ka ehsaas hi hamaare saath reh jaata hai

woooooooo....gr8 :D

mujhe bhi yaad hein hamari wo pehli mulakat
Ham dono ne bohot kii thi ek dusre ke dil ki baat
Tu hii meri zindagii ki hadaf baan gayii thi
Ek tu ne hii bharr dii thi muhjh mein jeene ki wajaahat
Aab to tu haame ehsaa samajh kar ja rahii hein
Hamse nata tod kis gairr kii duniya saja  rahii hein.....
Logged
roshni246
Guest
«Reply #23 on: July 04, 2006, 03:13:03 PM »

wow awesome reply mom :D
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #24 on: July 05, 2006, 05:56:43 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
paa  liya karta thaa kabhi tu mujhe tatol kar raat ke andhare mein bhi
aaj din ke ujaale mein bhi mere naam tere labo per nahi hai
yeh gujarate waqt ki saajish   hai ya………
mere pyaar mein ab who kashish nahi hai………..

kabhi mere labo per jami khamoshi bhi tu  pad liya karta thaa
aaj meri jubaan se nikali baat ka tujh ko yakeen kyu nahi hai

kar deti thee kabhi diwana tujhko mero shokhiyaan ,nadaniyaan
aaj meri pyaar ki baato ka bhi kyu tujhe per asar nahi hai

kabhi mere chhone bhar se tu ban jaata thaa ek jalata sharara
aur mujhe bhi kar deta thaa diwaana yeh pyaar tumhara
aaj mere pure vajood  ka  bhi tujh per asar kyu nahi hai

kho jaaya karta thaa kabhi tu peharo pehar merei aankho  ke nashe mein dub kar
aaj mujhe per ek nazar daalne ka bhi kyu tujhe waqt nahi hai

kiya karta thaa kabhi mere husan ke charche tu diwaano ki tarha
aaj kyu tere dil ki dharkan mein bhi naam mera nahi hai…..

kaha karte they kabhi apni saanse apni jaan mujhko
kyu ab woh teri rahagujar an meri raha nahi hai…

thaam kar haath mera tune kiya thaa umar bhar saath chalne ka vaada
kyu aaj tere waqt ka ek pal bhi aaj mera nahi hai

dhal gya  hai kya mosam pyaar ka tere mere beech mein
ya tujhe ab garo.n se hi fursat nahi hai………

yah gujarate waqt ka hai yeh aalam
ya mere pyaar mein ab who kashisih nahi hai…………………..

RANJANA.... aapne itna accha likha hai ki mere paas tareef ke liye
alfaaz kam pad gaye hai... phir bhi kuch lafz chura ke laya hoon...

KHUBSOORAT-LAJAWAB-BEHTREEN
Logged
ranjana
Guest
«Reply #25 on: July 05, 2006, 09:01:21 AM »
Reply with quote
Sangy..thanks  Usual Smile

Roshu dear ab thanks kehna padega.. :wink:

Vicky ji shukriya aapke chura ke laaye gaye lafazo ke liye.. :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #26 on: July 05, 2006, 09:33:47 AM »
Reply with quote
Quote from: "redwhitegang"
Quote from: "ranjana"
bahut khub Gaurav and wonderful job Roshu................bahut khubsurat likha hai..........

kuch ehsaas sari umar hamare saath hi rehte hain
un palo ke ehsaas se hi hum apni jindagi jeete hain

woh pehli baar unki chhoona akasar yaad aata hai
mujhko unke saath na jaane kahan pe le jaata hai

woh pehli baar labo ka milna aaj bhi mujhe kampa jaata hai
aaj bhi usko yaad karke dil mera ghabara jaata hai..........

jab mili thee nazaro se nazare na jaane hui thee kitni khamosh baatein
aaj bhi unko yaad karana meri nazaro ko sharam se jhuka jaata hai

waqt ke saath saath sab kuch jindagi mein badal jaata hai
bas yahi beete palo ka ehsaas hi hamaare saath reh jaata hai

woooooooo....gr8 :D

mujhe bhi yaad hein hamari wo pehli mulakat
Ham dono ne bohot kii thi ek dusre ke dil ki baat
Tu hii meri zindagii ki hadaf baan gayii thi
Ek tu ne hii bharr dii thi muhjh mein jeene ki wajaahat
Aab to tu haame ehsaa samajh kar ja rahii hein
Hamse nata tod kis gairr kii duniya saja  rahii hein.....

bahut khub Shahid ji............shukriya hosala afzaai ke liye.... Usual Smile

kuch beete palo ke jugnu meri aankho mein jagmagane lage
unke pyaar ko ab hum apne geeti mein gungaane lage
kabhi manga thaa jine humne din raat duawo.n mein
woh meri zindagi ko apni baato se mehakane lage
unke pyaar ke meethe ehasao se mera chaman mehek utha
woh mujhe apne dil ka sakun aur qarar nazar aane lage
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #27 on: July 05, 2006, 06:17:20 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"

bahut khub Shahid ji............shukriya hosala afzaai ke liye.... Usual Smile

kuch beete palo ke jugnu meri aankho mein jagmagane lage
unke pyaar ko ab hum apne geeti mein gungaane lage
kabhi manga thaa jine humne din raat duawo.n mein
woh meri zindagi ko apni baato se mehakane lage
unke pyaar ke meethe ehasao se mera chaman mehek utha
woh mujhe apne dil ka sakun aur qarar nazar aane lage

hahahha...............sach mein ! maine tumhara hosla aafzaii kiya!.. tongue3
But u did good job ranz-na :D
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #28 on: July 05, 2006, 09:23:00 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
bahut khub Shahid ji............shukriya hosala afzaai ke liye.... Usual Smile

kuch beete palo ke jugnu meri aankho mein jagmagane lage
unke pyaar ko ab hum apne geeti mein gungaane lage
kabhi manga thaa jine humne din raat duawo.n mein
woh meri zindagi ko apni baato se mehakane lage
unke pyaar ke meethe ehasao se mera chaman mehek utha
woh mujhe apne dil ka sakun aur qarar nazar aane lage

yaadoin ke kuch diye jhalne laghe
usse bheethe huwe kaal mein hum jalne laghe

isse qdar hum jaal kar rakh hogaye
koi pehchane bhi na laghe, isse duniya ke liye anjani_si hum hogaye
Logged
ranjana
Guest
«Reply #29 on: July 06, 2006, 04:22:26 AM »
Reply with quote
bahut khub Anjani dear......

ehasas hai mujhe ki mujhe har pal bas diye ki tarah jalna hai
sab kuch rakh ke dil mein chupchaap sulgana  hai
dard ko chhipana hai hansi ki naqab mein
per kise se kabhi bhi kuch nahi kehana hai
har pal chup reh kar anajan sa sab gamo se ho kar
bas mujhe yun hi akele hi chalna hai bas akele hi chalna hai!!!!!!!!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:59:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer