buhat dinoun ki bat hai

by muneeb on September 12, 2004, 08:09:21 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1365 times)
muneeb
Guest
Reply with quote
buhat dinoun ki bat hai
Fiza ko bhi yaad hai
yeh baat aj hi nahi
bohat dinun ki baat hai
subha per bahar thi
fiza bhi khusgawaar thi
na janay kyun machal Para
mein apnay ghar sy nikal para
kisi nay mujh ko rok kar

bari ada say Tok kar
kaha tha laut aaiye
meri qasam na jaiye
par mujhay khabar na thi
mahol par nazar na thi
na jaanay kuuN macchal paRa
maiN apnay ghar say chal paRa

main shahr say phir aagaya
khyaal tha k paa gaya
usay jo mujh say door thi
magar meri zaroor thi
aur ik haseen shaam ko
maiN chal paRa salaam ko
gali ka rang dekh kar
naii taraNg dekh kar
mujhay bari khushi hoii
maiN kuch isi khushi maiN tha
kisi nay jhaaNk kar kaha
paraai ghar say jaiye
meri qasam na aaiye
wohi haseen shaam hai
bahaar jis ka naam hai
chala hooN ghar ko chor kar
na jaanay jaooNga kidhar
koii nahi jo rok kar
koii nahi jo Tok kar
kahay k laut aaiye
meri qasam na kaiye
meri qasam na jaiye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Barsat buhat hai by Dewana_Badal in Shayri-E-Dard
hum rona to buhat.... by Princess21 in Shayri-E-Dard
.....Buhat Howa..... by sweet_raabii in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Aaj key baad, kuchh dinoun key liye chup rah kar by abdbundeli in Miscellaneous Shayri
Woh Mujhe Chahta BHi BUhat Tha.....!!! by ehsaas chahat ka in Share: Poetry of Pain
nishita
Guest
«Reply #1 on: September 12, 2004, 10:13:46 AM »
Reply with quote
nice muneeb
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: September 12, 2004, 02:03:09 PM »
Reply with quote
nice muneeb
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: September 12, 2004, 05:45:44 PM »
Reply with quote
Unki  Aankhoon Say Kaya Rekhay Koi Umeed E Kerrum
Paiaas Mitjaay Tuo Gerdish Mien Woh Jaam Aatay Hain..........
Logged
muneeb
Guest
«Reply #4 on: September 13, 2004, 11:45:53 AM »
Reply with quote
Thank you to all

Tujhay kisi se Mohabbat nahi, kisi k siwa
Main her ksis se mohabbat karon kisi k liay
Woh mujh ko choor gya to mujhay yaqeen aya
Koi bhi shaks zarori nahi kisi k liay..
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #5 on: September 17, 2004, 07:12:31 AM »
Reply with quote
wah!!!!!!!!!muneeb...................nice  one....

Mohabatoon key ye dariya Utar na jaiyen kahen
jo dil hain zakhmoon se bhar na jaiyen kahen...
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: September 18, 2004, 06:42:52 AM »
Reply with quote
Nice one Muneeb..Waheed..
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #7 on: September 18, 2004, 11:40:01 AM »
Reply with quote
nice muneeb nice yaar aise hi sunate rehna...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #8 on: September 19, 2004, 07:50:35 AM »
Reply with quote
thanx Talat...............

Naakaamiyon Ne Humen Sarkash Bana Diya
Itne Howe Zaleel Ke Khuddaar Ho Gaye
Woh Jis Ke Naqsh E Qadam Se Charaagh Jalte The
Jale Charaagh To Khud Bangaye Dhoowan Woh Shakhs....
Logged
muneeb
Guest
«Reply #9 on: September 19, 2004, 04:13:01 PM »
Reply with quote
Thank you ka aap ko mare shairi passand ai tu ya shairi
(sandeepparker) aap ka leya tell me ka aap ko kaise lage ok and thanx again  



~*~ Meri Zindagi ~*~

 

Mujhey lagta hai aesa kabhi kabhi

Jaisy woh ajnabi larki

Mujh sey piyar karti hai

Mujhey chahti hai

Akser yunhi chup chup ker

Dekhti hai, janey kiya soch ker

Nazren chura jati hai

Kuch ghabra si jati hai

Apney aanchal ko hawaoon k zoor per lehrati hai

Mehsoos mujhey yeh hota hai k

Shaid mujhey woh bohat chahti hai

Mujhey aesa ehsas dilati hai jesay

Woh mujh sey kuch kehna chahti hai

Meray pochnay per kuch sharma si jati hai

Kuch ghabra si jati hai

"Suniyey" keh kar bhaag jati hai

Ajnabi larki shaid piyar karti hai mujh sey

Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey

Dil bhi kitna pagal hai

Kiya kiya sochta rehta hai

Kuch masoom sey jazbey hain

Kuch undekhey sapney hain

Mager woh nahin janti shaied...!!!

Meri Zindagi To Koi Aur Hai....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: November 18, 2008, 02:01:55 PM »
Reply with quote
NIce One Muneeb,.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:24:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer