chota sa yah dil

by Pooja on October 22, 2004, 08:05:50 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 5246 times)
HumTum
Guest
«Reply #15 on: September 18, 2005, 08:40:48 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Din ho ya raat app rahty hai mere sath
pal pal ke yah khawab, hai bahoot payara ahsaas
chota sa yah dil, aor usme nanahi si yah jaan
rahaty hai bachain, dil karta hai ho jau app per mai Kurbaan....


bahot khoob Pooja ji ... seems ur digging posts !!!!

dil ne phir kaha ke wahi hai ho na ho
de ker dil ko sada chup gaya hai jo
teri ulfat ki chaon mein ab umr basar ho
arzoo yehi ke bas tera dil mera ghar ho !!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
chota sa joke by Meena in SMS , mobile & JOKES
Chota Sardar in school by murali in SMS , mobile & JOKES
ASHQON ka ye chota sa SAFAR...!! by ghayal_shayar in Shayri-E-Dard
ashqoN ka ye chota sa SAFAR....!! by ghayal_shayar in Shayri-E-Dard
Dard Chota Sa Lagta Hai........SK by Shayaries_King in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #16 on: September 19, 2005, 07:38:05 PM »
Reply with quote
Ricky ki post dekh kar yaad ayya ki maine bhi same shirshak per kabhi kuch likha tha, wo adat se majboor hu ki deemag mai ayya to dekhy bager chain nahi!!!!


apne jawab bahoot acha dita hai!!

Dil ki nagari kitani chotti
Per ek puri duniya lagati hai
kahne ko to wo ek shaks hai
per meri zindagi ussi mai sirf basati hai!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #17 on: September 19, 2005, 07:52:24 PM »
Reply with quote
---- Great Poojaji ------

Mahobaat ke jahan main do hi log rahete hai,
Ek toh deewane, dusare ko mallika e husn kahete hai!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: September 19, 2005, 07:55:06 PM »
Reply with quote
wah kaya baat kahi apne!!! bahoot khoob BeNaam ji!!


Deewane ki hai sirf najar, Jo husan ko khuda banata hai
warna kaya hai is chehre mai, mujko to sirf ek insaan hi najar atta hai!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #19 on: September 19, 2005, 08:07:46 PM »
Reply with quote
--- Wo!!!----

Tera husn dekh kar toh farishton ka imaan dolata hai,
Ger Ashiq kare dua ke tera deedar ho, toh kya bura sochata hai!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: September 19, 2005, 09:24:23 PM »
Reply with quote
bahoot khoob!!!!

kar ke husan ke churche, wo husan ko khuda bana bathy
karane ko uske deedar, lo ghar ke bahar aa bathy!!!!

kiya us per sitam, hume gunhgaar bana bathy
Kasie uthaye nigah, wo sare aam hamare pass aa bathy!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #21 on: September 20, 2005, 06:22:25 PM »
Reply with quote
Husn ho badnaam toh Ishq ko suli pe chadha do,
Yeh nazara aaj ka nahi janab,
bus ek iltaza hai, ishq ko na bad dua do!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: September 20, 2005, 06:36:52 PM »
Reply with quote
kis ne di bad dua, yah app kaya farma bathy
ishaq se hai jeevan mera, hum to iske naam zindagi apni laga bathy!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #23 on: September 20, 2005, 06:52:59 PM »
Reply with quote
--- Bahot achhe ----

Deewane ki dua kabul ho jaye,
Ger husn Ishq ko khuda banaye,
Andaze bayan aapka bhi gazab dhata hai,
Kabhi shola toh kabhi shabanam main nazar ata hai!


--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: September 22, 2005, 06:29:50 PM »
Reply with quote
bahoot khoob BeNam ji!!! wah kaya likh diya apne!!!


Husan kaya jo kabhi shola to kabhi shabnam na ho
Husan kaya jisme haya aor chanchalpan na ho!!
andaaz ishaq ke bhi apne kitne nirale hai
kabhi Zameen to kabhi Asmaan ke rang dikhaty hai!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #25 on: September 22, 2005, 07:02:00 PM »
Reply with quote
--- Bahot khoob hai Jawab aapka ----

Husn ki adaon per ishq hai tadapata,
Ishq na hota husn kissey jakar ladata,
Zamin asma ke rang toh kuch bhi nahi janeman,
Ishq chahe toh jannat ke nazare bhi dekha deta.

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: September 22, 2005, 08:09:30 PM »
Reply with quote
Her najara meri chahat ka tum ho
Phir kon si jannat ki baat, kaha per tum goom ho!!!
Yah Ishaq aor husan ne khud ko samjh hai kaya
Jo nahi ek, uske bin dooja kabhi kuch bana hai kaya!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #27 on: September 23, 2005, 02:18:38 AM »
Reply with quote
-- sahi farmaya aapane ---

Husn ke bina ishq zinda nahi rahe sakata hai,
Husn bina ishq ke be matalab sa lagata hai,
Husn aur ishq ki yaari purani hai,
Yeh kahani aaj kal ki nahi sadiyon purani hai!

-- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Jalaj
Guest
«Reply #28 on: September 23, 2005, 03:11:43 AM »
Reply with quote
wah Benamji aur Pooojaji .

kya likhte hai aap dono.. aapki shayari dil ko cheerkar rakh deti...
pyar aur dard anootha sangam dekha hai meine aapki shayari mein...  

Jalaj

*********
Logged
BeNam
Guest
«Reply #29 on: September 23, 2005, 03:19:49 AM »
Reply with quote
Thanks Jalaj (Kamal) for such sensible comments.

---------- Welcome to YOINDIA  --------------------
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:44:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer