chand tum aur main

by tabassum shakeel on June 14, 2006, 04:42:59 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11
ReplyPrint
Author  (Read 8265 times)
tabassum shakeel
Guest
«Reply #90 on: June 29, 2006, 09:06:19 AM »
Reply with quote
na saathi ho koi ham to tanha likh bhi lete hain
ki ham to yunhi tanha aksar rah bhi lete hain
kabhi tumko pade rahna to rah paaoge bolo
kya tum tanha geet koi gaa paoge bolo
yahi bas poochhate hain
chaand tum aur main.......................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
""Jab Serd Bhoji Si Ratoon Main Tum Chand Ko Tanha by qakhs in Shayri for Khumar -e- Ishq
Fazaoon Main Bikherta Dard Main Samait Laiti Hoon by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
chand lamhon main by assi in Ghazals
Chand Aur Main ..! by awais_007 in Share:Miscellaneous Shayari
Main Aur Chand! by Shireen Hakani in Shayri for Dard -e- Judai
shayar_dildaar
Guest
«Reply #91 on: June 29, 2006, 03:19:37 PM »
Reply with quote
"chand tum aur main" superlative thread ban raha hain..
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #92 on: June 29, 2006, 03:33:18 PM »
Reply with quote
zarra navazi ka shukriya sd ji  Usual Smile
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #93 on: June 30, 2006, 05:46:32 AM »
Reply with quote
hai ye chaand bhi gumsum sa  aur khamosh sa kyun aaj
na jane chandni  hai saath na isake kaho kyun aaj
ki isaki roshani bhi to hame kam kam si lagati hai
na tum aae to tanha se hain ham bhi aaj ki is raat
hame maloom hai tum aasake na yaad karte ho
isi ik baat se to tum hamare dil me rahte ho
chalo ik dusare ki yaad me kho jaae phir
chaand tum aur main........................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #94 on: July 01, 2006, 06:26:10 AM »
Reply with quote
ziddi hai chaand bahut aasman janta hai
laaakh samjhao ise ye na kabhi manta hai
aasma gusse me hai sochta hai chaand ko kah de jaae
par chaand ke bin bhi kabhi aasman rah sakta hai
isi ik baat par aksar hain hansate chaand tum aur main..............
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #95 on: July 01, 2006, 11:55:47 AM »
Reply with quote
hain tareeki ke saathi
chaand tum aur main
nahi kabhi hans sakenge
chaand tum aur main
hai qismat raat si kaali hamari
hai rusvaai bhi pal pal sath apne
hame to dar nahi ab
kisi bhi baat ka koi
sabhi to kho chuke hain
chaand tum aur main
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #96 on: July 02, 2006, 05:51:57 AM »
Reply with quote
kal raat thi andheri go chaand jo nahi tha
tum the kuchh khfa se tanha mera safar tha
vo sari raaten beeti hamko phir yaad aain
jab saath raah par the chaand tum aur main........
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #97 on: July 03, 2006, 06:30:07 AM »
Reply with quote
sabhi hai uljhano me chaand tum aur main
naye ik gham  me doobe chaand tum aur main
ye thodi si khushi thi kahin se jo mili thii
hamari to nahi thi par is par khush bade the
chand tum aur main...........................
vo baitha hai jo upar jo likhta qismaten hai
vo kaise dekh paae ki dekho hans rahe hain
chaan tum aur main.............................
bas ik jumbish di  usane to teeno hi hain tanha
chaand  tum aur main.........................
kabhi kisi raah par ham tum mile gar
to tum hamko palat ke dekhna na
ki ham bhi ab nahi dekhenge tumko
yahi hai usaki marzi kabhi bhi na mile ab
chaand tum aur main.......................
main tumko bhool jaaun ya tum mujh ko bhula do
nahi ye ho sakega par ik koshish to karlen
chaand tum aur main.....................
main tanha raat ka tanha sitara
tum ik bhule se raahi se the lagte
ki dono ko hi diya tha chaand ne sahara
aur ab vo chaand hi hai gum kahin par
main apni bujhti roshni main akeli
tumhe ab raah bhi dikhati nahi hai
mere ahsaas bhi ab mar chuke hain
vo bhuli baat hai jab saath chalte the khushi se
chaand tum aur main......................
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #98 on: July 04, 2006, 07:48:57 AM »
Reply with quote
Nice..Superlative stuff!!!
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #99 on: July 04, 2006, 07:52:27 AM »
Reply with quote
ji bahut bahut bahut shukriya sd ji
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #100 on: July 06, 2006, 04:51:44 AM »
Reply with quote
hain tanha aur akele chaand tum aur main
sabhi qismat ke mare chaand tum aur main
hain khushiyan thodi gham bahut hain
hain bas rusvaaiyan qurbat nahi hai
hain shikve dil me phir bhi saath hi hain
chaand tum aur main.......................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #101 on: July 06, 2006, 05:14:21 PM »
Reply with quote
hai raat kuchh khush naseeb jo
chaand chalta saath hai usake
jo maine raaat se poocha yahi to
vo chup si ho gai kuchh maine dekha
ki uski aankh me bhi aae  aansu
vo boli chaand ki kisko thi chahat
na thi is chaand ko meri hi chahat
ye qismat ka likha hai saath hain jo
mere dil me diya suraj ka jalta
hai is chaand ko subah ka taara pyara
sabhi ki justju kuchh aur hi hai
sabhi ke saath hai koi aur chalta
ki qismat ka likha hai saath chalte
chaand tum aur main......................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #102 on: July 07, 2006, 02:46:20 AM »
Reply with quote
bahut khoob tabassum .......... Usual Smile
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #103 on: July 07, 2006, 12:28:14 PM »
Reply with quote
=D> Superb Everyone..

Shakeel Jee Aapke iss thread ke naam mein ek decent sa Attraction hai... Chand Tum aaur main

A perfect and Beautiful selection of words for a thread's name.. Well done =D>
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #104 on: July 07, 2006, 03:04:16 PM »
Reply with quote
Good stuff Tabassumjii..Excellent support from others too
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:44:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer