##Chand Phir Nikla##

by honeyrose on March 16, 2008, 07:55:52 PM
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 3794 times)
honeyrose
Guest
«Reply #15 on: March 19, 2008, 08:04:09 AM »
Reply with quote
Punam aur Harash ji bohat acha likha hai aapne Applause

Ghayal hue par maut na aaye
Unke isqh mein pal pal roye
Aaj aakhir ek mudat ke baad aaye
Ek chahat ke liye sare umar gawa di
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
chand nikla to by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khuda bhi tumarah chahne wala nikla by chahat in Shayri for Khumar -e- Ishq
CHAND PHIR UDAS HAI by ripan dev in Share: Poetry of Pain
Chand ko apna banane nikla tha... Saavan.. by Saavan in Miscellaneous Shayri
Aaj phir chaand nikla hai by @Kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
harashmahajan
Guest
«Reply #16 on: March 19, 2008, 08:15:12 AM »
Reply with quote
Honey wrote:-

Quote
Punam aur Harash ji bohat acha likha hai aapne

Ghayal hue par maut na aaye
Unke isqh mein pal pal roye
Aaj aakhir ek mudat ke baad aaye
Ek chahat ke liye sare umar gawa di

Waah bahoot hi khoobsoorat andaaz diya hai aapne honey .....

har taraf meri mohabbat ke aise saaye haiN
Ho jaoge giraftaar itne chahat ke paaye haiN
Aise na Ganwao apni baali umariyaa kantoN main
Humm badi muddat baad tere dil ke gaanv aaye haiN


Harash
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #17 on: March 19, 2008, 10:23:12 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Harash ji..

Diwaani bangaye hoon tumare isqh mein
Par isey nadani na samaj beithen
Kanton se guzari hai dard humne
Kuch beegi yaadein se wakif hai hum
Logged
jesica
Guest
«Reply #18 on: March 19, 2008, 10:27:27 AM »
Reply with quote
it was awesome, thanks for posting Usual Smile

_____________
BMI calculator
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #19 on: March 19, 2008, 11:00:33 AM »
Reply with quote
Nice One,.
Logged
punam
Guest
«Reply #20 on: March 19, 2008, 02:04:45 PM »
Reply with quote
Thanx Honey di...nice one from u..

bahot khoob Harsh ji...bahot hi acha reply diye aap ne..
Logged
punam
Guest
«Reply #21 on: March 19, 2008, 02:05:42 PM »
Reply with quote
Meri Zindagi Ka To, Wo Haseen Khwaab hai
Zindagi Uske Bin Ek Khaali Kitaab Hai..

Khumaar Mein Khudko Pehchaan Na Saki "Punam"
Mohabbat ke Bagair Ye Zindagi Azaab Hai...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #22 on: March 19, 2008, 02:34:14 PM »
Reply with quote
Bohat acha likha hai punam dear Applause


Samunder Mein Chupa Hue Hai Tumare Khoobsurat Chehera
Chand Jaise Haseen Mohabbat Hai Tumara Chehera
Deere Deere Yun Na Chura Loh Mera Daman Se Phoolon Ki Mehek
Iss Dil Mein Mohabbat Bhi Hai Aur Jalan Bhi Dekh Kar Tumara Chehera
 
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #23 on: March 19, 2008, 06:11:50 PM »
Reply with quote
Honey wrote:-

Quote
Bohat khoob Harash ji..

Diwaani bangaye hoon tumare isqh mein
Par isey nadani na samaj beithen
Kanton se guzari hai dard humne
Kuch beegi yaadein se wakif hai hum


Shukriyaah punam and honey.......


Ye ishq nahiN asaaN nadaani ki koi Gunjayiish nahiN
KantoN bhari dard-e-shaamm inki koi ajmayiish nahiN
yadoN ka kaafila bhi gar hai tere zehen maiN bharpoor
Toh yaqeenan pyaar ki darkaar hai koi paimayiish nahiN


Harash
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #24 on: March 20, 2008, 04:52:46 AM »
Reply with quote
Wah aap ne to khoob likha hai Harash ji Applause


Ek ajnabi se meri mulakat hua
Ek ajnabi se chahat ka ikraar hua

Mujhe uski talash har waqt hua
Jab tak meri saanson mein uski pyaas hai

Roz nikal tha hai meri aankhon mein ansoo
Jaise kabhi zindagi mein bahar aaya aur rukh gaye ho
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #25 on: March 20, 2008, 05:33:36 AM »
Reply with quote
Shukriyaah Honey....ab bhi usi andaz main ho mokhatib mujh say ?  happy3.... ..Is main shamil hai mere ajnabi hone ka sabab our dil ki taareeki bhi...sad7

Bahoot hi  khoobsoorat ahsaas diye haiN aapne.......

Afsos aaj pyaar ne majhabi samajh liya
Mujhko bhi unhone aaj ajnabi samajh liya

talashte rahe woh humko umra bhar yuiN hi
Mile jo unse aaj unhone maksad badal liya

Harash
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #26 on: March 20, 2008, 05:43:25 AM »
Reply with quote
Quote
Meri Zindagi Ka To, Wo Haseen Khwaab hai
Zindagi Uske Bin Ek Khaali Kitaab Hai..

Khumaar Mein Khudko Pehchaan Na Saki "Punam"
Mohabbat ke Bagair Ye Zindagi Azaab Hai...

Waah punam ji waah..bahoot achhe....

YuiN khwaab apne sanjo ke rakha keejiye
haseen Gulaab kitab maiN rakha keejiye

Itna bhi khumaar nahiN hai theek ab yahaN
Mohabbar apni sammbhal ke rakha keejiye


Harash
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #27 on: March 20, 2008, 05:47:23 AM »
Reply with quote
Bohat acha reply hai Harash ji...Usual Smile


Kyun dukhi hote ho mere sanam
Pehle ajnabi the aab aapne ho mere sanam

Pehle yeh dil khali tha mere sanam
Aab iss dil mein pyaar ki kiran jalak rahe hai

Hum toh aapki nazaron mein therna hai 
Tumse pyaar ka wada lete hai mere sanam
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #28 on: March 20, 2008, 06:22:54 AM »
Reply with quote
Bahoot khoob Honey....kyaa jazba diya hai lafzoN ne....Kash ismeiN itni roshni hoti ke tere saye se bhi Guftagoo ker lete...

kuchh shaks hi mile the aise mujhe,chain se hum jee na sake
jisko chaahaa pa na sake,jo milaa uss se muhbbat ker na sake


Harash
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #29 on: March 20, 2008, 06:47:07 AM »
Reply with quote
Shukriya Harash ji aur bohat acha likha hai aapne ..


Har koi pyaar ke mazil par jaana soch ta hai
Kabhi hum mazil ke paas hote hai aur kareeb na mil pate hai

Pyaar jisne bhi kiya unhe aasu milte hai
Ek lambhi khaahish karne par hi pyaar hasil hoti hai

Umar guzar the dekha hai humne par woh khoya pyaar nahi milta 

Kaash aisa bhi hota ke unse kabhi humhe judai ka gum na milta
Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 04:16:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer