choodiyan....

by Arjun_ on April 08, 2009, 03:45:49 PM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 24963 times)
Arjun_
Guest
«Reply #15 on: April 08, 2009, 04:35:15 PM »
Reply with quote

Rang birangi ye tere naam ki choodhiyan,
Jal tarang si bikhere hain meri choodhiyan

Chhodhiyon ki khan khan, dil ki ye dhadkan,
Tarjumaan hain ye hasraton ki choodhiyan

Bade aramaan se daala hai nazuk si kalai main
Dil tera deewaana ab karengi choodhiyan

Sambhala hai inhe maine dil-o-jaan ki tarah,
Hain tere mere pyaar ki nishaani choodhiyan !!



bohaat hi acha likha hai celmira ji


teri choodiyan bani hai meri jeevan sathi
har pal inki khanak mujhe sunti rehti hai

najuk kalai pe saji yeh rang birangi gehno si
madhosh har dum mujhe karti rehti hain

ek ek choodi mere dil ki dhadkan bani
chup chup  se mujhe chit-chor kehti hain

na koi sone, na koi chandi ki teri choodiyan
khanch se bani anmol,"Arjun-Arjun" kehti hain


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Choodiyan by vsrinivash in Shayri for Khumar -e- Ishq
***Choodiyan khareedi hain*** by tabassum shakeel in Shayri-E-Dard
Choodiyan by Aarish in Shayari -e- Husn
Pooja
Guest
«Reply #16 on: April 08, 2009, 04:35:54 PM »
Reply with quote
Wah Wah Wah!!!! Bahut Bahut Khoob Arjun ji. Applause Applause Applause
Utna Hi Khoobsurat Kavitaye aap Dono Ne bhi Likhi Hai Pooja aur Talat..Bahut Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Ek Choti si Koshish,Mere Taraf se Bhi...


Teri Choodiyon Ki Chan-chan Awaaz Se,
Zindagi Meri Hamesha Yuhi Mehakti Rahi...

Jahan Par Bhi Jaau, Har Jagah,Har Pal!!!
Aanhein Meri Tujhe Dhoondti Rahe....

Inn Chhoodiyon Ke Rang Ke Jaise Hi,
Zindagi Ki Bahaarein Naye Rango Se Chehakti Rahe....

"Khwaish" Ki Bas Ab Yehi Khwaish Hai,
Teri Choodiyon Ki Awaaz Mere Kaano Mein,
Sargam ke Jaise Barasti rahe....



Wah wah wah kaya baat hai khwaish ji… bahoot khoob!!

Choodiyo ne yah sargam, tere pyar se paai hai
Her pal in choodiyo ne yaad teri dilaai hai

Jaau kahin bhi, tumhe apne sung hi paaya hai
Na jaane inki khan khan ne kaya jaadu chalaya hai

Her ek rang main tera he sath paaya hai
Teri khwaish ne her ek jeevan ka rang mehkaya hai!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: April 08, 2009, 04:46:07 PM »
Reply with quote
bohaat hi acha likha hai celmira ji


teri choodiyan bani hai meri jeevan sathi
har pal inki khanak mujhe sunti rehti hai

najuk kalai pe saji yeh rang birangi gehno si
madhosh har dum mujhe karti rehti hain

ek ek choodi mere dil ki dhadkan bani
chup chup  se mujhe chit-chor kehti hain

na koi sone, na koi chandi ki teri choodiyan
khanch se bani anmol,"Arjun-Arjun" kehti hain




Meri choodhiyon khanakti rahen,
Haathon main har pal chamakti rahen

Mohabbat ke qisse yeh kehti rahen,
Saansain humari behekti rahen

Inke rangon si gulnaar lagne lagi,
Zindagi bas yunhi mehekti rahe

Heere na moti, na laal-o-jawahar
Kaanch ki choodhyan ye khanakti rahen
Logged
Arjun_
Guest
«Reply #18 on: April 08, 2009, 04:46:37 PM »
Reply with quote
such main bahoot he payara jawab likha hai... last line bahoot pyari likhi hai apne.....app jitna payara to nahi likh pa rahi hu... magar jo bhi man main ayya wo pesh hai..

Pahnaai hai tumne choodiya, tumhe yah bharmayegi
Kaise rah paaye door tum se, her pal pass tumhe he bulayegi

Teri deewangi main, meri bhi sudh-bugh yah bhulayegi
Taane phir sari dunia se, yah choordia  mujhe sunwayegi

Sune sajani, aor kaya kaya sun kar rakhein yaad
Tere bin Birah ke, tere sung Milan ke Geet yah choordia gaayegi!!


kya khoob kaha hai...aapko pard kar yeh mann mein aaya hai

Chanak teri choodiyon ki,
har pal dewana banaye

chah kar bhi na reh payun door
apna jadu yeh mujh par chalaye

meri deewangni tujhi se hai
teri choodi yeh ehsaas dilaye

har shaks kahe "arjun" toh hua hai deewana
dekho yeh choodiyan,kya kya aor rang laye


Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: April 08, 2009, 04:50:49 PM »
Reply with quote

Meri choodhiyon khanakti rahen,
Haathon main har pal chamakti rahen

Mohabbat ke qisse yeh kehti rahen,
Saansain humari behekti rahen

Inke rangon si gulnaar lagne lagi,
Zindagi bas yunhi mehekti rahe

Heere na moti, na laal-o-jawahar
Kaanch ki choodhyan ye khanakti rahen

bahoot khoob Celmira!!!
Logged
Arjun_
Guest
«Reply #20 on: April 08, 2009, 04:52:28 PM »
Reply with quote
Wah Wah Wah!!!! Bahut Bahut Khoob Arjun ji. Applause Applause Applause
Utna Hi Khoobsurat Kavitaye aap Dono Ne bhi Likhi Hai Pooja aur Talat..Bahut Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Ek Choti si Koshish,Mere Taraf se Bhi...


Teri Choodiyon Ki Chan-chan Awaaz Se,
Zindagi Meri Hamesha Yuhi Mehakti Rahe...

Jahan Par Bhi Jaau, Har Jagah,Har Pal!!!
Aanhein Meri Tujhe Dhoondti Rahe....

Inn Chhoodiyon Ke Rang Ke Jaise Hi,
Zindagi Ki Bahaarein Naye Rango Se Chehakti Rahe....

"Khwaish" Ki Bas Ab Yehi Khwaish Hai,
Teri Choodiyon Ki Awaaz Mere Kaano Mein,
Sargam ke Jaise Barasti rahe....


bohaat khoob khwaish....and thanks for admiring
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: April 08, 2009, 04:55:16 PM »
Reply with quote

kya khoob kaha hai...aapko pard kar yeh mann mein aaya hai

Chanak teri choodiyon ki,
har pal dewana banaye

chah kar bhi na reh payun door
apna jadu yeh mujh par chalaye

meri deewangni tujhi se hai
teri choodi yeh ehsaas dilaye

har shaks kahe "arjun" toh hua hai deewana
dekho yeh choodiyan,kya kya aor rang laye


wow, ajj bahoot waqat baad koi aise non-stop sath likhne wala mila hai Yoindia per.. you are too good!!!

Ho jaaye to koi galati, choodiya mana leti hai
Khanak khanak kar tujhko rijha leti hai

Tere pyar ka hai yah sab jaadu
Mosam deewana bana deti hai

Teri deewangi aor in choordiyo ki khanak
Zindagi ke sare gum bhoola deti hai

Hai koi sung sung, akele main samjha deti hai
, her pal tere sath hone ka ahsaas kara deti hai
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #22 on: April 08, 2009, 04:55:42 PM »
Reply with quote
Wah Arjun chudiyo ka zikr ched ke, tumne deviyo me ek dam nayee jaan daal di, Bohat khoob Pooja, Talat kya jawab diya hain tum dono ne and khwaish yaar tum bhi khud pade ab main kya karu main thehra dard ka mara.......chalo dekhte hain deviyaa sambhaal lena....apni taraf se nahi deviyo ki taraf se kaha hain...


Q lete ho humse wada, na todogi chudiyaan
Yeh chand yeh shab gawah hain, tumne todi hain chudiyaan

Suhaghaan hu main tumhari, yeh kehti hain chudiyaan
Jo door tum humse jao, bohat roti hain chudiyaan

Karti hain lakho batein, geet bhi gati hain chudiyaan
Sajan yu kalaiee meri na modo, chub jati hain chudiyaan

-Sajid Ghayel-
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: April 08, 2009, 05:05:14 PM »
Reply with quote
wow, ajj bahoot waqat baad koi aise non-stop sath likhne wala mila hai Yoindia per.. you are too good!!!

Ho jaaye to koi galati, choodiya mana leti hai
Khanak khanak kar tujhko rijha leti hai

Tere pyar ka hai yah sab jaadu
Mosam deewana bana deti hai

Teri deewangi aor in choordiyo ki khanak
Zindagi ke sare gum bhoola deti hai

Hai koi sung sung, akele main samjha deti hai
, her pal tere sath hone ka ahsaas kara deti hai


Waah...phir se ek khoobsurat rang main..Bohot Khoob Pooja
Logged
Talat
Guest
«Reply #24 on: April 08, 2009, 05:06:09 PM »
Reply with quote
Wah Arjun chudiyo ka zikr ched ke, tumne deviyo me ek dam nayee jaan daal di, Bohat khoob Pooja, Talat kya jawab diya hain tum dono ne and khwaish yaar tum bhi khud pade ab main kya karu main thehra dard ka mara.......chalo dekhte hain deviyaa sambhaal lena....apni taraf se nahi deviyo ki taraf se kaha hain...


Q lete ho humse wada, na todogi chudiyaan
Yeh chand yeh shab gawah hain, tumne todi hain chudiyaan

Suhaghaan hu main tumhari, yeh kehti hain chudiyaan
Jo door tum humse jao, bohat roti hain chudiyaan

Karti hain lakho batein, geet bhi gati hain chudiyaan
Sajan yu kalaiee meri na modo, chub jati hain chudiyaan

-Sajid Ghayel-


Sajid Ji, ek alag rang main aapne bohot achcha likha hai choodhiyon par...Bohot Khoob
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: April 08, 2009, 05:10:16 PM »
Reply with quote
Wah Arjun chudiyo ka zikr ched ke, tumne deviyo me ek dam nayee jaan daal di, Bohat khoob Pooja, Talat kya jawab diya hain tum dono ne and khwaish yaar tum bhi khud pade ab main kya karu main thehra dard ka mara.......chalo dekhte hain deviyaa sambhaal lena....apni taraf se nahi deviyo ki taraf se kaha hain...


Q lete ho humse wada, na todogi chudiyaan
Yeh chand yeh shab gawah hain, tumne todi hain chudiyaan

Suhaghaan hu main tumhari, yeh kehti hain chudiyaan
Jo door tum humse jao, bohat roti hain chudiyaan

Karti hain lakho batein, geet bhi gati hain chudiyaan
Sajan yu kalaiee meri na modo, chub jati hain chudiyaan

-Sajid Ghayel-


wah kaya baat hai, bahoot acha laga apne yaha sath diya... apki kalam kuch mix emotions main likh gai hai...so ussi roop main jawab likhne ki koshish ki hai!!!

Sharart jab kabhi gusse main badal jaati hai
Teri nadani per ankhein chalak jaati hai

Lagti hai dushman tab yahi teri choordiyan
Door tumse, kaya karni hai mujhe yah teri choodiyan

Ban kar sathi shararto main jab kalai marod jaate ho
Teri he tarah ho jaati hai nirmohi teri yah choodiyan

Wada hai tujhse, tujhse he hai meri yah sab rangeen choodiyan
Tere bin jeevan main, bekaar hai yah sari choordiyan
Logged
angel4u
Guest
«Reply #26 on: April 08, 2009, 05:10:46 PM »
Reply with quote
Sitaaron ki jagmagahat se bhi pyaari hai ye chudiyan,
tere naam ki daastaan har waqt sunati hai ye chudiyan,

jis din sajaya tha inhe mere haathon mein tune,
tabse tere naam se hi mehekti hai ye chudiyan,

le lo haath apne haathon mein par zara sambhalke,
kahin chot na kha jaaye ye nazuk nazuk chudiyan,

tu chahe jaaye mujhse door kuchh palon ke liye,
meri har tanhayi ko awaaz deti hai ye chudiyan...
Logged
Arjun_
Guest
«Reply #27 on: April 08, 2009, 05:12:26 PM »
Reply with quote

Meri choodhiyon khanakti rahen,
Haathon main har pal chamakti rahen

Mohabbat ke qisse yeh kehti rahen,
Saansain humari behekti rahen

Inke rangon si gulnaar lagne lagi,
Zindagi bas yunhi mehekti rahe

Heere na moti, na laal-o-jawahar
Kaanch ki choodhyan ye khanakti rahen


Celmira ji.. aapne bohat achta likha hai.. too gud... mann mein ek umang ki tarah reply ne shabdon ka sahara liya hai..

teri choodiyon se hai meri dhadkan
dekho har pal yeh kare khaan khaan

khamosh kabhi na inhhe hone dena
kho na jaye kahin mera sara jeevan

Payar ke raangon si saji yeh choodiyan
ban phoolon si yeh mehkhein har pal

ghulam ban kar jiyun main bas inka
log chahe kahein pagal hai "Arjun"



Logged
Arjun_
Guest
«Reply #28 on: April 08, 2009, 05:17:14 PM »
Reply with quote
Wah Arjun chudiyo ka zikr ched ke, tumne deviyo me ek dam nayee jaan daal di, Bohat khoob Pooja, Talat kya jawab diya hain tum dono ne and khwaish yaar tum bhi khud pade ab main kya karu main thehra dard ka mara.......chalo dekhte hain deviyaa sambhaal lena....apni taraf se nahi deviyo ki taraf se kaha hain...


Thanks sajid for beautiful comments... aap ne bhi acha likha hai


waise yahan deviyan bhi hain ??.. :p
Logged
Pooja
Guest
«Reply #29 on: April 08, 2009, 05:19:59 PM »
Reply with quote
Sitaaron ki jagmagahat se bhi pyaari hai ye chudiyan,
tere naam ki daastaan har waqt sunati hai ye chudiyan,

jis din sajaya tha inhe mere haathon mein tune,
tabse tere naam se hi mehekti hai ye chudiyan,

le lo haath apne haathon mein par zara sambhalke,
kahin chot na kha jaaye ye nazuk nazuk chudiyan,

tu chahe jaaye mujhse door kuchh palon ke liye,
meri har tanhayi ko awaaz deti hai ye chudiyan...


bahoot Khoob Angel!!!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:22:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.17 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer