chand tum aur main

by tabassum shakeel on June 14, 2006, 04:42:59 PM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11
ReplyPrint
Author  (Read 8345 times)
Aryaan
Guest
«Reply #135 on: July 31, 2006, 02:19:26 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Tabassum....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
""Jab Serd Bhoji Si Ratoon Main Tum Chand Ko Tanha by qakhs in Shayri for Khumar -e- Ishq
Fazaoon Main Bikherta Dard Main Samait Laiti Hoon by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
chand lamhon main by assi in Ghazals
Chand Aur Main ..! by awais_007 in Share:Miscellaneous Shayari
Main Aur Chand! by Shireen Hakani in Shayri for Dard -e- Judai
tabassum shakeel
Guest
«Reply #136 on: August 01, 2006, 04:02:50 AM »
Reply with quote
shukriya aryan

chaaand ka ham se saath hai kaisa
main na rahun tosaath tumhare
 tum na raho to saath mere hai
chaand hai zyada mera saathi
aaj mujhe ye pata chala hai
main na aai chaand tha tanha
isko soch ke main hun aai
tum aao ya na aao par
chaand saath hai mere azal se
kabhi the saath  me teeno
chaand tum aur main..................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #137 on: August 03, 2006, 12:58:02 PM »
Reply with quote
chaand hai sabke dukh ka saathi
 jitani bhi jaagi aankhe hain
jitani bhi roi aankhen hain
sari hain bas isaki saathi
gham ka naata isase gahara
kabhi kahin na chaand hai thahra
chalta raha hai saath ghamon ke
sabke aansu isane dekhe
mera tumhara to kya kahna
hansna kam hai rona zyada
chaand ko sab maaloom hai jaana
meri jaan hai tum me jaana
mera koi gham na apna
tera har gham saath mere hai
jaise chalta chaand saath me
kabhi chale ham bhi the sang sang
vo hi din yaad karte
chaand tum aur main....................
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #138 on: August 03, 2006, 01:04:52 PM »
Reply with quote
nice one TABBU JI........


Intzaar rahata hai ab, bas shaam hone ka,
ki falak se wo chand mera baahar aayega......
tarasti aur tadapti in do aankhon ko meri,
uski chandni me naha kar hi karaar aayega.....
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #139 on: August 03, 2006, 01:06:06 PM »
Reply with quote
Tabassum

Bahut achcha likha hai aap ne !

Aap aise he achcha likhte rahiye !

Rajbir
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #140 on: August 06, 2006, 01:12:42 PM »
Reply with quote
shukriya raajbeer ji


chaand hamaara khafa khafa sa
raat se baat na karta dekho
saath chale hai raat ke hardam
dil me lagan hai raat ki usake
chehra dekho rutha rutha
nazaren dekho mithi mithi
ye hai naya koi dhang ishq ka
maine poocha jab ye tum se
tum ne hans ke mujh ko dekha
chaand aur raat bhi hanse saath me
chalo ab raat ke sang hans rahe hain
chaand tum aur main .....................
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #141 on: August 06, 2006, 01:25:53 PM »
Reply with quote
Tabassum

Again very beautiful wordings !

Rajbir
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #142 on: August 07, 2006, 03:19:26 PM »
Reply with quote
thanx raajbeer ji
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #143 on: August 07, 2006, 03:24:06 PM »
Reply with quote
ye jo hai chaand  kuchh kuchh hai ye tumsa
kabhi chhupta kabhi ye hai nikalta
ke aksar ye bhi gham me choor lagta
tabhi to hai hamara saathi lagta
hamare saath ye chalta hi aaya jaane kabse
kabhi hamne nahi poochha
ki hai kya gham ji isko
ki isane baante hain
apne to saare gham hamesha
kya isase pooche bin chalte rahenge?
chaand tum aur main...................
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #144 on: August 07, 2006, 03:29:18 PM »
Reply with quote
Tabassum

Bahut khoob ! Very nice !

Magar yahan khumar mein likho :D

Rajbir (jyada beer mat pilaiye) :wink:
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #145 on: August 08, 2006, 07:32:42 AM »
Reply with quote
thanx ji ab itna  lamba thread ho chuka hai khumar zindagi dard sabhi ek ke baad ek hain
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #146 on: August 08, 2006, 07:35:46 AM »
Reply with quote
jo hai ye raat aai chaand aaya  
magar saathi mere tu hai kahan par
ki tujhko dhundati meri nazar hai
ye dekho raat kitni khush hai hansati
jo tu aae to main bhi muskuraun
teri hi raah par apni nazar hai
jo aae saath chalden
chaand tum aur main.............
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #147 on: October 13, 2006, 08:03:30 PM »
Reply with quote
chaand hamara door hai hamse
tum bhi door hue ab hamse
saari raaten ab roti hain
yaaden teri mujhme jeetin
unke bina main kuchh bhi nahi hun
saath rahe ham teeno the kab ?
azal se ham to juda juda the
lekin doori se bhi saathi
chaand tum aur main...................
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #148 on: October 13, 2006, 08:15:35 PM »
Reply with quote
tere bare main jab soocha nahi tha
main tanha tha magar itna nahi tha
teri tasveer se kerta tha batein
mere kamre main aaina nahi tha
samander ne mujhe pyasa hi rakha
main jab sehra main tha pyasa nahi tha
manane roothne k khel main hum
bichar jaein ge ye soocha nahi tha
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #149 on: October 13, 2006, 08:29:21 PM »
Reply with quote
very nice .........

chaand hamara chaand se pyara
use kisiki nazar lage na
door se ham par jaadu  uskaa
paas hamare kabhi rahe na
raat dekh kar use hai kehati
ye sach me hai chaand se roshan
chaand kabhi hai gussa karta
sath dekh hame phir hans deta
ki akhir ko purane saathi hain teeno
chaand tum aur main...............
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:26:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer