~!~Be Falak Chand...~!~

by badnaam_shayar on September 09, 2006, 09:36:20 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 981 times)
badnaam_shayar
Guest
Reply with quote
Yoon toh teri Mehfilon me Chand bhi khila karte hai.....
Dekhe hai humne woh AShiQue jo tujhe Choone ko taraste hai......

Nazron me unke Sharaab ke Jaam Chalka karte hai.....
Guzar karte hai tere Darr pe aur sirf naam tera liya karte hai......

Yoon toh teri Mehfilon me Chand bhi khila karte hai.....

Dekha jaye toh uss Nazar se nahi par Dil se hum bhi tujhse Pyar karte hai.....
Ab hume nahi Beemari Shauhrat ki toh akele hee Jaam piya karte hai......

Manzar teri Raah me aur Pal tera Intezar kia karte hai.....
Tu misaal hai Husn-O-adaa ki isliye sab tere liye aahein bhara karte hai.....

Yoon toh teri Mehfilon me Chand bhi khila karte hai..........!!!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
falak ke teer by sarafz in Shayri-E-Dard
falak by kumaravasthi in Miscellaneous Shayri
ai falak yeh batla de kya quSoor tha mera ? by mistufer in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Suna hai chand bhi takta hai ussay falak se by ParwaaZ in Shayari -e- Husn « 1 2 3 4 »
MOVED: Suna hai chand bhi takta hai ussay falak se by ParwaaZ in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Tabrez khan
Guest
«Reply #1 on: September 09, 2006, 09:37:45 AM »
Reply with quote
Zindagi jaise ek saza si ho gayee hai,
gham ke saagar mein is qadar kho gayee hai,
tum aa jao waapis yeh guzaarish hai meri,
mujhe shayad tumaari aadat si ho gayee hai.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: September 09, 2006, 09:49:35 AM »
Reply with quote
aayi raat toh chandani mehek gayi
aaj yeh kiske inezaar mein raat behek gayi

gujare kai rahaguajar mere ishq ki raha se
yeh kiska thaa tasvur jab meri saanas tham gayi

jab jab yaad kiya unke saath beete lamaho ko
subeh meri mehek uthi aur raat meri machal gayi

ki thaa kabhi hamne unse saaf lafazo mein dil ki baat
aaj yeh kya hua fir se unki neeyat kaise badal si gayi!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #3 on: September 09, 2006, 10:01:41 AM »
Reply with quote
BeFalak Chand......
Aur yeh Neelaa Asmaan......

Woh Kadardaan tujhe Choone ki karta Guzarish......
Aur woh tera apne HUSn par Gumaan......

Dekhna kahin badal na jaye Sanam.....
Tere Chasm-O-Hayya ka yeh Karwaan.........!!!!!!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:23:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer