tabassum shakeel
Guest
|
«Reply #60 on: July 11, 2006, 01:49:59 PM » |
|
Bohat shukriya Tabassum, aur reply karne mein aapka jawaab nahi.. thanx aryan aap jab kahte hain achcha hai to matlab lagta hai par aap ka to jawab hi kahaan hai jo ham likhen...............shukriya bahut bahut
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #61 on: July 31, 2006, 02:14:46 PM » |
|
Yeh Kaisi Mohabbat Thi Keh Bas Tinka Bhar Aitbaar Reh Gaya
Shak Ke Daiyre Mein Jo Phool Khilte Hain Unse Mehak Nahi Bas Kaante Chubte Hain
Tum Jaane Se Pehle Mud Ke Tau Dekh Lete Ek Baar Mujhe Apni Mohabbat Mein Marta Choar Gaye
Mere Qaatil Ko Dekh Lete Ek Baar Tum Bewafaa Kitni Asaani Se Keh Gaye
Zindagi Keh Kar Mujhe Meri Zindagi Le Gaye...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khalidq
Guest
|
|
«Reply #62 on: July 31, 2006, 07:45:19 PM » |
|
Bahoot achaa likhaa haay ... wah
Khalid Q.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #63 on: August 01, 2006, 04:09:46 AM » |
|
bahut khoob aryan aapki qalam alag hi chalti hai
kaash ek baar tu aaya hota dekh jaata phir apni nazaron se ham bhi ham nahi hain pahle se tere saath apna vo hansna bhi gaya ek bhuli kahani lagte hain jisko tune padha aur bhool gaya ek tahreer phate kagaz ki jisko padhna bhi dushwar hua zindgani hai jab tak jeena hai lekin ab ham nahi hain jeete hue tere jaane se mar chuke hambhi jeena ye dusaron ki khatir hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #64 on: September 18, 2006, 12:26:34 AM » |
|
Bohat shukriya Tabassum & Khalid...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #65 on: September 18, 2006, 12:29:13 AM » |
|
Door reh kar bhi tum sanam mere paas raho ge Sehra ban ke bhi tum meri pyaas raho ge Pathar apnon ne hi maare they phir bhi magar Mere apnon mein tum meri AAS raho ge Tumhari tareef mein chand lafz likh diye agar Zamaane ke liye phir tum ek Qyaas raho ge Yun khil-khila ke mere saamne hassa na karo Bicharh ke tum mujh se bohat udaas raho ge
|
|
|
Logged
|
|
|
|
badnaam_shayar
Guest
|
|
«Reply #66 on: September 19, 2006, 09:14:01 AM » |
|
Ehssaaas Mahobbat par na Jaane Dil pe kiska Zor hai..... Badd rahe ab Kadam mere na jaane konsa yeh Zindagi ka Maud hai.....
Bas Gunjati Awaazein aur Dhdakta Dil hai..... Armaan hai jaise Kaafir or hum kisi ke Humdil hai......!!!!!!!!!!!
Aryan bhai Gr8 Job
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #67 on: September 20, 2006, 01:50:26 AM » |
|
Thanks a lot Gaurav...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #68 on: October 22, 2006, 05:44:24 AM » |
|
Agar jo dil ki suno ge tau haar jaao ge Hum jaisa pyaar phir kahaan paao ge Jaan dene ki baat tau harr koyi karta hai Zindagi banaane waala kahaan se laao ge Jo ek nazar dekho ge tum hamein Tau harr taraf sirf hum hi ko paao ge YaQeen apni mohabbat par itna hai mujhe Meri chahat ko dekho ge tau laut aao ge Meri aankhon ke samander mein doob gaye agar jo Kahin jaana bhi chaho ge tau na jaa paao ge ..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
jalpari
Guest
|
|
«Reply #69 on: October 24, 2006, 12:09:34 PM » |
|
very nice Aryaan!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #70 on: October 26, 2006, 12:13:44 AM » |
|
Thanks Jalpari..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #71 on: April 17, 2007, 01:53:50 PM » |
|
Tamanna Phir Machal Jayegi Agar Tum Milne Chale Aao Yeh Mausam Hi Badal Jayega Agar Tum Milne chale Aao Mujhe Gham Hai Keh Main Ne Zindagi Mein Kuch Nahi Paya Yeh Gham Kam Ho Jayega Agar Tum Milne Chale Aao..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #72 on: April 17, 2007, 02:21:09 PM » |
|
bahoot khoob Aryaan and Badnaam Shayar ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #73 on: April 17, 2007, 03:43:42 PM » |
|
Bohat shukriya Pooja...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
muskan_bye
Guest
|
|
«Reply #74 on: December 19, 2012, 09:28:01 AM » |
|
Mashallah bohot khoob likha hai Mr. Aryaan ji
Tere tassavuur mein ye din nahi guzarta kya kare teri yaad mein ye dil machalta umeed thi ek din aaoge mere paas aye jaane wale magar maloom na tha jaoge toh kabhi lout kar na ayoge
aise jane wale ek baar piche mud kar toh dekh teri raah mein phool hi phool ho jayenge ek baar dekh socha na tha ki woh kabhi na ayenge dekh kar bhi andekha kar jayenge aise haal mein hume akela chod jayenge
********************************Muskan**************************************
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|