-----/// Benaam Rishtaa ///----- Hriday

by ~Hriday~ on August 05, 2017, 09:05:36 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1092 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote




benaam   se   is  rishte   ko    aap   koi  naam  dijiye
in  saanson   ke   liye   bas   ek   hasi   shaam  dijiye

hum  to  kab  se  aankhein  bichhayein  baithe  hain
deke  deedaar  apnaa in  aankhon ko aaraam dijiye

jaante  hain  hum  bhi ki majboor hain aap wahaan
magar  kisi   bhi  bahaane  koi  to  paighaam  dijiye

meri mohabbat tadapti hai mere seene mein tanha
is   tadapte  mohabbat  ko  aap  koi to inaam dijiye

yaa to aake lagaa lijiye apne seene se aap humein
yaa in sanson ke  ruk jaane  ke liye  intzaam kijiye



*****HRIDAY*****


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Rishtaa..................................!!!!!!!!!!!!!!!!!! by Friend_4uall in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 3 4 »
((((((*******RISHTAA*******)))))))) by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
RISHTAA..(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
Rishtaa... by brokenbyluv in Shayri-E-Dard
-----/// Rishtaa ghamon se ///----- Hriday by ~Hriday~ in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
niru@patel
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
17 hours and 57 minutes.
Posts: 69
Member Since: Aug 2017


View Profile
«Reply #1 on: August 05, 2017, 10:45:18 AM »
Reply with quote
  Clapping Smiley Applause Applause Applause

ku6 riste benaam hote he ,, jinka koi nam nhi hota,, sirf unke hone ka ehsass hota he,,ese riste bade hi khass hote he,,
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: August 06, 2017, 07:32:11 AM »
Reply with quote
shukriyaaa ji Usual Smile


  Clapping Smiley Applause Applause Applause

ku6 riste benaam hote he ,, jinka koi nam nhi hota,, sirf unke hone ka ehsass hota he,,ese riste bade hi khass hote he,,
Logged
Ram Krishan Rastogi
Umda Shayar
*

Rau: 69
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
30 days, 21 hours and 9 minutes.

Posts: 4988
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #3 on: August 11, 2017, 09:51:06 AM »
Reply with quote
Waah Waah kya baat hae. Applause :clap:arj hae:-BENAAM RISHTO ME BHI KOEE NAAM CHHIPA,JRA SA DHYN DIJIYE
HUM KAUN HAE TUMHARE BAS ITNAA HI PUCHH LIJIYE 
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: August 19, 2017, 04:43:48 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaaa....!!!

Waah Waah kya baat hae. Applause :clap:arj hae:-BENAAM RISHTO ME BHI KOEE NAAM CHHIPA,JRA SA DHYN DIJIYE
HUM KAUN HAE TUMHARE BAS ITNAA HI PUCHH LIJIYE 

Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: August 31, 2017, 06:58:47 PM »
Reply with quote




benaam   se   is  rishte   ko    aap   koi  naam  dijiye
in  saanson   ke   liye   bas   ek   hasi   shaam  dijiye

hum  to  kab  se  aankhein  bichhayein  baithe  hain
deke  deedaar  apnaa in  aankhon ko aaraam dijiye

jaante  hain  hum  bhi ki majboor hain aap wahaan
magar  kisi   bhi  bahaane  koi  to  paighaam  dijiye

meri mohabbat tadapti hai mere seene mein tanha
is   tadapte  mohabbat  ko  aap  koi to inaam dijiye

yaa to aake lagaa lijiye apne seene se aap humein
yaa in sanson ke  ruk jaane  ke liye  intzaam kijiye



*****HRIDAY*****



Beautifully written!! good work!!

Her rishte ka naam nahi hota
Magar koi bhi rishta Benaam nahi hota!

Ishaq shuru hota hai, dil ke dhadak jaane se
Dil ki dhadkano per, koi ehtraam nahi hota

Ankhon ko uska deedar, kaano mai uski awaaz
Bin mile usse phir, koi din ya raat nahi hota

Milane ke paigaam per he, thum jaati hai saansein
Koi aise saans nahi, jis main, uska naam nahi hota

Aa jaaye jo abhi wo to lag jaaye unke seene se
Jab hota hai pass wo, koi aor aass pass nahi hota

Hum karte rahte hai hazaro baar izhaar payaar ka
Pathar dil sanam se, ek baar bhi Ikraar nahi hota!!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #6 on: September 26, 2017, 09:56:25 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Hriday Bhai & Pooja ji.. khubsoorat sama bandha hai.. Applause Applause

**~** Mann **~**
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: October 09, 2017, 08:15:04 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaa Mann ji...!!!

Bahut khoob Hriday Bhai & Pooja ji.. khubsoorat sama bandha hai.. Applause Applause

**~** Mann **~**
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: October 09, 2017, 08:16:06 PM »
Reply with quote
Beautifully written!! good work!!

Her rishte ka naam nahi hota
Magar koi bhi rishta Benaam nahi hota!

Ishaq shuru hota hai, dil ke dhadak jaane se
Dil ki dhadkano per, koi ehtraam nahi hota

Ankhon ko uska deedar, kaano mai uski awaaz
Bin mile usse phir, koi din ya raat nahi hota

Milane ke paigaam per he, thum jaati hai saansein
Koi aise saans nahi, jis main, uska naam nahi hota

Aa jaaye jo abhi wo to lag jaaye unke seene se
Jab hota hai pass wo, koi aor aass pass nahi hota

Hum karte rahte hai hazaro baar izhaar payaar ka
Pathar dil sanam se, ek baar bhi Ikraar nahi hota!!!



bahut bahut shukriyaaa Pooja ji... aur bahut khoob jawaab diyaa hai aapne....!!!


tadap uth_te hain hum jin ke deedaar ke liye
aajaayein saamne hamaare bas ek baar ke liye

kab kahaa humne woh aake hamaari ho jaayein
bas ek jhalak bahut hogi is bimaar ke liye

mohabbat to adhuri thi, adhuri hi rahegi ab
isse buraa kyaa hogaa is gunehgaar ke liye

de den deedaar woh is dil ke sukuun ke liye
naa to inkaar ke liye, naa hi iqraar ke liye

jahaan bhi rahein khush rahein woh humeshaa
duwaayein maangte hain apne us yaar ke liye

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:22:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer