Bahut door hoon par Tujhse Juda Nahi Hoon Main.....

by khwaish on February 23, 2008, 12:10:06 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 18897 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #15 on: February 29, 2008, 02:44:24 PM »
Reply with quote
Bohot khhob...phir se Khwaish and Pooja ... ! (Par dobara kyun post kiya  Huh? pehle waala hata ke )

thankyou so much talat for appreciating..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #16 on: February 29, 2008, 02:46:07 PM »
Reply with quote
Bohat durr hokar bhi koi kareeb lagta hai..
Kabhi kabhi tanha rehete bhi durr lagta hai

Saath jo hai tumhara to har pal suhana lagta hai
Na hoga kabhi gum aisa mujhe lagta hai

Jante to nahi hai hum ke taqdeer mein likha kya hai
Gar jo tum saath na hue to darr lagta hai

Iss paheli ko guzar jane mein ek zamana lagta hai
Sach yeh ke udaas ho tum mujh se durr hokar

Hansta chehra tumhara ek phool sa lagta hai
Bohat durr hokar bhi koi kareeb lagta hai.


bahut khoob honey..bahut acha likha hai...really good
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: February 29, 2008, 02:47:20 PM »
Reply with quote
bahut hi umda likha hai khwaishji
aapki ye lins dil mein reh gayi...

"KHWAISH" naam hone ki bhi ek wajeh thi is dil ke paas
par aaj...baaki koi khwaish nahi hoon main....

bahut khoob !!!

bahut bahut shukriya diya..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #18 on: February 29, 2008, 02:48:55 PM »
Reply with quote
Bahot khoob kitu ji...dil ko chu gaya..
yeh lines toh ... bahot hi acha...

Bahut door hoon par tujhse juda nahi hoon main
parchai hoon teri par phir kyon tere saath nahi hoon main??..


pooja di wow kya baat hai ..really bahot acha laga...aap ki likhi huyi shayari padh ke...

thank you so much punam...par yeh kya???
aap ne nahi likha.. sad5
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #19 on: February 29, 2008, 02:51:23 PM »
Reply with quote
Bahut door hoon par tujhse juda nahi hoon main
parchai hoon teri par phir kyon tere saath nahi hoon main??..

log kahenge ke main bedard hoon, khudgarz hoon
par kya sach mein tere pyaar ke kaabil nahi hoon main??.

Jo mere khwaabo mein, socho mein, khayalo mein hai shaamil
ussi shaks se aaj puchta hoon..
"kya tera apna nahi hoon main?"

kuch jazbaat dil mein aise bhi the jo hamesha se chup rahe
par aaj unn jazbaaton ko alfaz mil gaye hai
aaj unn jazbaaton ka karzdaar nahi hoon main...

jo mohabbat ki daastaan khamoshiyon se guzre
usme bhi bahut dard aur jazba hota hai,
har panha pad liya jaye,aisi koi kitaab nahi hoon main...

Kabhi-Kabhi apne likhe hue alfaaz bhi apne hisse ki
zindagi jee lete hai
ab koi dil mein chupa hua ehsaas nahi hoon main...

jaanta hoon, aapne bhi kabhi suni hai woh dil ki pukaar ko
ab yeh na kehna ke woh awaaz hi nahi hoon main...

Har ilzam, har shikwa "khwaish" seh jayega iss jahan mein
bas...kabhi yeh na kehna ke ab tera nahi hoon main....

"KHWAISH" naam hone ki bhi ek wajeh thi is dil ke paas
par aaj...baaki koi khwaish nahi hoon main....color]


Wah wah khwaish ji... bahut umda likha hai aapne. maza aagaya padkar..

bahut bahut shukriya roja...par aap bhi kuch likhte to acha lagta...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #20 on: February 29, 2008, 03:00:05 PM »
Reply with quote
APNE HASRATON KO DIL MEIN HI CHIPA LIJIYE
WOH KHUD SE KABHI TO SAMJHENGE
PHIR YEH DUA KIJIYE...

PAL DO PAL KA MILNA BHI
KYA MILNA HAI EH MERE HUZOOR!!
PEHRO BAITHE SAATH MEIN,KABHI TO AISE MILA KIJIYE...

PHOOLON SE EK SHIKAYAT SI RAHI HUMEIN,
AURO KE RAAH MEIN HUMESHA MEHAKTE REHTE HO,
KABHI "KHWAISH" KI RAAHON MEIN BHI KHILA KIJIYE...

MUDKAR PHIR  VAAPAS APNI DUNIYA MEIN,
JAANA BHI MANZOOR HAI HUMEIN,
BAS...EK BAAR MERI MOHABBAT KA FAISLA KIJIYE...

HUM APNE HAR EK GHAM KO BADE EHTARAAM SE GALE LAGA LENGE
BAS AAP HAMESHA HASSA KIJIYE...

MAUSAM-E-BAHAAR AUR ISHQ KE KHUMAR MEIN
AAKHIR LIKHTA HAI KYON "KHWAISH"??
KABHI TO APNE DIL SE YEH PATA KIJIYE.....
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #21 on: February 29, 2008, 03:12:37 PM »
Reply with quote
Bohat khoob khwaish ji ..
Kuch likh rahi hoon shayad pasand aaye.. Usual Smile


Aap se bohat dur hoon phir bhi aap humare hai
Aap ki har dadhkan hum mein samai hai

Aap ki udasi na dekha gaya humse
Aap ki khushi hi humare zindagi hai

Aap kyu sochte ho ki hum dur hai
Ek saans aur do jism hai

Aap ki saason ki mehek samaj the hai..
Iss liye aapko chup chupke dekha karte hai..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: February 29, 2008, 07:26:17 PM »
Reply with quote
Samjh aa gai her ek baat teri
Chipa na paai raz nigah teri

Dua karo ki nigah unhi bekraar rahe
Najaro mai ek basi hai ab raah teri

Pal do pal main hai skoon kise atta
Per kaise sambhale, jalim hai badi nigah teri

Phoolon se ab kare kaya shikayat
Shararti Adao mai, tajagi hai teri

Ho chuka faisla hai kab ka
Rahain hai kuch pal ko sath teri

Hansi humari per humara nahi bas koi
Suna hai magar bahoot asar hai dua main teri

Khumar-e-ishaq mai hi app likhte rahe
Yahi hai bas ek choti si khwaish Meri!!!!
Logged
jatti_80
Guest
«Reply #23 on: March 03, 2008, 05:12:58 PM »
Reply with quote
Amazinggggggggg Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: March 03, 2008, 05:20:06 PM »
Reply with quote
shukaria jatti ji!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #25 on: March 03, 2008, 07:37:44 PM »
Reply with quote
Bohat khoob khwaish ji ..
Kuch likh rahi hoon shayad pasand aaye.. Usual Smile


Aap se bohat dur hoon phir bhi aap humare hai
Aap ki har dadhkan hum mein samai hai

Aap ki udasi na dekha gaya humse
Aap ki khushi hi humare zindagi hai

Aap kyu sochte ho ki hum dur hai
Ek saans aur do jism hai

Aap ki saason ki mehek samaj the hai..
Iss liye aapko chup chupke dekha karte hai..

very nice honey...& thanx for appreciating..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #26 on: March 03, 2008, 07:38:19 PM »
Reply with quote
Samjh aa gai her ek baat teri
Chipa na paai raz nigah teri

Dua karo ki nigah unhi bekraar rahe
Najaro mai ek basi hai ab raah teri

Pal do pal main hai skoon kise atta
Per kaise sambhale, jalim hai badi nigah teri

Phoolon se ab kare kaya shikayat
Shararti Adao mai, tajagi hai teri

Ho chuka faisla hai kab ka
Rahain hai kuch pal ko sath teri

Hansi humari per humara nahi bas koi
Suna hai magar bahoot asar hai dua main teri

Khumar-e-ishaq mai hi app likhte rahe
Yahi hai bas ek choti si khwaish Meri!!!!


bahut khoooob poojaji...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #27 on: March 14, 2008, 01:14:23 PM »
Reply with quote
HONTH KEH NAHI SAKTE JO FASANA DIL KA
SHAYAD NAZAR SE WOH BAAT HO JAAYE....

HAAR RAAH PAR JISSE DHOONDTI HAI NAZAR MERI
KAASH KABHI TO  HUM UNKE SAATH HO JAAYE....

HUM SIRF UNHE SUNTE RAHE AUR WOH KEHTE RAHE
KABHI TO AISI BHI KOI BAAT HO JAAYE....

IS UMEED PAR KARTE HAI
INTEZAAR RAAT KA,
KE SHAYAD KHWAABO MEIN HI SAHI,
PAR KABHI TO UNSE MULAKAAT HO JAAYE....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: March 14, 2008, 02:01:13 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai!!!bahoot khoob khwaish ji!!

Dil mai hai jo unhe ab dhoonda kiya kaha
Chup jaaye jo dekh kar hume, usse kaha kiye phir kaya
Ajeeb alam hai is dil-e-meherbaan ka dekhiye
Wo aa jaaye to chup, unke piche na pucho, baatein kaya kaya
Logged
sarthika
Guest
«Reply #29 on: March 15, 2008, 04:17:44 PM »
Reply with quote
doori se bhi ahsaas jaate nahi
khayalo mai kaya kuch hum paate nahi
dhadkano mai dhadkati hai jab teri dhadkane
isse kareeb to khud ko bhi hum paate nahi!!

dhadkata hai yaha dil to jaan jaate hai hum
hume soche bina bhi tum rah paate nahi
dil karta hai dil se khud hi baate jab
insaan hokar bhi, yah sab hum samjh paate nahi
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:44:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer