tabassum shakeel
Guest
|
«Reply #105 on: July 07, 2006, 05:42:03 PM » |
|
thanx ranju
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #106 on: July 07, 2006, 05:42:54 PM » |
|
=D> Superb Everyone..
Shakeel Jee Aapke iss thread ke naam mein ek decent sa Attraction hai... Chand Tum aaur main
A perfect and Beautiful selection of words for a thread's name.. Well done =D> thanx neer apko achcha laga khushi hui
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #107 on: July 07, 2006, 05:44:16 PM » |
|
Good stuff Tabassumjii..Excellent support from others too sd ji aaj kya hua kaafi log hain yahaan :o aapka bahut shukriya aap hamesha honsla dete hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #108 on: July 08, 2006, 12:45:27 PM » |
|
vo tera chaand se jo pyar tha kuchh use hi dekh ke ye chaand pyara mujhko lagata jo usko dekhatin hun yaad teri mujhko aati ki ye tu chand ko bhi to zara batla hi dena nahi to usko jaane konsa guman hoga mera to chaand hai tu hi ye usko jaake kahna ke teri roshni me bheegti hai raat meri ki tujh ko dekh bhi saktin hun itani door se main ki doori hai hamari chaand si hi magar phir kaise maine tujhko dekha hain bas in uljhano me chaand tum aur main........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #109 on: July 09, 2006, 04:58:23 AM » |
|
tu aur main aur chaand hain saathi raat saath me gaati jaati tare saare hain baarati shabnam jugnu raat ki raani saare saath hain apne chalte raaton ke is veerane me apni duniya mahak rahi hai chalo shafaq par range subah hai hamko apne ghar jaana hai tum bhi louto ham bhi louten sare apne ghar ko jaaen raat khatm hai saath khatm hai phir hain akele chaand tum aur main...........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #110 on: July 10, 2006, 08:18:46 PM » |
|
Very Nice Tabassum...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #111 on: July 11, 2006, 01:33:01 PM » |
|
thanx a lot aryan aap ko pasand aaya to achcha laga..........................
hai ab na chaand na tum sath me ho akeli raat ke raahi hain bas ham ham teeno saath jo bas khush bade the sabhi ko hi laga ye ho na pae hain ab teeno hi tanha chaand tum aur main....................................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #112 on: July 12, 2006, 03:11:49 PM » |
|
ye kaisa hai andhera bin tumhare ham ko kuch kyun nazar nahi aata nahi tha chaand tab bhi saath hamthe tumhari roshni se main nahai ki ham dono se thi tab raat roshan ki saare taare bhi hamse the jalte ki unse zyada the ham tum chamkte thi vo roshni jo pyar ki thi ki jisase saari raaten thi chamkati nahi ab roshani koi nahi hain saath me ab chaand tum aur main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #113 on: July 14, 2006, 01:54:07 PM » |
|
chand ki thandak bhari hai mere dil me is tarah chahe kitni dhoop ho mujh tak pahunch paati nahi ek tera pyar bhi hai chandani ki hi tarah saath hai ye to mujhe bas zindagi aasan hai tera mera saath kaisa door rah kar saath hain jaise chaand bhi door rahkar bhi to mere saath hai teeno hi hain door kitane aur kitane paas hain manzilen apni nahi hain rasta hi hai faqat jis pe chalet ja rahe hain chaand tum aur main……………………
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #114 on: July 15, 2006, 04:32:36 AM » |
|
kabhi doori na apne beech aati hain ham bas dooriyon se saath chalte ki aapas me hain aksar baat karte chaand tum aur main.......... kabhi tumne kaha tha mujhse aisa ki sunke main na kuchh tab kah thi paai tabhi hansane laga tha chaand dekho mujhe kitani bhala tab sharm aai..... ki tum ho aise kuchh na sochate ho kya tumko na khabar ki chaand bhi hai? akele ham nahi hain is dagar par sada se saath chalte chaand tum aur main...........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Style_guru
Guest
|
|
«Reply #115 on: July 15, 2006, 04:14:06 PM » |
|
The Style Guru Says.......
Dekho ye kaun laut aaya hai shab dhale, Phir saath chalte hain Chaand-Tum aur main,
Ab na judai hai na mushkilen, Bas Chaand-Tum aur main,
Mujhko apni aankh ka Kaajal bana le, Phir saath rahenge Chaand-Tum aur main,
Main tere ashqon ko rok lunga behne k pehle, Main tere ghamon ko sokh lunga theherne se pehle,
Na kabhi koi hizr ki baat hogi na ghamon ka kaarvan hoga, Bas saath rahenge Chaand-Tum aur main....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #116 on: July 16, 2006, 08:43:39 AM » |
|
jo din hota hai ham sab lout jaate tum apne ghar ko main apne hi ghar ko magar ye chaand jaata kahaan hai kya iska bhi koi hai ghar kahin par ya ye bas chhup ke kahin hai baith jaata aur jyon hi shaam ho vapas hai aata hamara saathi hai isase to poochho kya ghar bhi hai na koi paas isake azal se saath hain hma teen raahi to kya ham isake dukh ke saath na hon agar isaka nahi hai koi ghar to ise le aaten hain ham apne ghar hi chalen hain raat ko saath aksar rahennge din me bhi ab saath me hi chaand tum aur main...................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #117 on: July 17, 2006, 03:06:21 PM » |
|
chale the saath chaand ke ham ek raat thi aansu the meri aankh me aur main udas thi tere bhi dil me kuchh tha gham ki tu bhi chup sa tha tanha sa aasmaan me ye chaand bhi to tha teeno ka dukh kuchh ek tha ro saath chal pade tabse na bas ruke hai hamara ye qafila kabhi bhi ruk na pae chaaand tum aur main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #118 on: July 18, 2006, 04:43:47 PM » |
|
raat hai aaj bhi par tum na aae na tum aae to dekho chaand bhi gum aur ham bhi baithe phir aaj gumsum ye shabnam ki boonden hain ya hain aansu ye kya aaj raat bhi rone lagi hai saath mere main tanha hun yahaan aur tum kahaan ho kahin na kahin to hoga raat ka vo chaand tanhaa ki tanha raat hi tanha nahi hai aaj hain tanha chaand ,tum aur main..................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #119 on: July 20, 2006, 07:07:26 AM » |
|
hain tanha raat ke tanha musafir chaand tum aur main kabhi na rukne pae chaand tum aur main tum jo hamse khafa ho raat se hi to tum lagte ho pyare aur hamko ki tum jis baat pe roothe the hamse vahi ek baat hai hamko bhi pyari tumhe hai na pasand koi hamko dekhe hamari chahten hain tumhi dekho isi se shab ko sab se door chalte chaand tum aur main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|