barsaat ki bheegi raaton mein......

by nice_off_me on May 22, 2005, 02:49:33 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3451 times)
nice_off_me
Guest
Reply with quote
barsaat ki bheegi raaton mein
phir koi suhani yaad aayi
kuch apna zamana yaad aaya
kuch un ki jawani yaad aayi

kaliyu ki tarah ju chiki thi
un gulshan-gulshan hoton per
lo baithey baithey aaj hum
veh baat purani yaad aayi

hum bhool chuke the
kisne humein duniya mein akela chod diya
jab gair kiya tu ek surat jani pehchaani yaad aayi

kuch paav ke chale kuch aansu
kuch tanhaii kuch garde safar
us bichade huye humrah ki
ek ek nishani yaad aayi

hum chaak gareba aap bhi the
kya kehte katil zamane ku
cheda ju paraya afsana
apni hi kahani yaad aayi..............
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
iss barsaat mein by lajo in Shayri-E-Dard
{In Anjaani Si Khoyi Hui Si Raaton Mein} by angel4u in Shayri-E-Dard
Bheegi Hui Raaton Mein by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Jharhee barsaat ki jaaree hai, ab to hosh mein aaou! by abdbundeli in Ghazals
barsaat mein bheegi hui tasveer by saahill in Share:Love Poetry
dolly
Guest
«Reply #1 on: May 22, 2005, 02:51:18 PM »
Reply with quote
wowwwwwwwwwww nice off..........really really goooooooooood.............sach mein bahut achha...
Logged
nice_off_me
Guest
«Reply #2 on: May 22, 2005, 05:31:10 PM »
Reply with quote
hey thanx dolly for liking it and replying it............................................... .
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: May 22, 2005, 06:20:19 PM »
Reply with quote
wha kya baat hai.....niceeeee

jab baadal ghir kar aate hain
to yaadon ke mausam bhi saath laate hain

hum sochna kuch aur chahte hain..
par yeh baraste badal yaad kuch aur dilate hain

woh saawan ki mastiyan
woh barsaat ke suhane pal

jaya karte the doston ke sung film dekhne ..
lagta hai jaise kal..

woh unka rahon mein milna
woh dil ka joron se dhadakna ..

kaise bhoolen hum..
woh baadlon ka usi pal jooron se garajna...

woh pal to hameshan yaad ayenge ...
woh barsaat ki  bheegi raatein.. kaise hum bhool payenge
.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #4 on: May 22, 2005, 07:58:33 PM »
Reply with quote
kuch nahin milti mohabbat mein dard ke siva
phir bhi log mohabbat karte kyun hain
kuch na mile zindagi main to koi gam nahin hota
mohabbat na mile to log bikhrte kyun hai
kya yeh zindagi kuch bhi nahin,
gar kishi se mohabbat na ho
bin mohabbat ke to log jee saktein hain
mohabbat chhin-ne ke baad woh marte kyun hai
Logged
nice_off_me
Guest
«Reply #5 on: May 23, 2005, 10:03:08 AM »
Reply with quote
thank you nikki and fakhar sach mein aap duno ne buhut acha likha hai sach mein i just love it keep writing..........
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Chand khamosh hai,lamhein udass hai
tumhare intezaar mein aaj har saans tanha hai,
naa jane kab se tumhare yaado ke lamho
ko thame baithey hai,
issi bekasi mein yaado ke chiraag jalaye baithey hai,
aashko ke moti larag rahe hai,
per shama ki loo keh rahi hai,
tum aaoge,zaror aaoge...........
Logged
Meena
Guest
«Reply #6 on: May 23, 2005, 03:39:34 PM »
Reply with quote
simran sis...apki jitni tareef ki jaye na kam hai. yeh apki nazm to mujhe bohot hi pasand ayi!!!!!!!

"hum bhool chuke the
kisne humein duniya mein akela chod diya
jab gair kiya tu ek surat jani pehchaani yaad aayi"


beautidful lines hai!!!

 :D
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: May 23, 2005, 04:17:57 PM »
Reply with quote
Quote from: "nice_off_me"
barsaat ki bheegi raaton mein
phir koi suhani yaad aayi
kuch apna zamana yaad aaya
kuch un ki jawani yaad aayi

kaliyu ki tarah ju chiki thi
un gulshan-gulshan hoton per
lo baithey baithey aaj hum
veh baat purani yaad aayi

hum bhool chuke the
kisne humein duniya mein akela chod diya
jab gair kiya tu ek surat jani pehchaani yaad aayi

kuch paav ke chale kuch aansu
kuch tanhaii kuch garde safar
us bichade huye humrah ki
ek ek nishani yaad aayi

hum chaak gareba aap bhi the
kya kehte katil zamane ku
cheda ju paraya afsana
apni hi kahani yaad aayi..............


hmmmmmmmmm   bahot  khoob  simmi........  kya  baat hai ......nice  written..........too  good  naveed............nikki.........nice  reply...............
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #8 on: May 23, 2005, 09:37:04 PM »
Reply with quote
Thanx all of you...............waheed.......................si mran.................
Logged
Ravi Kashyap
Guest
«Reply #9 on: July 16, 2012, 06:11:58 AM »
Reply with quote
 :icon_salut:ek awesome lines hai bahut badhiya...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:35:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer