# # # Chand kashti ki tarah ... # # #

by diya786 on December 30, 2008, 10:44:20 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2151 times)
diya786
Guest
Reply with quote
Chand kashti ki tarah raat samundar ki tarah
Main akela hoon kisi thehre hue manzar ki tarah

Ek nazar dekh tujhe kaisa nazar aata hoon
Maine pehna hai tere pyar ko taweez ki tarah

Main teri rooh ke andar bhi utar sakta hoon
Mujh pe khulta hai tera raaz darwaaze ki tarah

Sochta hoon ki tujhe neend mein chu kar dekhon
Tu mere saamne hai khwab ki tabeer ki tarah

Jaane kab tak baitha raha main shama ke kareeb
Aag andar bhi sulagti rahi bahar ki tarah

Woh tha maujood to veerana saja tha kaisa
Saara mahaul nazar aaya mujhe ghar ki tarah

Rukhsat lamhon mein woh chup tha kitna
Main bhi khamosh tha sadak ke pathar ki tarah
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
DOOBTI KASHTI by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
kashti by aryan_mantri in Shairi - E - Zindagi
pyaar ki kashti by Ghazal in Shayeri for Dard -e- Bewafai
kashti by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Chand bhi tanha hai, meri tarah by download4me in Share: Poetry of Pain
_Vicky_
Guest
«Reply #1 on: December 30, 2008, 10:56:12 AM »
Reply with quote
Wah Kya Baat Hai DIYA ji.. Humesha Ki Tarah Lajawab Peshkash..!!
Behad Khubsoorat Kalaam Hai.. Har Lafz Mohabbt me dooba sa Hai.. Bahut bahut Khooooooooob..!! Applause

Aaina Bhi Ab Mujhse, Khafa-Khafa sa Rahata Hai,
Dekhta Hoon khudko, Nazar tum Hi Aate ho Aks Ki Tarah...

Kuch Is Kadar Ho Gaya Hoon Madhosh Tere Ishq Me,
Ke Har Lamha Lagta Hai Jaise, Jannat Ki Tarah....!!


**~** Mann **~**
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: December 30, 2008, 12:17:29 PM »
Reply with quote
Bohat khoob diya maza aa gaya too good  Clapping Smiley

Milti hain bohat teri batein meri bato se
Tu bhi ghayel hain bohat shayed meri tarah

                               -sg-
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: December 30, 2008, 12:22:46 PM »
Reply with quote
Nice one Diya Ji
Equally good response Mann Ji
aur Ghayel Ji
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #4 on: December 30, 2008, 12:42:58 PM »
Reply with quote
Outstanding Work from all of you

meri bhi eak kushish qubool ki jaye !!

uski awaz sune howe eak zamana guzar gaya !!
hum bhi qamush hain bejaan patheroon ki tarah !!

Qadeer Toopchi



Logged
cara
Guest
«Reply #5 on: December 30, 2008, 02:14:16 PM »
Reply with quote
bahut khoob diyaji......

tham si gayi hain zindagi meri ,khamosh pathar ki tarah,
 bhikhar gaya hun ,sukhe pathjar ki tarah.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: December 30, 2008, 03:02:14 PM »
Reply with quote
Applause Applause

Bohat khoob diya dear...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: December 31, 2008, 04:34:44 PM »
Reply with quote
bahoot khoob diya... yah char line to behad pasand aai:

Sochta hoon ki tujhe neend mein chu kar dekhon
Tu mere saamne hai khwab ki tabeer ki tarah

Jaane kab tak baitha raha main shama ke kareeb
Aag andar bhi sulagti rahi bahar ki tarah
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: December 31, 2008, 04:35:08 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Mann ji and SG JEE
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 01, 2009, 12:19:08 AM »
Reply with quote
Bohat Hi Badhiya Likha Hai Kashish Nice One Yaar,.
Logged
diya786
Guest
«Reply #10 on: January 01, 2009, 10:02:40 AM »
Reply with quote
BAHUT BAHUT SHUKRIYA DOSTON
WAISE YEH NAZM MERE EK DOST NE LIKHI HAI AUR UNHI KE KEHNE PAR YAHAN APNE NAAM SE POST BHI KI PAR AB RESPONSE DEKHKAR UNHEIN YAKEEN AA JAAYEGA KI ACCHA LIKHA HAI UNHONE
notworthy
Logged
diya786
Guest
«Reply #11 on: January 01, 2009, 10:05:06 AM »
Reply with quote
Wah Kya Baat Hai DIYA ji.. Humesha Ki Tarah Lajawab Peshkash..!!
Behad Khubsoorat Kalaam Hai.. Har Lafz Mohabbt me dooba sa Hai.. Bahut bahut Khooooooooob..!! Applause

Aaina Bhi Ab Mujhse, Khafa-Khafa sa Rahata Hai,
Dekhta Hoon khudko, Nazar tum Hi Aate ho Aks Ki Tarah...

Kuch Is Kadar Ho Gaya Hoon Madhosh Tere Ishq Me,
Ke Har Lamha Lagta Hai Jaise, Jannat Ki Tarah....!!


**~** Mann **~**



NICE LINES VICKY
KEEP GOING
Applause Applause
Logged
diya786
Guest
«Reply #12 on: January 01, 2009, 10:07:14 AM »
Reply with quote
Outstanding Work from all of you

meri bhi eak kushish qubool ki jaye !!

uski awaz sune howe eak zamana guzar gaya !!
hum bhi qamush hain bejaan patheroon ki tarah !!

Qadeer Toopchi





ABDUL SAHAB BAHUT KHOOB LIKHA HAI AAPNE Applause Applause
Logged
diya786
Guest
«Reply #13 on: January 01, 2009, 10:09:39 AM »
Reply with quote
Bohat khoob diya maza aa gaya too good  Clapping Smiley

Milti hain bohat teri batein meri bato se
Tu bhi ghayel hain bohat shayed meri tarah

                               -sg-



KAMAAL LIKHA HAI SAJID SAHAB Applause Applause
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #14 on: January 01, 2009, 10:12:31 AM »
Reply with quote
BAHUT BAHUT SHUKRIYA DOSTON
WAISE YEH NAZM MERE EK DOST NE LIKHI HAI AUR UNHI KE KEHNE PAR YAHAN APNE NAAM SE POST BHI KI PAR AB RESPONSE DEKHKAR UNHEIN YAKEEN AA JAAYEGA KI ACCHA LIKHA HAI UNHONE
notworthy


Achcha khasa mazak bana ke rakh diya aap logho.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:26:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer