Bas Ek Tumhi Ho...

by Anushka on June 27, 2006, 11:23:32 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3397 times)
Anushka
Guest
Reply with quote
Bas Ek Tumhi Ho...
 
Meri nigahoon main
Mery nazaroon main
Har ek fasanay main
Aur Har kahani main
Tum Hi Basy ho, Bas ek tumhi ho

Main chahon jis ko
Main mangon jis ko
Main paoon jis ko
Main haaron jis ko
Tum Hi Basy ho, Bas ek tumhi ho

Mere hansnay main
Mere roonay main
Mere jagnay Aur soonay main
Tum hi tum ho jahan bhi dekhon
Jahan bhi jis rastay per main jaoon
Tum Hi Basy ho, Bas ek tumhi ho

Tera wo milna
Tera wo khona
Tera wo aana
Tera wo jana
Wo mil kar ek baar phir bicharna
Har ek nagar main, har ek safar main
Tum Hi Basy ho, Bas ek tumhi ho

Meri nazar main nazara ban ke
Mere labon pe fasana ban ke
Aur in ragon main lahoo ban ke
Meri neendon main khwaab ban ke
Mere Dil mein Dilse ban ke Sirf Tum
Tum Hi Basy ho, Bas ek tumhi ho

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tum tumhi ho sanam. by raghu ram in Miscellaneous Shayri
tumhi se hai... by *KasaK*....Dil Ki in Miscellaneous Shayri
Tumhi ho by nandbahu in Share:Love Poetry
Nafrat Bhi Hai Tumhi Say Aur Tumhi Say Dillagi Bhi Hai by SUMBUL QAISER in Ghazals
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: June 27, 2006, 11:28:21 AM »
Reply with quote
Anush

Bahut khoob !

Wah ! kisi khaas insaan ke liye yeh jazbaat shayari ke roop mein ubhar kar nazar aa rahe hain. :D

Well done !

Rajbir
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #2 on: June 27, 2006, 03:05:03 PM »
Reply with quote
Quote from: "Anushka"
Bas Ek Tumhi Ho...
 
Meri nigahoon main
Mery nazaroon main
Har ek fasanay main
Aur Har kahani main
Tum Hi Basy ho, Bas ek tumhi ho

Main chahon jis ko
Main mangon jis ko
Main paoon jis ko
Main haaron jis ko
Tum Hi Basy ho, Bas ek tumhi ho

Mere hansnay main
Mere roonay main
Mere jagnay Aur soonay main
Tum hi tum ho jahan bhi dekhon
Jahan bhi jis rastay per main jaoon
Tum Hi Basy ho, Bas ek tumhi ho

Tera wo milna
Tera wo khona
Tera wo aana
Tera wo jana
Wo mil kar ek baar phir bicharna
Har ek nagar main, har ek safar main
Tum Hi Basy ho, Bas ek tumhi ho

Meri nazar main nazara ban ke
Mere labon pe fasana ban ke
Aur in ragon main lahoo ban ke
Meri neendon main khwaab ban ke
Mere Dil mein Dilse ban ke Sirf Tum
Tum Hi Basy ho, Bas ek tumhi ho


Hmmmmmmmm bohot achcha! :D .......

Ye duniya bohot matlab farosh hein
isliye ye raaz-e-mohabbat jamane ko batatein nahi
Wo to dhundtii hein mouka chot dene ki r duur khadi haasti hein
Kyun ke janti hein  insaani jazbat aab to bohot sastii hein
Par aashiqo ka dil hein etni aasani se kisiko mitatein nahi
Aur ha ham to tumhare dost hein,dosto se lekin ye baat chupate nahi...
............ :D ..to baton koun hein wo? :wink:
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: June 27, 2006, 04:38:47 PM »
Reply with quote
bahut khub ANU and shahid .............

tumhare naam se hi hai ab hamari yeh jindagi
tumhare hi khawabo per tiki hai ab hamari yeh jindagi
tere janun ne bebas kar diya mere dil ko is kadar
hamne tujhe per apna dil haar ke jeeti hai yeh jindagi
Logged
Anushka
Guest
«Reply #4 on: June 27, 2006, 09:18:16 PM »
Reply with quote
Wah Shahid and Ranjan thx for all the lovely responses... appreciate it
Logged
Anushka
Guest
«Reply #5 on: June 27, 2006, 09:19:26 PM »
Reply with quote
Quote from: "Rajbir"
Anush

Bahut khoob !

Wah ! kisi khaas insaan ke liye yeh jazbaat shayari ke roop mein ubhar kar nazar aa rahe hain. :D

Well done !

Rajbir


Thx Rajbir... ji lekin kya karey jiskay liyeh likhi wohi to nehi semajraha hai!
Logged
Anushka
Guest
«Reply #6 on: June 27, 2006, 10:42:20 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
bahut khub ANU and shahid .............

tumhare naam se hi hai ab hamari yeh jindagi
tumhare hi khawabo per tiki hai ab hamari yeh jindagi
tere janun ne bebas kar diya mere dil ko is kadar
hamne tujhe per apna dil haar ke jeeti hai yeh jindagi


Ranjan janu.. bas yeh chota sa reply...read it sometime ago..

Yeh bhi aadaab hamare hein,tumhein kya maloom
hum tumhein jeet ke haare hein,tumhein kya maloom
ek tum ho ke samjhtay nahin hum ko apna
ek hum hein ke tumhare hein tumhein kya maloom
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: June 28, 2006, 03:42:41 AM »
Reply with quote
good one anu jaan........

ham tere pyaar ke palo mein jeete hain
har waqt teri yaado mein rehate hain
bas raha hai tu bhi meri har baat mein sanam
aur aap kehte hai ki hame kya maloom... :D
Logged
Anushka
Guest
«Reply #8 on: June 29, 2006, 01:06:54 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
good one anu jaan........

ham tere pyaar ke palo mein jeete hain
har waqt teri yaado mein rehate hain
bas raha hai tu bhi meri har baat mein sanam
aur aap kehte hai ki hame kya maloom... :D


Thx Ranjan janu Hw ru?
Logged
Anushka
Guest
«Reply #9 on: June 30, 2006, 06:43:56 AM »
Reply with quote
Quote from: "gum"
RANJU AND ANU you BOTH ARE GR8

Kis modh pe akela na chodna,
Armano se bhare dil ko na todhna,
Duniya begani bane toh kya hua,
Tamanna yehi hai ki,
Aap hamara yeh khawab kabhi na todhna




Kya baat hai Gum bahut hi sona likhya!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:23:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer