bas teri hi chahat ko paya hai.......

by ranjana on May 01, 2006, 06:48:00 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 4878 times)
vikas2210
Guest
«Reply #15 on: May 01, 2006, 10:10:02 AM »
Reply with quote
aj fir chera hai kisi ne mere dil ke dard ko..
jo soya hua tha barso se ek dhul ki gard mein....

fir dil dharka hai joro se.....
lagata hai ud jau badalo ke paar......

jahan main hun ,tum ho ........
aur wah meetha sa ehasas.....
jo teri baato ne geeto mein chalk kar .......
mujhe diya hai aaj.................


dard se humra bhi nata purana hai
utna hi jitna tumhara payar se

jab hi band karta hun aakhee
dheeme se koi aansu
yaad teri lekar chala aata hai....

chaand chmakata hai
jab jab aasman mai
ek metha sa dard  
mujh mai jaga jata hai

har jugnu ke chamak mai
tujhko dhundhta hun mai
kar oos kio boond main
dhundhta hun sparsh tera

jo tum nahi sang mere
jeene ka arth dhundhta hun
tujhko chahata hun
tere hona chahta hun


JO BHI MAN MAI AAYAY LIKH DIYA.... KUCH SMAJH A\NA AAYE TO MAFFI........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ke teri chahat hai itni by Ricky in Shayri-E-Dard
-:: FaKeer HoOn TeRi ChAhAt ki LaKeer ka ::- by nirbhay in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
teri chahat hai by salil2002 in Shayri-E-Dard
Teri chahat by CoolGirl in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hume Pyaar Me Paya Toh Kya Paya by Rishi Agarwal in Ghazals
ranjana
Guest
«Reply #16 on: May 02, 2006, 03:39:05 AM »
Reply with quote
Quote from: "vikas2210"
aj fir chera hai kisi ne mere dil ke dard ko..
jo soya hua tha barso se ek dhul ki gard mein....

fir dil dharka hai joro se.....
lagata hai ud jau badalo ke paar......

jahan main hun ,tum ho ........
aur wah meetha sa ehasas.....
jo teri baato ne geeto mein chalk kar .......
mujhe diya hai aaj.................


dard se humra bhi nata purana hai
utna hi jitna tumhara payar se

jab hi band karta hun aakhee
dheeme se koi aansu
yaad teri lekar chala aata hai....

chaand chmakata hai
jab jab aasman mai
ek metha sa dard  
mujh mai jaga jata hai

har jugnu ke chamak mai
tujhko dhundhta hun mai
kar oos kio boond main
dhundhta hun sparsh tera

jo tum nahi sang mere
jeene ka arth dhundhta hun
tujhko chahata hun
tere hona chahta hun


JO BHI MAN MAI AAYAY LIKH DIYA.... KUCH SMAJH A\NA AAYE TO MAFFI........



very nice Vikas.............nahi aaye toh maffi...................aur aaye toh........? Usual Smile

bahut sundar koshish  hai aapki........

yah lines aacchi lagi.........

har jugnu ke chamak mai
tujhko dhundhta hun mai
kar oos kio boond main
dhundhta hun sparsh tera

jo tum nahi sang mere
jeene ka arth dhundhta hun
tujhko chahata hun
tere hona chahta hun ........

shukriya.......

with love

ranju
Logged
ranjana
Guest
«Reply #17 on: May 02, 2006, 03:50:42 AM »
Reply with quote
dil ki dharakno ka bhi ek tarana hota hai,
shayad pass kisi ko bulana hota hai.....

ya hoti hai jhoothi tasalee dil ki...
ya sirf apne dil ko bahlana hota hai...

kyu karta hai mere masoom dil pyar kisi se...
jab har kisi ne us ko thokar maar ke jana ho hota hai.......


ranju
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #18 on: May 02, 2006, 03:51:05 AM »
Reply with quote
Ranju

pasand aai aapko koshsih meri shukriya bahoot bahoot.



dhundhna kismat ko apni
lakeeron mai teri chahata hun
mai tera hun aur
tera rehna chahcta hun......
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #19 on: May 02, 2006, 03:56:56 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Ranjana & Vikas...Usual Smile
Logged
ranjana
Guest
«Reply #20 on: May 02, 2006, 03:57:35 AM »
Reply with quote
dhundhna kismat ko apni
lakeeron mai teri chahata hun
mai tera hun aur
tera rehna chahcta hun......
 
 .............

LAKEERON KA LIKHA KAB SACH HUA............ Usual Smile

very beautiful.......

with love

ranju
Logged
ranjana
Guest
«Reply #21 on: May 02, 2006, 04:07:29 AM »
Reply with quote
shukriya ARYAAN..............

TAKE CARE....

ranju
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #22 on: May 02, 2006, 05:02:16 AM »
Reply with quote
Shukriya Aryaan........
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #23 on: May 02, 2006, 05:03:33 AM »
Reply with quote
RANJU

shukriya..........

Lakeeron ka lkha sach nahi hua kabhi sach hai par dhundhna khud ko kisi ke kw\hawab mai bahut hi khubsurat ehsas hota hai.

take care

vikas
Logged
ranjana
Guest
«Reply #24 on: May 02, 2006, 05:44:12 AM »
Reply with quote
VIKAS.........

khawab toh khawab hai .........par yah bhi sach hai ki ham unhi ko dekh kar apni kalpana ki zindgee ke kuch ksuhnuma pal jee jate hain.......
tumhari lakerron  ki baat se kuch yaad  aaya.........

ham jee rahe  hain apne sapno ke saath.
muthee mein band .......
un kuch palo ke  saath,
jo kabhi hamare they...
ham kholte  hain ......
apne haatho ko.....
aur pad lena chahte  hain....
un lakerron ko ......
JO TUMSE JUDI HAIN.............................

RANJU
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #25 on: May 02, 2006, 06:01:55 AM »
Reply with quote
Ranju,,,,,,,,,

very nice and good. U have the ability to pen down the thoughts very beautifully......

love it.

jab bana liya hai nata tumse
tabse jod liha kismat apni teri hi lakeeron se
thama ha haath jab se tumhara
tab se baan liya hai dhadkano ko tumhare dil se
Logged
ranjana
Guest
«Reply #26 on: May 02, 2006, 06:16:50 AM »
Reply with quote
Quote from: "vikas2210"
Ranju,,,,,,,,,

very nice and good. you have the ability to pen down the thoughts very beautifully......

love it.

jab bana liya hai nata tumse
tabse jod liha kismat apni teri hi lakeeron se
thama ha haath jab se tumhara
tab se baan liya hai dhadkano ko tumhare dil se


bahoot bahoot shukriya......par vikas ji aap saath toh akle toh yah likhna mushkil tha.........so aap bhi kam nahi hai......mujhe bhi aapka likhne ke andaz ne bahoot impress kiya............

fir kuch lines aur......jab bore ho jaye  toh plz bata de........kyuki main apne aap shayad stop na karu........ Usual Smile

mera haath apne haatho mein lekar
dekhi tumne apni rekha.......
jeevan saath-saath jeene ka
ham dono ne ek meetha sapna dekha........
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #27 on: May 02, 2006, 07:37:32 AM »
Reply with quote
Ranju

sahi kaha aapne koi ho saath nibhane wala to likhna aasaan hota hai.

aur rabi bore hone ki baat to shyad pehal aapki tarf se hi hogi dekhte hain..

shukriya mera likha pasand karne e liye.

bahut accha likha hai aapne. gehra aur saaf.



saath chale do kadam
aur sapne sajane lage
kari do baate aur
dil mai samane lage
dekh kar tere suhane khawab
hum bhi raato ko jagne lage.......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #28 on: May 02, 2006, 08:07:46 AM »
Reply with quote
saath chale do kadam
aur sapne sajane lage
kari do baate aur
dil mai samane lage
dekh kar tere suhane khawab
hum bhi raato ko jagne lage........

bahut khub................na na......bore aur main...........par haar gayi toh bhi meri hi jeet hai........... Usual Smile wasie kavitaa karne ke siva kuch nahi sujhta  hamko.......... Usual Smile

yun raato ko aakar sataya  na karo....
khawab bunti in aankho ko yun jagaya na karo..
mana yah khawab hain adhure,aur meri khushiya adhuri hai..
per jeene ke liye kuch galatfamiyan bhi jaruari   hai.......

meri hi ek kavitaa ki kuch lines hain yah.......puri kavitaa fir kabhi.......
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #29 on: May 02, 2006, 08:15:20 AM »
Reply with quote
great one Ranju..........



chaliye dekhte hain wase main koi kavi to nahi par bas aapko phad kar likhta hun ayee hanseen.....

raato ko chup chup kar chand ko dekhna
aur phir kuch udaas sa ho jana.....
sonchna tujhko aur phir .....
aankhen band kar dekhna tujhko
tadpna teri yaad mai tere aake ke intezaar mai
kyo hai tu dur itni mai itna majboor..........
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:48:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer