AAP NEECHE APNA NAAM NA BHI LIKHEIN TOH HUM PEHCHAN LENGE..... KI ALFAAZ RUSTUM-E-DIL SE NIKLE HAI...AAPKE EHSAAS, APKI SOACH, AAPKE KE AKSHAR,APKI LIKHAWAT HI AAPKI PEHCHAAN KRA DETI HAI...PHIRHAAL "RAU"HI QUBOOL KER LIJIYE, ABHI YO PER ISSE BADI KOI CHEEZ AYI HI NHI JISSE HUM AAPKE LIKHAWAT KO NAWAJE...
Hi
Pooja ji, wo kya hai ke aapse mili itni tareef padh kar hamen Rajesh Khanna ke dialogs yaad aagaye, jo film Daag me Sahir Ludhyanvi ke likhe kuch yon hain...
Aap, aap kya jaane mujhko samajhte hain kya
Main to kuch bhi nahi
Is khadar pyar itni badi bheed ka main rakhonga kahan
Is khadar pyar rakhne ke khabil nahi
Mera dil meri jaan
Mujhko itni mohabbat na do dosto
Mujhko itni mohabbat na do dosto
Sonch lo dosto
Is khadar pyar kaese sanbhalonga main
Main to kuch bhi nahi
Pyar, pyar ek shaqs ka bhi agar mil sakey to badi cheez hai zindagi ke liye
Aadmi ko magar ye bhi milta nahi, ye bhi milta nahi
Mujhko itni mohabbat mili aapse, mujhko itni mohabbat mili aapse, ye mera haq nahi meri taqdeer hai
Main zamane ki nazron me kuch bhi na tha, main zamane ki nazron me kuch bhi na tha
Meri aankhaon me ab tak wo tasweer hai
Is mohabbat ke badle, main kya nazar doon
Main to kuch bhi nahi
Izzaten shohraten chahaten ulfaten
Koi bhi cheez duniya me rahiti nahi
Aaj main hoon jahan kal koi aur tha, aaj main hoon jahan kal koi aur tha
Ye bhi ek daur hai wo bhi wk daur tha
Aaj itni mohabbat na do dosto, aaj itni mohabbat na do dosto
Ke merey kal ki khatir na kuch bhi rahe
Aaj ka pyar thoda bacha kar rakho, aaj ka pyar thoda bacha kar rakho
Mere kal ke liye
Kal, kal jo gumnaam hai, kal jo sunsaan hai, kal jo anjaan hai, kal jo weeraan hai
Main to kuch bhi nahi hoon
Main to kuch bhi nahi.......
Bahed mashkoor hain aapki nawazish ke