bas ek QATRAA teri maaNg ki khaatir BACHAA rakha hai...!!

by ghayal_shayar on November 12, 2012, 07:44:24 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1717 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
Ek bahut puraana kalaam nazar kar raha huN, apni raa'i se jaroor nawaaziyegaa...

Maut v humesha rahi bewafa, zindagi ki tarah,, logoN ne nibhaai dosti humse, dushmani ki tarah,, khoob dard dekhe humne v yahaaN,, par na dekha dariya-e-dard koi, aashiqui ki tarah,, dardoN neb hi hume kabhi na apnaaya,, rahe wo paraaye humesha, kisi khushi ki tarah,, maut neb hi ki bewafai mujhse zindagi ki tarah…………….!!![/color]

HazaaroN tamannaoN ko dil me dabaa rakha hai,
Teri chaahat hai par tujhse hi chipaa rakha hai…!

Lahoo saara dariya-e-ashq me bahaa rakha hai,
Bas ek qatra teri maaNg ki khatir bacha rakha hai…!

Teri khusboo se mehakti hai hawa to jeete haiN,
Nahi to kambakht saaNsoN me kya mazaa rakha hai…!

Har waqt unko humse ye ajeeb shikayat rehti hai,
Ki unhe is dil me humne kitna tanhaa rakha hai…!

Sach se waakif haiN, ki vo kabhi humari na hogi,
Par tamannaoN ne kab sach se vaastaa rakha hai…!

Koi nahi mukhaatib ab is mehfil-e-shayar humse,
Jo sabko humne apna naam,“taish”bataa rakha hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
***Teri Khaatir*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Khumar -e- Ishq

***Teri Khaatir*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Dard -e- Judai
teri ek khushi ki khaatir by apriya in Shayri for Khumar -e- Ishq
teri hi khaatir fanaa ho jau mai by apriya in Shayri for Khumar -e- Ishq
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011

View Profile
«Reply #1 on: November 13, 2012, 01:04:49 AM »
Reply with quote
wah wah
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #2 on: November 13, 2012, 02:18:50 AM »
Reply with quote
bahut khoob ghayal ji dheron daad
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #3 on: November 13, 2012, 03:39:02 AM »
Reply with quote
wah wah

Bahukhandi ji bahut bahut shukriya, bas yuNhi saath nibhaate rahiye...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #4 on: November 13, 2012, 04:16:25 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut khoob ghayalji
Logged
mkv
Guest
«Reply #5 on: November 13, 2012, 06:02:35 AM »
Reply with quote
umda kalaam
wah wah wah ghayal jee
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #6 on: November 13, 2012, 08:33:54 AM »
Reply with quote
bahut khoob ghayal ji dheron daad

shukriya saini sir ji.... Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: November 13, 2012, 09:01:48 AM »
Reply with quote
Lucky Jee Aadaab!

WaaH waaH waaH janab kia baat hai bahut khoob....
Badi hi dilfareb kalaam kahi hai janab... Sabhi ashaar aik se
badhkar aik rahe... gazab ki gehrai aur umda bayaani rahi janab... Usual Smile

Is khoob kalaam par humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...
HaaN par yeH kalaam toH dard e ishq meiN honi chajhiye thi ismeiN khumari
wali koi baat nahi hai may be aapne ghalati se ise yahaaN post kar diya
hai... Usual Smile

Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile

Ek bahut puraana kalaam nazar kar raha huN, apni raa'i se jaroor nawaaziyegaa...

Maut v humesha rahi bewafa, zindagi ki tarah,, logoN ne nibhaai dosti humse, dushmani ki tarah,, khoob dard dekhe humne v yahaaN,, par na dekha dariya-e-dard koi, aashiqui ki tarah,, dardoN neb hi hume kabhi na apnaaya,, rahe wo paraaye humesha, kisi khushi ki tarah,, maut neb hi ki bewafai mujhse zindagi ki tarah…………….!!![/color]

HazaaroN tamannaoN ko dil me dabaa rakha hai,
Teri chaahat hai par tujhse hi chipaa rakha hai…!

Kia kahne janab waaH teri chahhat hai par tujhi se chupaa rakha hai" bahut khoob... daad daad daad...

Lahoo saara dariya-e-ashq me bahaa rakha hai,
Bas ek qatra teri maaNg ki khatir bacha rakha hai…!

Bahot khoob daad....

Teri khusboo se mehakti hai hawa to jeete haiN,
Nahi to kambakht saaNsoN me kya mazaa rakha hai…!

Waaah waah bahut umdaa daad daad daad...

Har waqt unko humse ye ajeeb shikayat rehti hai,
Ki unhe is dil me humne kitna tanhaa rakha hai…!

Masha Allaah kia kahne janab waaH badi hi umdaa shikayat hai..
bahut khoob daad daad daad... Usual Smile

Sach se waakif haiN, ki vo kabhi humari na hogi,
Par tamannaoN ne kab sach se vaastaa rakha hai…!

Bahut khoob bahut umdaa waaH, saani misraa toH kamaal ka hai janab.. Usual Smile
HazaaroN daad...

Koi nahi humse ab is shayaroN ki mehfil me humse,
Jo ssabko humne apna naam,“taish”bataa rakha hai.

Maqta achcah raha par ulaa misre par gaur kar lijiye jo aap
kahna chahte haiN shayad woH yeH misra bayaaN nahi kar paa raha hai.. Usual Smile

Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #8 on: November 13, 2012, 10:11:38 AM »
Reply with quote
Ek bahut puraana kalaam nazar kar raha huN, apni raa'i se jaroor nawaaziyegaa...

Maut v humesha rahi bewafa, zindagi ki tarah,, logoN ne nibhaai dosti humse, dushmani ki tarah,, khoob dard dekhe humne v yahaaN,, par na dekha dariya-e-dard koi, aashiqui ki tarah,, dardoN neb hi hume kabhi na apnaaya,, rahe wo paraaye humesha, kisi khushi ki tarah,, maut neb hi ki bewafai mujhse zindagi ki tarah…………….!!![/color]

HazaaroN tamannaoN ko dil me dabaa rakha hai,
Teri chaahat hai par tujhse hi chipaa rakha hai…!

Lahoo saara dariya-e-ashq me bahaa rakha hai,
Bas ek qatra teri maaNg ki khatir bacha rakha hai…!

Teri khusboo se mehakti hai hawa to jeete haiN,
Nahi to kambakht saaNsoN me kya mazaa rakha hai…!

Har waqt unko humse ye ajeeb shikayat rehti hai,
Ki unhe is dil me humne kitna tanhaa rakha hai…!

Sach se waakif haiN, ki vo kabhi humari na hogi,
Par tamannaoN ne kab sach se vaastaa rakha hai…!

Koi nahi humse ab is shayaroN ki mehfil me humse,
Jo ssabko humne apna naam,“taish”bataa rakha hai.

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Aarish
Guest
«Reply #9 on: November 13, 2012, 11:52:16 AM »

bohut khoob bohut umda , daad qubool kijiye ,but maqta ka pehla misra samajh nahi aaya barahe karam is par nazre saani kar lijiye,
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #10 on: November 13, 2012, 04:33:39 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut khoob ghayalji

bahut bahut shukriya aqsh sahab, yuNhi aate raheN...
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009

View Profile
«Reply #11 on: November 13, 2012, 04:45:22 PM »
Reply with quote
Ek bahut puraana kalaam nazar kar raha huN, apni raa'i se jaroor nawaaziyegaa...

Maut v humesha rahi bewafa, zindagi ki tarah,, logoN ne nibhaai dosti humse, dushmani ki tarah,, khoob dard dekhe humne v yahaaN,, par na dekha dariya-e-dard koi, aashiqui ki tarah,, dardoN neb hi hume kabhi na apnaaya,, rahe wo paraaye humesha, kisi khushi ki tarah,, maut neb hi ki bewafai mujhse zindagi ki tarah…………….!!![/color]

HazaaroN tamannaoN ko dil me dabaa rakha hai,
Teri chaahat hai par tujhse hi chipaa rakha hai…!

Lahoo saara dariya-e-ashq me bahaa rakha hai,
Bas ek qatra teri maaNg ki khatir bacha rakha hai…!

Teri khusboo se mehakti hai hawa to jeete haiN,
Nahi to kambakht saaNsoN me kya mazaa rakha hai…!

Har waqt unko humse ye ajeeb shikayat rehti hai,
Ki unhe is dil me humne kitna tanhaa rakha hai…!

Sach se waakif haiN, ki vo kabhi humari na hogi,
Par tamannaoN ne kab sach se vaastaa rakha hai…!

Koi nahi mukhaatib ab is mehfil-e-shayar humse,
nahin koi mukhaatib ab ghayal_shayar se yahaan,
Jo sabko humne apna naam,“taish”bataa rakha hai.

waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaaaah Applause Applause Applause Applause Applause

Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #12 on: November 14, 2012, 01:31:22 AM »
Reply with quote
umda kalaam
wah wah wah ghayal jee

shykriya mkv sahab, bas aage v yuNhi saath nibhaate raheN.... Usual Smile Usual Smile
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #13 on: November 14, 2012, 02:54:21 PM »
Reply with quote
Lucky Jee Aadaab!

WaaH waaH waaH janab kia baat hai bahut khoob....
Badi hi dilfareb kalaam kahi hai janab... Sabhi ashaar aik se
badhkar aik rahe... gazab ki gehrai aur umda bayaani rahi janab... Usual Smile

Is khoob kalaam par humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...
HaaN par yeH kalaam toH dard e ishq meiN honi chajhiye thi ismeiN khumari
wali koi baat nahi hai may be aapne ghalati se ise yahaaN post kar diya
hai... Usual Smile

Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile

Parwaaz ji bahut bahut shukriya ise pasand karne ka, waise sach kahun to likhne ke baad jyada samajh nahi aata ki kise kahaan post karna chahiye, isiliye jo samajh aata hai, wahiN daal deta huN... tongue3 agli baar se waise kosish rahegi ki sahi jagah hi post karuN, aage v yunhi aate raheN, aapki taareef se bahut hausla afzaayi hoti hai...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #14 on: November 15, 2012, 06:39:29 AM »
Reply with quote

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

shireen ji shukriya, bas yunhi saath nibhaati raheN... Usual Smile Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:02:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer