Bhatakte hain hum jis sanam ke liye

by rajansarhadi on January 23, 2011, 10:27:21 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1073 times)
rajansarhadi
Guest
Reply with quote
Hum is janam mein bhatakte hain jis sanam ke liye,
Milega agle janam mein janam janam ke liye.

Kahan ye ehed ki taaron se maang bhar doonga,
Kahan ki phool na ik mil saka sanam ke liye.

Kasam utha ke mohhobat ki uun na ghabraao,
Purani tod do kasmein nayin kasam ke liye.

Ye bhookh kha ke jiye hain, to pyaas pi ke pale,
Ye log kitne munasib hain har sitam ke liye.

Uthaao jaam ki aayi hai sar pe shaam-gham,
Chiraag kuchh to jalaane hain shaam-e-gham ke liye.

Tamaam Umr taraste rahe hain hum 'rajan'
Kabhi karam ke liye, Kabhi sitam ke liye.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chal Chalte Hain Uss Par Sanam... by anjaansaya in Shayri for Khumar -e- Ishq
tumhae liye my paida hua hun sanam by raghu ram in Miscellaneous Shayri
tumhare hain sanam by raghu ram in Miscellaneous Shayri
Sab khayal us ke liye hain, sab sawal us ke liye by imtiaz096 in Share: Poetry of Pain
toot_ta hain dil toh kitna dard hain hota sanam by livingbytheday in Shayri-E-Dard
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: January 23, 2011, 11:21:31 AM »
Reply with quote
wahhhhhhh rajan ji kya khub likha hai aapne har ek sher.......
kuch sher to dil me jagaha bana gaye

 Applause Applause Applause Applause Applause
Hum is janam mein bhatakte hain jis sanam ke liye,
Milega agle janam mein janam janam ke liye.

Ye bhookh kha ke jiye hain, to pyaas pi ke pale,
Ye log kitne munasib hain har sitam ke liye.

Tamaam Umr taraste rahe hain hum 'rajan'
Kabhi karam ke liye, Kabhi sitam ke liye.
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #2 on: January 23, 2011, 11:30:23 AM »
Reply with quote
nice
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #3 on: January 23, 2011, 05:47:16 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Rajan JI
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: January 23, 2011, 06:05:13 PM »
Reply with quote
Rajan Jee Aadaab!

Wel Come To YoIndia Usual Smile

Janab kia khoob kalaam kahi hai aapne..
Ahsaas o khayaal bhi umdaa rahe aur bayaani bhi..

Sabhi ashaar aik se badhkar aik hai janab.. Usual Smile
 Applause Applause Applause         



Hum is janam mein bhatakte hain jis sanam ke liye,
Milega agle janam mein janam janam ke liye.

Waah janab kia kahne bus behad umdaa sher kaha hai..
Aik dum dilfareb...  Applause Applause         



Kahan ye ehed ki taaron se maang bhar doonga,
Kahan ki phool na ik mil saka sanam ke liye.

Kia baat hai janab.. Behad khoob Daad daad daad         

Kasam utha ke mohhobat ki youn na ghabraao,
Purani tod do kasmein nayin kasam ke liye.

Hmmmm Jee  Is it SO!  Winking Winking         

Ye bhookh kha ke jiye hain, to pyaas pi ke pale,
Ye log kitne munasib hain har sitam ke liye.

Masha Allah kia soch ko anjaam diyaa hai janab..
HazaaroN daad is sher par behad khoob behad umdaa Usual Smile         


Uthaao jaam ki aayi hai sar pe shaam-e-gham,
Chiraag kuchh to jalaane hain sham-e-gham ke liye.

Achcha hai daad.... Usual Smile         

Tamaam Umr taraste rahe hain hum 'rajan'
Kabhi karam ke liye, Kabhi sitam ke liye.

Janab maqta bhi khoob raha daad.. Par sitam to bin maNge hi mil jate hai.. Sitam ki jagaaH sanam hi kah dete .. kaisa rahta Winking           


Behad khoob kalaam kahi hai janab..
Dil se daad kabool kiiye...

Aise hi umdaa kalaamoN ke saath aate rahiye..
Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile         

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:44:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer