mrkotians
Guest
|
«Reply #15 on: June 18, 2006, 01:20:02 PM » |
|
NICE ONE TS... AND YOU TOO PREMANSHU...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
PREMANSHU
Guest
|
|
«Reply #16 on: June 18, 2006, 01:21:18 PM » |
|
thankz mrkotians
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #17 on: June 18, 2006, 02:15:14 PM » |
|
bahut khoob premaanshu
hain tanhaai ke saathi chaand tum aur main sabhi hain dard me gum chaand tum aur main na manzil hai koi na rasta hai na koi ab aas hi hai chale bas jaa rahe hain chaand tum aur main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #18 on: June 18, 2006, 02:15:46 PM » |
|
thanks manju
|
|
|
Logged
|
|
|
|
PREMANSHU
Guest
|
|
«Reply #19 on: June 18, 2006, 02:23:29 PM » |
|
Shukriya TS ji
Chale Bas Jaa rahe hain Chaand Tum aur Main
Dastan-e-Ishq suna rahe hain Chaand Tum aur Main
Jeeya jaate hai kis tarha Marne ke baad Saari duniya ko sikha rahe hain Chaand Tum aur Main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #20 on: June 18, 2006, 02:37:38 PM » |
|
bahut khoob premanshu
hain tareeki ke saathi chaand tum aur main bade befikr rahte chaand tum aur main na ab koi dekhe hamko na hi toke hame matlab nahi ab bas kisise hamari sari duniya hai bas ik ye aasma kaala isime khush hain rahte chaand tum aur main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
PREMANSHU
Guest
|
|
«Reply #21 on: June 18, 2006, 02:54:44 PM » |
|
Kya baat hai TS
Na koi rokke hume na koi tokke hume Apni hi Duniya mein mast raha karte hain Chaand Tum aur Main
Seekh liya hai humne najar andaaz karna Bin matlab ki baaton ko , Duniya ke khayalaton ko Ab toh bas apne hi baaton par dyan diya karte hain Chaand Tum aur Main
Apni is duniya ko Raat main bassa rakha hai Duniya Din mein jo chahe kare, Apni Zindagi toh Raat mein jiya karte hain Chaand Tum aur Main
Suraj ki roshni mein din bhar jalta hai Kthor duniya ko har pal sahta hai Uss aasma ko sham hote hote PREM diya karte hain Chaand Tum aur Main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #22 on: June 18, 2006, 02:58:06 PM » |
|
bahut khoob premanshu
na jaane kya hai ham me ek sa jo saath rahte hain zuban khamosh hai aur ashq bahte hain andheri raat ke taha musafir chaand tum aur main...............
|
|
|
Logged
|
|
|
|
PREMANSHU
Guest
|
|
«Reply #23 on: June 18, 2006, 03:02:32 PM » |
|
Sukriya huzoor, Aap ka bhi Jawab Nahin
Ek baat jo hume Duniya se juda karti hai Zubaan Khamosh hai par Aankein baat karti hai PREM ke Maare aur Duniya se Nirale Chaand Tum aur Main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #24 on: June 19, 2006, 06:51:55 AM » |
|
bahut khoob premanshu
na jane kab tak andheron me rahenge kabhi hamko bhi kya subah milegi ya hai tariki bas apna muqddar yahi bas baat karte chaand tum aur main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
PREMANSHU
Guest
|
|
«Reply #25 on: June 19, 2006, 07:35:41 AM » |
|
This is going good . . .
Hal pal khud par yaakein rakhte hain Roshni ke aane ki rah Dekhte hain Ki kabhi toh Ujale mein bhi Chamkenge Chaand Tum aur Main. . .
Kabhi toh koi subha humare liya bhi aayegi Har kissi ke liye PREM se bhari TABASSUM layegi Hain us khushi ke intezaar mein Chaand Tum aur Main . . .
(Tabassum means Smile if i am not mistaken)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #26 on: June 19, 2006, 07:44:53 AM » |
|
ji matalab yahi hai smile aur bahut khoob aap likhte hain
jab ham tum hans rahe the tab bhi ye to saath hi me tha hua kya ab hain rote chand tum aur main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
PREMANSHU
Guest
|
|
«Reply #27 on: June 19, 2006, 07:50:01 AM » |
|
Ji aap bhi bahut hi accha likhte ho Hasna Rona toh laga hi rahega Dil phir bhi dhadakta rehega Har ehsaas ka tarjuma bas PREM hi hai hota Jab saath Hote hain Chaand Tum aur Main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #28 on: June 19, 2006, 07:55:29 AM » |
|
bheegee si vo raaten thin shayed vo barsaaten thin ek ham ek tum jagte the chaand bhi jaaga karta tha tabhi se hain bas saath rahte chand tum aur main........................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
PREMANSHU
Guest
|
|
«Reply #29 on: June 19, 2006, 08:00:40 AM » |
|
Barsaat ke Paani ka rang, Raat main alag sa ho jaata hai Reh ke saath humaare, Asmaa bhi aansoon bahata hai, Roh padti hai saari khudai jab kabhi saath roye hai, Chaand Tum aur Main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|