Brijinder"Sagar"ka kallam

by Brijinder on February 04, 2009, 01:06:02 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1628 times)
Brijinder
Guest
Reply with quote
Teray naam


Jab tu meri aagosh maiN hoti hai
Teri admundhi aankhain
Teray laraztay huay hoNt
Daitay hain bahut si ankahi baatoN ka pataa
Teray jism ki haraarat
UnglioN ki shraarat
NihaaN jaanay kitnay maikhaanoN ka nashaa

Jhatak kar khol daiti ho
Jab tum ghanay syaah gaisu
Aur bar jataa hai un paloN ka khumaar
Phir shiddat say woh jazba
Hai rooh tak mehsoos hotaa
Kartay hain jism jab us pyaar ka izhaar

Purmaaeni ho jaati hai meri hayaat
Hoti hai beshak mukhtsar si hamari mulakaat

Jab tu meri aagosh maiN hoti hai!Sach!
Meri zad maiN hoti hai jaisay saari qaaynaat

-------------------------
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sagar hai,sukhe nahi milty "Rahi" by Rahi2001 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Zhappy Pale Tu"Sagar"Nu by Advo.RavinderaRavi in Pain in Love : Punjabi poetry
"Sagar"Jadmt Sabhi Nahi by Advo.RavinderaRavi in Shayari-e-Parastish
Chaar Dino Ka Mela"Sagar" by Advo.RavinderaRavi in Miscellaneous Shayri
"Sagar"Marne Baad Hi Zindgi Ko Paya Tha by Advo.RavinderaRavi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Brijinder
Guest
«Reply #1 on: March 27, 2009, 09:02:22 PM »
Reply with quote
Keemiya-2

Raat ki aankhoN maiN haiN raushni kay khwaab
Din ki nazar maiN aNdhayroN ka sakooN
Bus isi giraft maiN haiN hai ziNdagi ki rau
Aur farayboN pay palta hua iska fasooN
----------------------------------\
FasooN-magic
Logged
Brijinder
Guest
«Reply #2 on: April 01, 2009, 08:18:42 PM »
Reply with quote
any feedback plz?
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: April 01, 2009, 10:43:29 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Brijinder Ji
Logged
Brijinder
Guest
«Reply #4 on: April 01, 2009, 11:33:23 PM »
Reply with quote
Sehar Say Sehar Tak

Afsurdgi pay paltay huay mery ayaam
Roz yaas ki siyaahioN maiN doob jaatay haiN
Phir shub wahi sum lay kar sehar tak mujhko jagaati hai
Phir tweel raatoN main teri yaad tanhaaiaN baraati hai
Phir meray geet tujhko dair tak bulaatay haiN
Phir maaniNd-i-roz
MaiN jaagta hooN aur taaroN ko neeNd aati hai

----------------------------------
Meanings: afsurgi-udaasi, ayaam-din,yaas- dukh,sum-zehar,taweel- laMbi, ManiNd-e-roz-har roz ki tarah
Logged
Brijinder
Guest
«Reply #5 on: April 11, 2009, 12:07:36 AM »
Reply with quote
any feedback plz?
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: April 11, 2009, 06:11:47 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khoobsurat likha hia aapne Brijender Ji..

Its always a pleasure reading you..

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #7 on: April 12, 2009, 07:55:26 AM »
Reply with quote
Subhan_allah Brijinder bohat bohat khoob...
Logged
Brijinder
Guest
«Reply #8 on: June 08, 2009, 02:04:57 AM »
Reply with quote
Tzaad

YaadoN kay bawaNdar say uth rahaiN hai Takh_yul ki sar zamiN pay
Barq bau kay chamkta hai teri afsurda haNsee ka chehra
Honay lagi hai teray naaz-o-karam ki rimjhim
Meri takhleeq maiN main woh pehli barsaat si soundhi khusbu aa rahi hai

Tanha bahut tanha hai dil teray jaanay kay baad
SaMbhla nahi wajood shorishoN maiN bhi doob jaanay kay baad
Zamanaa to samjhtaa hai isay shauq-i-fitoor mera
Har chahray maiN agar dhooNdta hooN teray wajood ki parchaiNaN
Aur uqta kay uth aataa hooN phir apnay khyaaloN ki duniya maiN
Siyaah aur siyaah ho jaati haiN phir meri tanhaaiyaaN

Ab tu bani hai kisi ga_ir ki zindagi ka unwaaN
Ab teri raataiN uski baahoN main basi rehti haiN
Ab na us ulfat ki haqeeqat baqi
Phir bhi nadaan umeedaiN dil maiN baniN rehtiN haiN

Puchta hooN maiN aksar apni talkh raatoN say
Ki kya hai aqaayud-i-mehabbat ki asaas
Kya hai yeh rasoomaaat maiN lipta ik shuq-i-bekaar
Kya hai yeh ishq kay naam pay paltay huay pazmurda ahsaas

Kya hai yeh mehabbat yeh mehabbat ki tashheeer
Kadam bar kadam samjotoN ki besood taameer
Kya hai yeh jis-o-rooh kay alag alag meyaar
Kya hai parstish pay palta yeh falsafa-i-taqdeer

Thehar ab zauq-i-talab thehar
Aaj na yeh baat baat uthaa
Aaj ki raat barstaa hai gujishta mehabbat ka jaadoo
Aaa ki raat kuch na keh kuch na sunaa
----------------

Meanings:Tzaad: Takraav
Takh_yul- Imagination(kalpana), Barq-lightening,Afsurda-Udaas, Takhleeq-rachna,creation
ShorishoN-kolahul(noise), Aqqayud-e-muhabbat-prem kay prati vishwaas,
Rassomaat- rasmaiN, Asaas-foundation, Pazmurda-half dead
Tashheer-Advertisement, Besood taameer-useless constrruction
Mayaar-parameters, Phalsupha-e-taqdeer-philosophy of fate
Gujishta-pas
Logged
Roja
Guest
«Reply #9 on: June 08, 2009, 02:12:13 AM »
Reply with quote
Quote
Tanha bahut tanha hai dil teray jaanay kay baad
SaMbhla nahi wajood shorishoN maiN bhi doob jaanay kay baad
Zamanaa to samjhtaa hai isay shauq-i-fitoor mera
Har chahray maiN agar dhooNdta hooN teray wajood ki parchaiNaN
Aur uqta kay uth aataa hooN phir apnay khyaaloN ki duniya maiN
Siyaah aur siyaah ho jaati haiN phir meri tanhaaiyaaN

Ab tu bani hai kisi ga_ir ki zindagi ka unwaaN
Ab teri raataiN uski baahoN main basi rehti haiN
Ab na us ulfat ki haqeeqat baqi
Phir bhi nadaan umeedaiN dil maiN baniN rehtiN haiN

Bahut khoob Brijinder ji.... Nice to see you  Usual Smile
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #10 on: June 08, 2009, 07:12:26 AM »
Reply with quote
Bahut khooooooob Brijinder Ji. Har Rachna Khubsoorat likhi hai Dost.. Bahut Khoooooooooob.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: June 08, 2009, 07:14:07 AM »
Reply with quote
Bohat Achche Brijender Ji,.
Logged
Brijinder
Guest
«Reply #12 on: June 08, 2009, 07:10:27 PM »
Reply with quote
I am very thankful to all of you for the kind words of appreciation.
Logged
Brijinder
Guest
«Reply #13 on: June 21, 2009, 10:12:58 PM »
Reply with quote
WAQT-E-FURQAT

Yeh waqt-e-furqat kitna kathin hai meri jaaN
Hoga mushkil maanaa tha, magar itnaa mushkil
Socha bhi naa thaa

Woh chaNchal si khilkhilahat
Woh tumhari maNd maNd si muskaan
Woh tumharay badan say aatay bahaar kay jhoNkay
Woh tumhaari saadgi maiN daanaai kay imkaan

Woh tumhaaraa meri baahoN maiN duniya ko bhool jaanaa
Woh behtay ashkoN maiN laraztay laboN ka muskuraanaa
Woh tumhaari pal pal ko shiddat say jeenay ki chaah
Woh tumhaari nazar maiN phool say komal khwaaboN ki raah

Woh tumhaari dabdabaai aaNkhoN maiN unkahayay sawaal
Woh tumhaaray ghanay dasht say gasuoN ka jamaal
Woh tumhaaray hoNthoN ka tilsmee khumaar
Woh tumhaaraa mujh par beloss aitbaar

Bahut yaad aataa hai yeh sub meri jaaN
Aur yaad aataa hai bahut tumhaaraa woh-
"SUNO NA"
-----------------------------------
Logged
MHussain
Guest
«Reply #14 on: June 21, 2009, 10:39:36 PM »
Reply with quote
Good work indeed with beautiful Urdu wording.
However, besides liberal poetry, try to write Ghazals.
Keep the spirit up
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 06:18:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer