!!__-Dard-__!!

by khamosh.larka on October 14, 2008, 04:11:09 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1133 times)
khamosh.larka
Guest
Reply with quote

Har Dard Ko Ae Jaan Main Seeney Main Chupa Loun
Kaante Teri Raahon Ke Main Palkon Pe Saja Loun

Bichdi Hai Meri Neend Bhi Bichda Hai Tu Jab se
Jee Chahae Tuje Roz He Khawabon Main Bula loun

Tu Paas Na Aa HaaN Zara Daman Tu Badha De
Ashkon Ko Kahan Tak In Ankon Main Sanbhalun

Ye Ishq Ka Ilzam Bhi Ilzam Hai Koi
Tere Liye Duniya Ke Har Ilzam Utha Loun

LE Jaye Kahan Jane Hamen Waqt Ka Darya
Is Dil Pe Lage Zakham Zara AJ Dikha LouN...

====>
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Ghulam Haider
Guest
«Reply #1 on: October 14, 2008, 05:18:15 PM »
Reply with quote

Har Dard Ko Ae Jaan Main Seeney Main Chupa Loun
Kaante Teri Raahon Ke Main Palkon Pe Saja Loun

Bichdi Hai Meri Neend Bhi Bichda Hai Tu Jab se
Jee Chahae Tuje Roz He Khawabon Main Bula loun

Tu Paas Na Aa HaaN Zara Daman Tu Badha De
Ashkon Ko Kahan Tak In Ankon Main Sanbhalun

Ye Ishq Ka Ilzam Bhi Ilzam Hai Koi
Tere Liye Duniya Ke Har Ilzam Utha Loun

LE Jaye Kahan Jane Hamen Waqt Ka Darya
Is Dil Pe Lage Zakham Zara AJ Dikha LouN...

====>
Bohot pyaare, Ma'soom, mohabbat se bhare khayaalaat haiN dost !
Aap ki ghazal se ye mahsoos hua ke wazn aour behr se aap waaqif haiN, is liye aap ki ghazal mere liye qaabil-e-ghour hai.
YahaN kuchh baatoN ki taraf isharah karna aap ke liye munaasib samajhta hoN.
(1)- Aap ke shea'r -(3)ke doosre misra' meN "AshkoN ko kahaN tak" ke ba'ad rawaangi mutaassir ho rahi hai.
(2)- Aakhiri shea'r ka doosra misra' bhi kuchh-ma'na aour matalab ke ia'tebaar se-zaE'ef hai.
Aik behtareen ghazal ke liye meri taraf se bohot si daad haazir hai. Likhte rahiye aap bohot pyaara likhte haiN, bohot khushi hui aap ki ghazal paRh kar.
"Haider"
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: October 14, 2008, 06:42:13 PM »
Reply with quote
Bohat umda likha hai khamosh ji... Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: October 15, 2008, 05:14:03 AM »
Reply with quote

Har Dard Ko Ae Jaan Main Seeney Main Chupa Loun
Kaante Teri Raahon Ke Main Palkon Pe Saja Loun

Bichdi Hai Meri Neend Bhi Bichda Hai Tu Jab se
Jee Chahae Tuje Roz He Khawabon Main Bula loun

LE Jaye Kahan Jane Hamen Waqt Ka Darya
Is Dil Pe Lage Zakham Zara AJ Dikha LouN...

====>
khamosh.larka ji,
 Applause Applause Clapping Smiley Poori gazal umdah hai! Yeh teen asha'ar to khaasey dilkash hain! Badhaayee!
                                                   -abd bundeli

Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #4 on: October 15, 2008, 06:26:09 AM »
Reply with quote
bohat bohat bohat umda, kya baat hai...
bohat hi khoobsoorti se aapne khayal bayaan kiya hai khamosh ji.
 Applause Applause Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: October 15, 2008, 02:50:48 PM »
Reply with quote
Nice One Khamosh JI.
Yunhi Likhte Raho,.
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #6 on: October 16, 2008, 06:30:57 AM »
Reply with quote
KHAMOSH JI AAPNE SACH MEI BOHUT HI KHUBSURAT SI GAZAL LIKHI HAI Applause  Applause


BE POSITIVE THINK POSITIVE AND MAKES LIFE HAPPY
Logged
khamosh.larka
Guest
«Reply #7 on: October 16, 2008, 02:18:33 PM »
Reply with quote
bouth shukriya jinab saab ka
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: October 21, 2008, 11:02:00 AM »
Reply with quote
U Are welcome Dost,.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:24:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer