bas teri hi chahat ko paya hai.......

by ranjana on May 01, 2006, 06:48:00 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 4877 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
tera ahasas kuch is kadar mujh mein samaya hai.....
har pal har samaye bas tu hi nazar aaya hai.......

subah ki pehli kiran aur angaraee leti.......
apni bahao ke ghere mein .......
tujhe khud ko chumate paya hai....

kaise sawaaru apne baal.
kasie karu ajj khud ko tayaar......
mera kaun se rup ne tumhe lubhaya hai.........

apni kajare ki dhaar se, chureeyon ki chanak tak.....
bindi ki chamak se, payal ki jhanak tak......
bas tera hi akas mujhe nazar aaya hai........

tujhse pyar karte huey......
apni aankhe band rakhu ya khuli.........
dekhne ke liye sheeshey mein ........
khud ko tere saath paya hai...........

mere har khayal mein shaamil hai tu......
har baat, har pal maine apne wazood mein...........
bas teri chahat ko hi paya hai................


------------
ranjana
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ke teri chahat hai itni by Ricky in Shayri-E-Dard
-:: FaKeer HoOn TeRi ChAhAt ki LaKeer ka ::- by nirbhay in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
teri chahat hai by salil2002 in Shayri-E-Dard
Teri chahat by CoolGirl in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hume Pyaar Me Paya Toh Kya Paya by Rishi Agarwal in Ghazals
vikas2210
Guest
«Reply #1 on: May 01, 2006, 07:11:50 AM »
Reply with quote
NIce one RANJU.............
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #2 on: May 01, 2006, 07:20:06 AM »
Reply with quote
har pal jeeta hun tujhko paane ke liye
terea ho paaun har raat khwab sajata hun
jab bhi hawa ho kar aati hai baago se
teri khusboo ka ehsaas le leta hun

suraj ki pehli kiran se tere aane ka guman hota hai
chand ki chandni me sang tere rehna ka man hota ha
oos ki boondo se tere sparsh ka ehsas hota hai
apne rag rag mai tujhko sama lena chahat hun
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #3 on: May 01, 2006, 07:26:07 AM »
Reply with quote
Bahut khoob RAnjana  &  Vikas bhai!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: May 01, 2006, 07:34:15 AM »
Reply with quote
Quote from: "vikas2210"
har pal jeeta hun tujhko paane ke liye
terea ho paaun har raat khwab sajata hun
jab bhi hawa ho kar aati hai baago se
teri khusboo ka ehsaas le leta hun

suraj ki pehli kiran se tere aane ka guman hota hai
chand ki chandni me sang tere rehna ka man hota ha
oos ki boondo se tere sparsh ka ehsas hota hai
apne rag rag mai tujhko sama lena chahat hun


Wow Vikas .........mujhe toh ho gaya pyar aapki in lines se....... :D
so romantic and beautiful....mujhe ek baar kisi ne is kavitaa mein kaha tha ki yah bahut jayda romance mein dubi hui kavitaa hai aapki...........but aaj dil kar raha hai ki un kahne walo ko aapki yah lines dikhau........ki romance in poetry kaise hota hai............ Usual Smile


with love

ranju
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: May 01, 2006, 07:35:52 AM »
Reply with quote
shukriya NIRBHAY...........

THANKS

ranju
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #6 on: May 01, 2006, 07:39:18 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
Quote from: "vikas2210"
har pal jeeta hun tujhko paane ke liye
terea ho paaun har raat khwab sajata hun
jab bhi hawa ho kar aati hai baago se
teri khusboo ka ehsaas le leta hun

suraj ki pehli kiran se tere aane ka guman hota hai
chand ki chandni me sang tere rehna ka man hota ha
oos ki boondo se tere sparsh ka ehsas hota hai
apne rag rag mai tujhko sama lena chahat hun


Wow Vikas .........mujhe toh ho gaya pyar aapki in lines se....... :D
so romantic and beautiful....mujhe ek baar kisi ne is kavitaa mein kaha tha ki yah bahut jayda romance mein dubi hui kavitaa hai aapki...........but aaj dil kar raha hai ki un kahne walo ko aapki yah lines dikhau........ki romance in poetry kaise hota hai............ Usual Smile


with love

ranju


Ranju

aapki jab lines phadhi to na jane kyon dil main kuch uch hone laga aur maine jo man main aayay likh diya.

Sach bataaun aapka tareef karna BAHUT ACCHA hai. Kisi ko bhi na aap aasman pe baitha deti hai.... :oops:  :oops:  :oops:  :oops:
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #7 on: May 01, 2006, 07:39:47 AM »
Reply with quote
neer bahi shukriya zara nawazi kaaaa.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #8 on: May 01, 2006, 07:45:45 AM »
Reply with quote
Ranju aur Vikas

Bahut khoobsurat Khumar-e-Ishq ka izhaar kiya hai aap dono ne !

Chalo hum aap dono ko Aasman par nahi balki Saatwein Aasman par baitha dete hai. Aap ne likha hi itna achcha hai  :D

Keep going !

Rajbir
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: May 01, 2006, 07:50:07 AM »
Reply with quote
Quote from: "vikas2210"
Quote from: "ranjana"
Quote from: "vikas2210"
har pal jeeta hun tujhko paane ke liye
terea ho paaun har raat khwab sajata hun
jab bhi hawa ho kar aati hai baago se
teri khusboo ka ehsaas le leta hun

suraj ki pehli kiran se tere aane ka guman hota hai
chand ki chandni me sang tere rehna ka man hota ha
oos ki boondo se tere sparsh ka ehsas hota hai
apne rag rag mai tujhko sama lena chahat hun


Wow Vikas .........mujhe toh ho gaya pyar aapki in lines se....... :D
so romantic and beautiful....mujhe ek baar kisi ne is kavitaa mein kaha tha ki yah bahut jayda romance mein dubi hui kavitaa hai aapki...........but aaj dil kar raha hai ki un kahne walo ko aapki yah lines dikhau........ki romance in poetry kaise hota hai............ Usual Smile


with love

ranju


Ranju

aapki jab lines phadhi to na jane kyon dil main kuch uch hone laga aur maine jo man main aayay likh diya.

Sach bataaun aapka tareef karna BAHUT ACCHA hai. Kisi ko bhi na aap aasman pe baitha deti hai.... :oops:  :oops:  :oops:  :oops:



Uffffffffffffffffffffffffff.........

aapki yah aada bhi hamko bha gayi........ Usual Smile

jab kisi ki kavitaa padte hi itne romantic lines dil se nikalne lage toh....
samjho aap ek bahut acche kavi hain...............jiska dil kuch manbhata padte hi jawab dene ko machal jata hai......... :D ab aap aasman se wapas aa gaye ho toh bata de......ham aapko apni aur kavitaa sunana chahte hain............. Usual Smile

thanks...........

ranju
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #10 on: May 01, 2006, 08:12:23 AM »
Reply with quote
ranju ji sunane ki ya phadhane ki?Huh?

wase hum aasma pe nahi hai yahin hai.

sunaieeye na apne kavita......

me waiting with ears open.
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #11 on: May 01, 2006, 08:14:11 AM »
Reply with quote
Rajbir ji sukriya pasand karne ke liye.........
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: May 01, 2006, 08:43:56 AM »
Reply with quote
Quote from: "Rajbir"
Ranju aur Vikas

Bahut khoobsurat Khumar-e-Ishq ka izhaar kiya hai aap dono ne !

Chalo hum aap dono ko Aasman par nahi balki Saatwein Aasman par baitha dete hai. Aap ne likha hi itna achcha hai  :D

Keep going !

Rajbir


shukriya Rajbeer ji..................nahi ji ham dharti par hi acche hain....... Usual Smile bas aap yun hi pyar se padte  rahe....... Usual Smile

with love

ranju
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: May 01, 2006, 08:56:15 AM »
Reply with quote
hm VIKAS JI..kabhi sunane ka moka bana toh woh bhi wish puri ho jayegee........abhi toh padne se kaam chaliye........... Usual Smile aapne  sunane ki wish toh puri karni hai na.......... Usual Smile

yah jo lines likh rahi hun woh upar wali kavitaa se toh koi samband nahi rakhtee........per aapki lines pad ke mere bhi man mein aa gayi.... :D

aaj fir chera hai kisi ne mere dil ke dard ko..
jo soya hua tha barso se ek dhul ki gard mein....

fir dil dharka hai joro se.....
lagata hai ud jau badalo ke paar......

jahan main hun ,tum ho ........
aur wah meetha sa ehasas.....
jo teri baato ne geeto mein chalk kar .......
mujhe diya hai aaj.................


with love

ranju
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #14 on: May 01, 2006, 10:03:32 AM »
Reply with quote
Nice Ranju.......

Yun hi aap likhti rahe hum phad kar daad dete rahen bas yehi arman hai.

aur han sunnan bhi chahenge kahi aapse jab aaapka ka man kare suna dijiyega......

bahut hi accha likha hai aapne.........
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:45:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer