..~~Chaand~~..

by HumTum on September 10, 2005, 11:08:15 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1541 times)
HumTum
Guest
Reply with quote
Adaab DoostooN ......... "Chaand" jasia mehboob hai mera ... bas ussi ki sadgi pe yeh meri ik gazal .....


ik ajnabi ko jab se meiney apne dil mein basaya hai
ab har manzaar kaynaat ka haseen nazar aaya hai

har pal ussi ko bas dekhna chahta hai yeh dil mera
usko pake meri zindgi ka har rang nikhar aya hai

woh sadgi , woh bolapan, woh dill kash ada uski
aisa lage ke jasey  zameen pe "chand" uthar aya hai

naaz hai apni kismat pe ke mila hai uska sath mujey
uske roop pe iss duniya ka keemti ghuhar paya hai

hai uske jasia koi nhi sare jahaan mein "HumTum"
ab meri gazalooN mein bhi ussi ka asar aaya hai !!!
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
parde main chaand.......... by purani_jeans_aur_guitar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 6 7 »
Jis ghari chaand by Qutubuddin in Shayri for Khumar -e- Ishq
Chaand Ka TukDa...!!! by Delicate_Doll in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Chaand taron se saji ye raat hai by poem143s in Shayri for Dard -e- Judai
.{ main chaand hoon chaand }. by Omi-Shru in Shayri for Khumar -e- Ishq
tushar_4u_im
Guest
«Reply #1 on: September 11, 2005, 05:49:33 AM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
Adaab DoostooN ......... "Chaand" jasia mehboob hai mera ... bas ussi ki sadgi pe yeh meri ik gazal .....


ik ajnabi ko jab se meiney apne dil mein basaya hai
ab har manzaar kaynaat ka haseen nazar aaya hai

har pal ussi ko bas dekhna chahta hai yeh dil mera
usko pake meri zindgi ka har rang nikhar aya hai

woh sadgi , woh bolapan, woh dill kash ada uski
aisa lage ke jasey  zameen pe "chand" uthar aya hai

naaz hai apni kismat pe ke mila hai uska sath mujey
uske roop pe iss duniya ka keemti ghuhar paya hai

hai uske jasia koi nhi sare jahaan mein "HumTum"
ab meri gazalooN mein bhi ussi ka asar aaya hai !!!
 


mere mehboob bus muh per itni inayat ker de..

thodi hi sahi mujh se tu mahubbat ker le.......

sajde me tere hum har jagah sir jhukate hai,.....

tera pyar pane k khatir aapni jaa tak luta sakte hai,...

tu chand hoti to tujhme bhi koi dagg hota ,......

tu to hai aaftab e noor ,......

jisse har taraf ujala hota hai,....

tu hai wo gazal jo meri zuba per humesha rehti hai,....

tu hai wo kasak jo her pal dil me rehti hai ,.......

tujhse mahubbat kerne ki khatir ,......

aaya hu zami per hua  hu hazir,.......
Logged
nikki
Guest
«Reply #2 on: September 11, 2005, 11:27:47 AM »
Reply with quote
wowww wonderfull Humtum ...lajawaab ho aap..
Tushar aap bhi kuch kum nahi...very nice...

reply mein likhne ke liye thoda sochna padega..i will write sumthin laterzzz
Logged
Meena
Guest
«Reply #3 on: September 11, 2005, 07:23:25 PM »
Reply with quote
wah humtum ji again a beauty!!!!!! yeh to bohot hi pyara pyara laga mujhe!  :D  aab yeh mat kehna ke maine kuch likha nahin ya mera keyboard karab hai par apse muqabla nahin kar sakhti na  :wink:

tareef-e-mehebood me aab kya kahon mai,
bas yehi jante hai ke Khuda se juda nahin woh!
Logged
nikki
Guest
«Reply #4 on: September 11, 2005, 07:50:32 PM »
Reply with quote
wahhhhhhh sis kya reply di hai...jeo

aaj to chand bhi khud par itra raha hoga
Humtum ne apne mehboob ki tareef mein usse bhi saraha hai
woh mohabbat ka chand maana jaata hai
magar uss gareeb ko aaj takk kissi ne nahi chaha hai
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #5 on: September 12, 2005, 07:09:52 AM »
Reply with quote
wah wahhhhhhhhhh all n humtum janab badiya hai as usual Usual Smile
Logged
Meena
Guest
«Reply #6 on: September 12, 2005, 04:20:43 PM »
Reply with quote
thanxxxxxxx nikki and salma and majid ji... gud one nikki!!  :D
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #7 on: September 13, 2005, 12:37:07 PM »
Reply with quote
bahut bahut khub humtum ji
Logged
nikki
Guest
«Reply #8 on: September 13, 2005, 12:52:07 PM »
Reply with quote
thanx Majid, salma n Meena sis...
too gud Majid.........
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #9 on: January 16, 2006, 12:03:12 PM »
Reply with quote
Majid[/u]

Thanks a billion dear !!

Nirbay[/u]

Shukriya ji Shukriya !!

Hunter wali (Salma)[/u]

Hunter ke liye thanks !!

Choti (Nikki)[/u]

Tera vi thanks haiga !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #10 on: January 16, 2006, 12:08:18 PM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
wah humtum ji again a beauty!!!!!! yeh to bohot hi pyara pyara laga mujhe!  :D  aab yeh mat kehna ke maine kuch likha nahin ya mera keyboard karab hai par apse muqabla nahin kar sakhti na  :wink:

tareef-e-mehebood me aab kya kahon mai,
bas yehi jante hai ke Khuda se juda nahin woh!



haye Meena -Ji kya baat hai !!!  mukabla waseey kar bhi nhi sakti aap ....  mukabla har jeet ke liye hota hai .. aur aap to humey kab ka jeet chuki hai  :d

maaf kare mujhey sare jahaan ki khudaii
khuda se pehley jubaan pe mere "Meena" aayyi !!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:18:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer