tabassum shakeel
Guest
|
nahi koi chahiye jab saath me hain chand tum aur main andhera kyun vahhan jab sath me hain chand tum aur main
safar har khush numa hai rasta kitna bhi lamba ho dilon se khush vo badhate ja rahe hain chand tum aur main
garahan aane se bashak duniya se door ho hi jaate hain magar tab bhi to sang hain chand tum aur main
us jalte suraj se door hai apni ye sard duniya isise khush hain rahte chand tum aur main
ye duniya khoobsurat hai jahan pe aa base hain ham nahi koi aur hai bas chand tum aur main
vo din ki talkh tapish duniya ki berahmi aur baaten ham is raat me hanste rahe hain chand tum aur main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
TOUCHY
Guest
|
|
«Reply #1 on: June 14, 2006, 05:07:25 PM » |
|
WoW!! bahut hi Achha Likha hai Aapne...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
TOUCHY
Guest
|
|
«Reply #2 on: June 14, 2006, 05:30:07 PM » |
|
Haanstay Haanstay Roo Perhty Thi Kitny Pagal Wo Larki Thi
Us K Hoont To Chup Rehtay Thay Aankho Se Baatain Karty Thi
Chat Per Dhoop Mian Baithay Baithay Din Bhar Wo Sapnay Bunty Thi
Uljhi Yaadain Suljhanay Main Saari Raat Ganwa Dete Thi
Kitna Tha Thehraoo Us Main Lekin Wo Kitny Gehri Thi
Ek Din Chaltay Chaltay US Nai Mujh Se Koi Baat Kahi Thi
Aur Phir Raasta Ek Nahy Tha Us Ki Manzil Aur Koi Thi
Bilkul Waisay Phool Khilay Hain Jaisay Wo Haansty Rehty Thi
Aab To Bhool Giya Houn Shaid Us Per Ek Ghazal Likhi Thi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #3 on: June 14, 2006, 07:01:16 PM » |
|
wah touchy wah aapka to jawab hi nahi yani ya to likhna nahi likhna to bas bahut hi achcha likhna
arz kiya hai jis ladki ki baat ho karte vo sach me bilkul aisi thi chand ko dekhke vo roti thi tum ko dekhke muskati thi sabse alag raha karti thi phoolon se baaten karti thi titali yan uski sakhi saheli tare sare uske saathi tum dono ka sath anutha saath saath achche lagte the vo tum se ye kah na paai uski bhi koi majboori thi tum se door kahin rahti hai tum ko sapno me rakhti hai tumne jo vo gazal likhi thi aaj bhi usko vo gungunati hai rote rote hans deti hai hanste hanste ro deti hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
TOUCHY
Guest
|
|
«Reply #4 on: June 14, 2006, 07:06:18 PM » |
|
wah touchy wah aapka to jawab hi nahi yani ya to likhna nahi likhna to bas bahut hi achcha likhna
arz kiya hai jis ladki ki baat ho karte vo sach me bilkul aisi thi chand ko dekhke vo roti thi tum ko dekhke muskati thi sabse alag raha karti thi phoolon se baaten karti thi titali yan uski sakhi saheli tare sare uske saathi tum dono ka sath anutha saath saath achche lagte the vo tum se ye kah na paai uski bhi koi majboori thi tum se door kahin rahti hai tum ko sapno me rakhti hai tumne jo vo gazal likhi thi aaj bhi usko vo gungunati hai rote rote hans deti hai hanste hanste ro deti hai Bahut khooob tabassum Jee.......Superbb
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #5 on: June 14, 2006, 07:11:02 PM » |
|
aapki zyada achchi hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
TOUCHY
Guest
|
|
«Reply #6 on: June 14, 2006, 07:27:21 PM » |
|
Aapki toh Aadat hai Tareef karne ki........Aur Khoobsoorat likhne ki.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #7 on: June 14, 2006, 07:50:52 PM » |
|
ji ye hamari nahi aapki aadat hai.......
tanha tanha rahte ho kam kam zara tum likhte ho lekin jab jab likhte ho sab se achcha likhte ho
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #8 on: June 18, 2006, 08:47:10 AM » |
|
hain kitne ab akele chaand tum aur main sabhi hi ghamzada hain chand tum aur main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pankhuri2
Guest
|
|
«Reply #9 on: June 18, 2006, 09:41:09 AM » |
|
wah tabassum and touchy dono ne bahoot hi acha likha hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
TOUCHY
Guest
|
|
«Reply #10 on: June 18, 2006, 09:42:46 AM » |
|
wah tabassum and touchy dono ne bahoot hi acha likha hai Thanks Pankhuri Jee.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #11 on: June 18, 2006, 12:13:35 PM » |
|
shukriya pankhuri touchy hamesha bahut achcha likhte hain par zara kam likhte hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
PREMANSHU
Guest
|
|
«Reply #12 on: June 18, 2006, 12:28:35 PM » |
|
Good Work All of You . . . Kaun hain jo har dum saath rahenge Chaand Tum aur Main
Har pal har gadi ek duje se pyaar karenge Chaand Tum aur Main
Es Jalim Duniya se mil kar ladenge Chaand Tum aur Main
Raat ke andheron ko door yun Karenge Chaand Tum aur Main
Jaamane ko PREM ki yaad hamesha denge Chaad Tum aur Main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #13 on: June 18, 2006, 12:53:50 PM » |
|
ye jaane chaand bhi kya cheez hai jo saath hai mere nahi ham dam koi jo saathye na ho tum hamse door ho itna ki bas ab kah nahi sakte ye ham se door hokar bhi hame dikhta to rahta hai mera hai ik sahara chand hi to ki tum to door bas saalon se hi ho kabhi bas saath me the chaand tum aur main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
PREMANSHU
Guest
|
|
«Reply #14 on: June 18, 2006, 01:01:46 PM » |
|
Nice one . . .
Kya sama tha jab saath rehte the Chaand Tum aur Main
Har raat der tak baat karte the Chaand Tum aur Main
Kaise hota hai PREM Jaamane ko sikhate the Chaand Tum aur Main
Aaj chahe hum Juda ho par ek-duje ko Yaad to karte hai Chaand Tum aur Main. . . .
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|