chand tum aur main

by tabassum shakeel on June 14, 2006, 04:42:59 PM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11
ReplyPrint
Author  (Read 8295 times)
Aryaan
Guest
«Reply #120 on: July 20, 2006, 03:03:26 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Tabassum & Style_Guru....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
""Jab Serd Bhoji Si Ratoon Main Tum Chand Ko Tanha by qakhs in Shayri for Khumar -e- Ishq
Fazaoon Main Bikherta Dard Main Samait Laiti Hoon by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
chand lamhon main by assi in Ghazals
Chand Aur Main ..! by awais_007 in Share:Miscellaneous Shayari
Main Aur Chand! by Shireen Hakani in Shayri for Dard -e- Judai
tabassum shakeel
Guest
«Reply #121 on: July 20, 2006, 03:31:06 PM »
Reply with quote
shukriya aryan
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #122 on: July 21, 2006, 05:16:14 PM »
Reply with quote
safar me hain sada se
chaand tum aur main
kabhi khush rah na paae
chaand tum aur main
na manzil koi hai na rasta hai
faqat chalne ka ek ye silsila hai
kabhi socha nahi pahunchen kahaan pe
kabhi chaha nahi paaenge kuchh bhi
hame hai justju teri ae saathi
tujhe shayed hai kuchh shak sa ham pe
tabhi hamse khafa hai kuchh dino se
jo tu na ho to hai bas chaand apna
ki isake ik siva koi nahi hai
ye tera vaham hai tu khud hi samjhe
hamare saath hai bas
chaand tum aur main....................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #123 on: July 22, 2006, 02:56:21 PM »
Reply with quote
safar jaari hai phir se raat aai
hamari nazren tumko dhundati hain
tumhe fur sat mile to tum bhi aana
ki tanha chaand aur main chal pade hain
tumhara saathi ab tum ko mubarak
hamara sathi na tum ban sakoge
hame maaloom hai ye baat phir bhi
tumhara intezaar aadat hamari
kabhi the teen saathi chaand tum aur main..........
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #124 on: July 22, 2006, 04:10:18 PM »
Reply with quote
TS ! Bahut bahut KHoob!

Dil karta hai Chand pe ek plot book kar Doon!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #125 on: July 22, 2006, 04:17:45 PM »
Reply with quote
Kuch koshish mein bhi kartaa honn!

Dil karta hai Chaand par mein naam tera likh doon
Mein tohfe mein tumko ye chaand nazar kar doon
Rehkar dharti par ye, har aaor khusyon ka shajar kar doon
Kho jaayein ek duje ki bahon mein fhir, Chaand Tum aaur main

Dil kki kasak hai, mai teri har rah khush dagar kar doon
Dard kanto ka tum par se be asar kar doon
Rakh kar daaman mein tere dil apna, mein khud ko amar kar doon
Gumnaam hokar reh jayein kisi chaman mein, chaand tum aaur main
Logged
ranjana
Guest
«Reply #126 on: July 22, 2006, 05:25:35 PM »
Reply with quote
bahut khoob neer and tabassum ..........bahut sunder likha hai!!!!!
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #127 on: July 24, 2006, 12:06:15 PM »
Reply with quote
The Style Guru says..........


Bhai, yahan to humne saare chand ko next 100 years k liye book kar liya hai. Ab aapke liye kahin aur jagah dekhte hain :lol:
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #128 on: July 25, 2006, 02:10:09 PM »
Reply with quote
thanx majid ,neer aur ranju bahut khoob likha hai aapne
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #129 on: July 25, 2006, 02:14:36 PM »
Reply with quote
tumhare saath bas rasta hai aasan
jo ye na chaand ho to gham nahi hai
tumhare rahne se ye dil hai roshan
tumhare bin to hai har raat kaali
chalo ab raat ko bhi saath leke
chaand tum aur main........................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #130 on: July 27, 2006, 01:24:41 PM »
Reply with quote
safar me dekha hai aksar hi hamne
ki anjaane bhi apne ban hain jaate
magar ye apni apni fitraten hain
koi hai saath rah kar ajnabi hai
mujhe ab chaand hi apna hai lagta
ki tum na ho to bhi ye saath rahta
tumhara saath ek ahsaan hai kya
chalo chhodo hame ab na gavara
dabe hain ranjo gham me vo bahut hai
na is ahsaan ki ham ko hai chahat
hamara bhi wajood apna hai kaafi
ki jeete aae hain jeete rahenge
ye mat kahna kabhi the saath me ham
chaand tum aur main........................
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #131 on: July 27, 2006, 01:44:07 PM »
Reply with quote
Tabassum Baaji ... ek dam aacha hai...lekin bahut gheri hai ..
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #132 on: July 28, 2006, 01:08:23 PM »
Reply with quote
thanx dear salma  
zyada gahra tha kya  :lol:
i try again.........................

chaand chala jab raat ko leke
jaane kitani bat chali tab
raat ne chaand ki taraf jo dekha
chaand hansa aur hans ke bola
tera mera saath sada ka
log hain aate log hain jaate
kis kis ki tum baat sunogi
vakt nahi hai subah hai aati
maine mud kar tumko dekha
tumko bhi koi fikr nahi hai
chaand aur tum dono ik jaise
tabhi to saath hain chalte har dam
chaand tum aur main....................................
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #133 on: July 28, 2006, 01:14:42 PM »
Reply with quote
ye bhi ek dam khubsurat tha..baaji aapki baath he kuch aur hai Usual Smile
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #134 on: July 28, 2006, 01:21:29 PM »
Reply with quote
thanx dear
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 05:00:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer