##Chand Phir Nikla##

by honeyrose on March 16, 2008, 07:55:52 PM
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 3795 times)
honeyrose
Guest
Reply with quote
Chand phir nikla aur shama jalne laghi
Iss isqh ki aag mein diwani ban chuki

Chahe tum door ho fir bhi dil ke kareeb ho 
Jab tak chamake chaand sitare hum hai tumhare 

Sagar ke jo laharen pukare milake rahenge dono kinare
Chahe paas ho chahe door tum ho mere jeevan ki tasveer

Mere pyaar ka chand tum mujhe bhul na jaana
Mere pyaar ka nazrana lekar toh jaana

Chup gaye ansoo aaj phir bharish mein
Dil main phir gum ka sailab aaya hai

Chupa loh mujhe chand ki chaon mein
Saja loh mujhe aapni bhaon mein
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
chand nikla to by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khuda bhi tumarah chahne wala nikla by chahat in Shayri for Khumar -e- Ishq
CHAND PHIR UDAS HAI by ripan dev in Share: Poetry of Pain
Chand ko apna banane nikla tha... Saavan.. by Saavan in Miscellaneous Shayri
Aaj phir chaand nikla hai by @Kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
honeyrose
Guest
«Reply #1 on: March 17, 2008, 07:29:18 AM »
Reply with quote
Shukriya majid..Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: March 17, 2008, 11:13:43 AM »
Reply with quote
Nice one Honey...Keep it up..! Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: March 17, 2008, 03:44:50 PM »
Reply with quote
nice work honey!!
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #4 on: March 18, 2008, 04:36:02 AM »
Reply with quote
Honey wrote:-
Quote
Chand phir nikla aur shama jalne laghi
Iss isqh ki aag mein diwani ban chuki

Chahe tum door ho fir bhi dil ke kareeb ho 
Jab tak chamake chaand sitare hum hai tumhare 

Sagar ke jo laharen pukare milake rahenge dono kinare
Chahe paas ho chahe door tum ho mere jeevan ki tasveer

Mere pyaar ka chand tum mujhe bhul na jaana
Mere pyaar ka nazrana lekar toh jaana

Chup gaye ansoo aaj phir bharish mein
Dil main phir gum ka sailab aaya hai

Chupa loh mujhe chand ki chaon mein
Saja loh mujhe aapni bhaon mein


Honey..aapne apni tehreer main apne sheroN ki har jodi alag likhi...azaad nazmm keh sakte haiN......per khoobsoorat likhi.....Agar critiqs ke tour par iska jawaab likheiN alag tareeke ka...tanz liye hoga..per achha bhi wahi lagega.....kyuN ki maiN tanz our dard hi bechta hooN so wahi likhta hooN....

Ye pal pal ka chalna fasila khatam na karega,
Tum kitna bhi chaho tumeh woh kal na milega

Ye dil ke tukde haiN ya aapki yadeiN
Tum kitna bhi chao, tumeh marham na milega.

Harash
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #5 on: March 18, 2008, 06:45:07 AM »
Reply with quote
Honey wrote:-
Quote
Chand phir nikla aur shama jalne laghi
Iss isqh ki aag mein diwani ban chuki

Chahe tum door ho fir bhi dil ke kareeb ho 
Jab tak chamake chaand sitare hum hai tumhare 

Sagar ke jo laharen pukare milake rahenge dono kinare
Chahe paas ho chahe door tum ho mere jeevan ki tasveer

Mere pyaar ka chand tum mujhe bhul na jaana
Mere pyaar ka nazrana lekar toh jaana

Chup gaye ansoo aaj phir bharish mein
Dil main phir gum ka sailab aaya hai

Chupa loh mujhe chand ki chaon mein
Saja loh mujhe aapni bhaon mein


Honey..aapne apni tehreer main apne sheroN ki har jodi alag likhi...azaad nazmm keh sakte haiN......per khoobsoorat likhi.....Agar critiqs ke tour par iska jawaab likheiN alag tareeke ka...tanz liye hoga..per achha bhi wahi lagega.....kyuN ki maiN tanz our dard hi bechta hooN so wahi likhta hooN....

Ye pal pal ka chalna fasila khatam na karega,
Tum kitna bhi chaho tumeh woh kal na milega

Ye dil ke tukde haiN ya aapki yadeiN
Tum kitna bhi chao, tumeh marham na milega.

Harash


Shukriya Talat ,Pooja aur Harash ji..Usual Smile

Humhe aaj bhi unka intezaar hogha
Humhe yaqeen hai ki kal zaroor hogha

Woh dard-e-gum mein bhi ik pyaar ki pyaas hai
Woh dekh ley meri aab-e-deedah woh dard ki pyaas hai


~honeyrose~
 
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #6 on: March 18, 2008, 04:09:57 PM »
Reply with quote
Honey ..bahoot khoob.........

Honey wrot:-

Quote
Humhe aaj bhi unka intezaar hogha
Humhe yaqeen hai ki kal zaroor hogha

Woh dard-e-gum mein bhi ik pyaar ki pyaas hai
Woh dekh ley meri aab-e-deedah woh dard ki pyaas hai


Teri aankhoN ke samander maiN ye jalan kaisi hai
Gar hai bhi toh numaiish kerne ki lagan kaisi hai


ye intezaar our yaqeen ab toh lazmi hai mere dost
Is Dard-e-gum maiN ye pyaar ki pyaas kaisi hai


Harash
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #7 on: March 18, 2008, 07:18:40 PM »
Reply with quote
Bohat khoob HoneyRose... Nice Reply Harash...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #8 on: March 19, 2008, 06:15:35 AM »
Reply with quote
Shukriya Harash ji aur Arjaan..Usual Smile

Aaye the woh meri daman mein khushiya bharne
Ek khali yaadein chor gaye meri daman mein
Ek ajeeb sa dard hai iss pyaar mein
Raasta toh hai par manzil nahi hai pyaar mein
 
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #9 on: March 19, 2008, 06:44:42 AM »
Reply with quote
Shukriyaa aryan and Honey....

Mujhe kon sa lutf hasil nahiN hai
Tera gum bhulane kekabil nahiN hai
Tere dum kadam se diloN maiN hai rounaq
Woh dil kya hai jo teri manzil nahiN hai


Harash
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #10 on: March 19, 2008, 07:01:06 AM »
Reply with quote
Shukriyaa aryan and Honey....

Mujhe kon sa lutf hasil nahiN hai
Tera gum bhulane kekabil nahiN hai
Tere dum kadam se diloN maiN hai rounaq
Woh dil kya hai jo teri manzil nahiN hai


Harash

Bohat khoob Harash ji..Usual Smile

Manzil ka toh hosh nahi
Aaj ki zindagi mein naye kadam rakhe
Kal ka humey koi itemaad nahi
Na jaane kab hum mil paye..
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #11 on: March 19, 2008, 07:23:58 AM »
Reply with quote
Honey wrote

Quote
Bohat khoob Harash ji..

Manzil ka toh hosh nahi
Aaj ki zindagi mein naye kadam rakhe
Kal ka humey koi itemaad nahi
Na jaane kab hum mil paye..

Waah bahoot khoob honey...yahi naam hai shayad.....achha likh lete haiN aap...


Tuzh se milker mohabbat ki ada bhool gaye
Doobker tujhmaiN sanam rasme wafa bhool gaye

Teri aankhoN se chhalakte haiN mai ke paimane
Mili nazer toh maikade ka nasha bhool gaye.

Khuda jaane aitmaad ka sila kya hai aage
khwaab lete lete milne ka sila bhool gaye.


Harash
Logged
punam
Guest
«Reply #12 on: March 19, 2008, 07:31:21 AM »
Reply with quote
wow bahot khoob Honey di Harsh ji ...
Logged
punam
Guest
«Reply #13 on: March 19, 2008, 07:32:06 AM »
Reply with quote
madhoshi ka aalam chaya hai mujhpe
jab se nazarein mili hai tujh se..

ilzaam main ab dun kis ko batao
ghayal huyi jo teri aankhon ke teer se...
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #14 on: March 19, 2008, 07:42:55 AM »
Reply with quote
Punam wrote:-

Quote
madhoshi ka aalam chaya hai mujhpe
jab se nazarein mili hai tujh se..

ilzaam main ab dun kis ko batao
ghayal huyi jo teri aankhon ke teer se...

bahut khoob punam.....aapkee dono'n ashar pasnd aaye....aise hee achchhe-achchhe sher se iss bazm kee raunaq barhaate rahiye...


Teri madhoshi ko mere dil ki shikayat hai
NazreiN mila ker baat kero toh kyamat hai
KyuiN kerte ho iljammoN ki bateiN yahaaN
Ghayal ho ankhoN ke teer se inayat hai


Harash
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 04:22:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer