Chaley Bhi Aao - R. Rangila

by Rustum Rangila on April 27, 2016, 03:26:37 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1453 times)
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015


View Profile
Reply with quote
Chaley Bhi Aao Ke Ham Intezaar Kartey Hain
Tumhari Yaad Se Aankhon Me Ashk Bhartey Hain

Tumhen Bhanak Bhi Na Hogi Hamari Chahat Ki
Magar Ham Hain Ke Bas Ek Tumse Pyar Kartey Hain

Bina Tumharey Sabhi Soona Soona Lagta Hai
Judaai Me Tumhari Jeetey Hain Na Martey Hain

Ayan Karen Bhi To Chahat Ki Dastaan Kyon Kar
Tumharey Naam Ki Bad’naami Se Jo Dartey Hain

Apney Hontaon Ko Rakhen Band Bhi To Kya Hasil
Hijr Ka Dard To Nazren Bhi Bayan Kartey Hain

Self: R. Rangila
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dil key chaley(zakham) by Sonu in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4  All »
chaley aanaa by husain52 in Shayri-E-Dard
Chaley jaa rahey ho kahaan? by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kahaan ley chaley ho mujhey? by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
DIL KO PATA NA CHALEY --- SAHIL by saahill in Ghazals
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #1 on: April 27, 2016, 11:20:18 PM »
Reply with quote
bahut bahut umdah Rangila Jee waah waaahhhhh waaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhh!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
                       Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
vinery
Khususi Shayar
*****

Rau: 17
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
3 days, 17 hours and 17 minutes.
Posts: 1157
Member Since: May 2015


View Profile
«Reply #2 on: April 28, 2016, 03:33:41 AM »
Reply with quote
Bahot khoob..!
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #3 on: April 28, 2016, 05:54:39 AM »
Reply with quote
Chaley Bhi Aao Ke Ham Intezaar Kartey Hain
Tumhari Yaad Se Aankhon Me Ashk Bhartey Hain

Tumhen Bhanak Bhi Na Hogi Hamari Chahat Ki
Magar Ham Hain Ke Bas Ek Tumse Pyar Kartey Hain

Bina Tumharey Sabhi Soona Soona Lagta Hai
Judaai Me Tumhari Jeetey Hain Na Martey Hain

Ayan Karen Bhi To Chahat Ki Dastaan Kyon Kar
Tumharey Naam Ki Bad’naami Se Jo Dartey Hain

Apney Hontaon Ko Rakhen Band Bhi To Kya Hasil
Hijr Ka Dard To Nazren Bhi Bayan Kartey Hain  nazre.n moannas hain phir to karti hain hogaa jo suitable nahin hai

hijr kaa dard hum nazro.n se bayaa.n karte hain


Self: R. Rangila




bahot khoob Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
poojachakarvarti@gmail.co
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 9
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 18 hours and 31 minutes.
Posts: 265
Member Since: Feb 2016


View Profile
«Reply #4 on: April 28, 2016, 07:42:11 AM »
Reply with quote
very nice....
Logged
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015


View Profile
«Reply #5 on: April 28, 2016, 08:29:10 AM »
Reply with quote
bahut bahut umdah Rangila Jee waah waaahhhhh waaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhh!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
                       Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Bahot bahot shukriya sir Usual Smile
Logged
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015


View Profile
«Reply #6 on: April 28, 2016, 08:29:59 AM »
Reply with quote
Bahot khoob..!

Shukriya Usual Smile
Logged
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015


View Profile
«Reply #7 on: April 28, 2016, 08:49:22 AM »
Reply with quote


bahot khoob Applause Applause Applause Applause Applause Applause


Adil bhai bahot bahot shukriya maonas aur muzakkar ka farqh batane ke liye - sach mashkoor hoon aapka, ke kuch jan'ne aur seekh'ne ko mila Usual Smile
Aese hi aapki rahnumaai darkaar hogi... koi ustad nahi hai mera aur na hi main ne Ghalib, Iqbal, Meer etc ka diwaan padh kar kuch seekha hai - bas kuch shaoqh hai so apna hi likh leta hoon...
Aap'se itni hi guzarish hai ke meri islah karte rahiye ke main kuch seekh sakon Usual Smile shukriya Usual Smile
Logged
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015


View Profile
«Reply #8 on: April 28, 2016, 08:50:06 AM »
Reply with quote
very nice....

Shukriya Usual Smile
Logged
Mast Khalander
Maqbool Shayar
****

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
2 days, 11 hours and 42 minutes.

PhoolNahiMeraDilHai

Posts: 902
Member Since: Jul 2013


View Profile
«Reply #9 on: April 28, 2016, 12:46:54 PM »
Reply with quote
Ayan Karen Bhi To Chahat Ki Dastaan Kyon Kar
Tumharey Naam Ki Bad’naami Se Jo Dartey Hain

Masssssst vah vah + rau  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sbechain
Guest
«Reply #10 on: April 28, 2016, 07:54:21 PM »
Reply with quote
Chaley Bhi Aao Ke Ham Intezaar Kartey Hain
Tumhari Yaad Se Aankhon Me Ashk Bhartey Hain

Tumhen Bhanak Bhi Na Hogi Hamari Chahat Ki
Magar Ham Hain Ke Bas Ek Tumse Pyar Kartey Hain

Bina Tumharey Sabhi Soona Soona Lagta Hai
Judaai Me Tumhari Jeetey Hain Na Martey Hain

Ayan Karen Bhi To Chahat Ki Dastaan Kyon Kar
Tumharey Naam Ki Bad’naami Se Jo Dartey Hain

Apney Hontaon Ko Rakhen Band Bhi To Kya Hasil
Hijr Ka Dard To Nazren Bhi Bayan Kartey Hain

Self: R. Rangila



good icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #11 on: April 29, 2016, 06:37:45 AM »
Reply with quote
Adil bhai bahot bahot shukriya maonas aur muzakkar ka farqh batane ke liye - sach mashkoor hoon aapka, ke kuch jan'ne aur seekh'ne ko mila Usual Smile
Aese hi aapki rahnumaai darkaar hogi... koi ustad nahi hai mera aur na hi main ne Ghalib, Iqbal, Meer etc ka diwaan padh kar kuch seekha hai - bas kuch shaoqh hai so apna hi likh leta hoon...
Aap'se itni hi guzarish hai ke meri islah karte rahiye ke main kuch seekh sakon Usual Smile shukriya Usual Smile


salaam alaikum janaab rangeela sahab,

aap ki baato.n se tanz ki boo aa rahi hai . mera khayaal hai aap ko meri baat buri lagi mujhe muaaf karin.mujhe maloom hai aap urdu achchchi jante hain isliye moannas aur mozaakkar ke maane bhi jaante hain main ne apni baat ko stress dene ke liye nazar ke hawaale se moannas likha . aap mujhe is tarah jawaab dene ke badle mein correct kar lete to achcha hota uss misre ko yaa phir mujhe ye kah dete ki jo aap ne likhaa hai sahi hai. main bhi aap ki tatah seekh hi rahaa hoon .aainda main aisa kuchh nahin kahoon gaa. problem ye hain naa rangeela saahab yahaan likhne walaa her insaa.n chaahe gadhaa likhe yaa ghodaa likhe waah waah hi chaahtaa hai isliye puraane shaayar YOINDIA CHHORR kar chale gaye hain yaa bahot kam aate hain. doosri baat aap shaayad hyderabaad se hain isliye dakkani urdu bolte hain aur likhne mein bhi kuch alfaaw mein clash hotaa hai jaise agar hum bole ge to paani ka katra yaa qatra bole ge aur hyderabaad waale paani ka khtra bolte hain ab ye confusion hotaa hai ki ye kaun saa khatraa hai danger walaa hai kyaa aise kai lafz aap bhi likhte hain aur digar mere hyderabaad ke doosre saathi jaise mast qalandar saahab raushan saahab ye koi aib nahin hai . Any ways main apni baat waaps letaa hoon aur mujhe muaf karein.


Khuda hafiz
Logged
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015


View Profile
«Reply #12 on: April 29, 2016, 02:06:22 PM »
Reply with quote

good icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

Shukriya Sheba ji Usual Smile
Logged
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015


View Profile
«Reply #13 on: April 29, 2016, 02:08:56 PM »
Reply with quote

salaam alaikum janaab rangeela sahab,

aap ki baato.n se tanz ki boo aa rahi hai . mera khayaal hai aap ko meri baat buri lagi mujhe muaaf karin.mujhe maloom hai aap urdu achchchi jante hain isliye moannas aur mozaakkar ke maane bhi jaante hain main ne apni baat ko stress dene ke liye nazar ke hawaale se moannas likha . aap mujhe is tarah jawaab dene ke badle mein correct kar lete to achcha hota uss misre ko yaa phir mujhe ye kah dete ki jo aap ne likhaa hai sahi hai. main bhi aap ki tatah seekh hi rahaa hoon .aainda main aisa kuchh nahin kahoon gaa. problem ye hain naa rangeela saahab yahaan likhne walaa her insaa.n chaahe gadhaa likhe yaa ghodaa likhe waah waah hi chaahtaa hai isliye puraane shaayar YOINDIA CHHORR kar chale gaye hain yaa bahot kam aate hain. doosri baat aap shaayad hyderabaad se hain isliye dakkani urdu bolte hain aur likhne mein bhi kuch alfaaw mein clash hotaa hai jaise agar hum bole ge to paani ka katra yaa qatra bole ge aur hyderabaad waale paani ka khtra bolte hain ab ye confusion hotaa hai ki ye kaun saa khatraa hai danger walaa hai kyaa aise kai lafz aap bhi likhte hain aur digar mere hyderabaad ke doosre saathi jaise mast qalandar saahab raushan saahab ye koi aib nahin hai . Any ways main apni baat waaps letaa hoon aur mujhe muaf karein.


Khuda hafiz


Waalaekumassalaam
Adhil bhai – aap to naraaz hogeye – jab’ke mera aesa koi ghalat intention nahi raha – aap bismillah kahen aur phir se ek baar meri upar likhi baton ko padhen – inshaAllah aapki narazgi door ho jaegi – kyon’ke main ne aapki shaan me koi gustaqhi ki hi nahi...
Yaqhinan aapki rahnumaai mujhe aur mujh jaese degar saathiyon ko group par darkaar hai – aur hamari darkhast hai aapse ke hamari ghaltiyon par hamen toka aur roka kijiye – ke kundan tap’ta hai to hi sona banta hai – aur ham aapki tawajhe se apni likhaai me sudhar laana chahte hain – apna khayal rakhen – Allahafez...
Logged
Shikha sanghvi
Yoindian Shayar
******

Rau: 25
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
7 days, 14 hours and 15 minutes.

Shayari likhna or padhna humari hobby hai

Posts: 2266
Member Since: Jan 2015


View Profile WWW
«Reply #14 on: April 29, 2016, 09:50:39 PM »
Reply with quote
Very nice rustumji...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:51:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer