De ker ikhtiyaar zindagee ka, phir merne ki dua kerte hain

by javedarshad on September 09, 2009, 09:25:33 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2483 times)
javedarshad
Guest
Reply with quote
Apne beemaar ki dekhiye ,kistarah woh dawa kerte hain .
Bata ker aab-e-hayaat mujhe,zaher se dagha kerte hain

Merqad,teri bewafaiye aur apni khushiyon ka saja ker (Marqad- Mazar)
Zinda laash per ta umr, matam hum bapa kerte hain

Jafaun se teri jab bhi khaya hai zakhm-e- kari humne
Farsh tha , sajda tha aur taab-e-zabt ki duaa kerte hain (Tabezabt-berdasht kerne ki himmat)

Yaroo, kaisa hai yeh ishq Aur kaisi hai yeh justuju
Deker ikhtiyaar zindage ka ,phir merne ki duaa kerte hain

In haseen shookh adaaun ka ramz koyee to bataye
Dikha ker khuwab zindagee ke,zindagee ko saza kerte hain

Teri bebakian aur shokhiyan to sahara hain meri
Javed kia kashmakashe hayat mein aise hi jiya kerte hain




javed
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: September 09, 2009, 09:31:49 PM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Javed ji,really touching and mindblowing creation.excellent
 Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #2 on: September 09, 2009, 09:38:05 PM »
Reply with quote
tx madhu

badi mehnat  padi hai mujhe
aik ghante ka waqt mila tha


javed
Logged
musaafirhon
Guest
«Reply #3 on: September 09, 2009, 09:38:26 PM »
Reply with quote
Subhan Allah Javed Sahab , Subhan Allah , Kya beshqimti Asharon Se nawaza Hai Ghazal ko Jawab Nahi , Apki Pakad ka Shayari pe , Is Ghazal Ka Eak ashar Humne Aslam Sahab ki Thread Pe Pada Tha , Pata na tha ke itne kam Waqath me Ap is Ashar ko Itni Beshqimti Ghazal Ka roop Denge , Ye Yoindia Ki khushnaseebi Hai ke Itna Miyari Shayar Is Bazm Ka hissa hai , Allah Kare Ap Yunhi Likhte rahen Aur Hum Jaise Saikdon logon ko Sikhne Ka sharaf Hasil Hota Rahe ,, 4th Ashar Me Wah kare ya Ahh Samajh nahi aata Pori Ghazal Pe Savar Lagta hai Ye ashar , Allah Apko Khush Rakhe !!

Qadeertoopchi
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: September 09, 2009, 09:42:06 PM »
Reply with quote
Ek ghanta tak padke ro rahi thi socha kyun Javed ji marne ki dua maang rahe hai.
 Crying Crying crybaby2 crybaby2 tongue3 main barbaad ho jahoogi. tongue3 NaNaNa
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #5 on: September 09, 2009, 09:48:16 PM »
Reply with quote
Are berbaad hi hoker aadmi aabad hoota hai

towel hai pass mein ke nahin


tx


javed
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #6 on: September 09, 2009, 09:53:32 PM »
Reply with quote
Subhan Allah Javed Sahab , Subhan Allah , Kya beshqimti Asharon Se nawaza Hai Ghazal ko Jawab Nahi , Apki Pakad ka Shayari pe , Is Ghazal Ka Eak ashar Humne Aslam Sahab ki Thread Pe Pada Tha , Pata na tha ke itne kam Waqath me Ap is Ashar ko Itni Beshqimti Ghazal Ka roop Denge , Ye Yoindia Ki khushnaseebi Hai ke Itna Miyari Shayar Is Bazm Ka hissa hai , Allah Kare Ap Yunhi Likhte rahen Aur Hum Jaise Saikdon logon ko Sikhne Ka sharaf Hasil Hota Rahe ,, 4th Ashar Me Wah kare ya Ahh Samajh nahi aata Pori Ghazal Pe Savar Lagta hai Ye shair , Allah Apko Khush Rakhe !!

Qadeertoopchi
[/quote

Muhtaram qadeer Sb

aap ki muhabbat aur izzatafzayee ka main dil se mashkoor hun , kia aaisa nahi hai ke aapne nacheez ke sath nainsafi ki ho inte alfaz likh ker shayed main is ahl hun ke nahin , bada ganmbhir masala hai

bahut bahut shukria aap ki is nawazish ka



javed
Logged
musaafirhon
Guest
«Reply #7 on: September 09, 2009, 10:22:07 PM »
Reply with quote
javed Sahab


maine aisa bilkul bhi nahi kiya javed bhai ,, ap ki shaqsiyath ke aage ye alfaz to khuch bhi nahi , ye to apka badat pan hai jo khud ko kabhi aala nahi maante app ,, masla itna gambhir bhi nahi chalo fir ye yoindia pe hi chud dete hain ,, wohi faisla kar len mai ne sahi likha hai ya nahi , !! Allah sub ko khush rakhe !!

Aur Javed Sahab Yoindia ke Liye Apki Maujoda Mashaqath se Mutasir Hokar ke Mere Eak Aziz Shayar Janab Rahat Indori Sahab Ka Ashar Yaad Aa Raha hai !! Apne Nazm Aur Ghazal Ki tafsilath Bayan Kiye Hain ,, Magar Wahan Mauzo Se Hat Kar Likhna Shayad Maana Hai To Yahan Khuch Likhna Pasand Karonga !! Arz Kiya hai !!

Ache Bore Ki Tum Ko Samajh Deke Jaunga !!
Chaheron Ko Padne Wali Nazar Deke Jaunga !!

Mai Iss Zamane Ka Wo Sangtarash Hon Yaroon !!
Ke Patheron Ko Bolne Ka Hunar Deke Jaunga !!

..........Rahath Indori Sahab .....


Qadeertoopchi


Qadeertoopchi[/color]
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #8 on: September 09, 2009, 10:51:07 PM »
Reply with quote
Beautiful sharing Qadeer ji. Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #9 on: September 09, 2009, 11:43:53 PM »
Reply with quote
Towel ki kiya kaam hai.bache aansoo poch kar khud rone lage.
poocha ammi abba kanha jaane ki tayari kar rahe hai. Giggle Giggle NaNaNa tongue3
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: September 10, 2009, 01:53:10 AM »
Reply with quote
Apne beemaar ki dekhiye ,kistarah woh dawa kerte hain .
Bata ker aab-e-hayaat mujhe,zaher se dagha kerte hain

In haseen shookh adaaun ka ramz koyee to bataye
Dikha ker khuwab zindagee ke,zindagee ko saza kerte hain

Teri bebakian aur shokhiyan to sahara hain meri
Javed kia kashmakashe hayat mein aise hi jiya kerte hain


waah javed sahab kya baat hai qadeer bhai ne kuch ghalat nhi kaha hai mashallah aap likhte hi itna ahca hain, mujhay aapke kalaam ke matla, maqta aur maqte se pehle waala, bhut pasand aaye you.n hi likhte rahiye aur hame bhi kuch seekhne ka moqa milta rahega,  daad hazir hai javed sahab qubool keejiye

Uthate hain unke naaz kahan gila karte hain
aise parwaane to mushkil se mila karte hain
Bebaakiyaa.n aur shokhiyo.n ke gul aslam sahab
ishq naam ki hi shaakh pe khila karte hain
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #11 on: September 10, 2009, 02:21:26 AM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Aslam ji beautiful lines. Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #12 on: September 10, 2009, 02:47:15 AM »
Reply with quote
Aslam Sb
Adaab

muhabbat hai aap logon ki
bahut bahut shukria aur nawazish aapki
aap ko ghazal pasand aaye aur kia chahiye


Na sawal na jawab perwane to jala kerte hain


javed
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: September 10, 2009, 02:53:12 AM »
Reply with quote
Quote
Yaroo, kaisa hai yeh ishq Aur kaisi hai yeh justuju
Deker ikhtiyaar zindage ka ,phir merne ki duaa kerte hain

In haseen shookh adaaun ka ramz koyee to bataye
Dikha ker khuwab zindagee ke,zindagee ko saza kerte hain

Wah wah Bahut khoob Javed ji  Applause Applause
Logged
musaafirhon
Guest
«Reply #14 on: September 10, 2009, 06:19:11 AM »
Reply with quote
Apne beemaar ki dekhiye ,kistarah woh dawa kerte hain .
Bata ker aab-e-hayaat mujhe,zaher se dagha kerte hain

In haseen shookh adaaun ka ramz koyee to bataye
Dikha ker khuwab zindagee ke,zindagee ko saza kerte hain

Teri bebakian aur shokhiyan to sahara hain meri
Javed kia kashmakashe hayat mein aise hi jiya kerte hain


waah javed sahab kya baat hai qadeer bhai ne kuch ghalat nhi kaha hai mashallah aap likhte hi itna ahca hain, mujhay aapke kalaam ke matla, maqta aur maqte se pehle waala, bhut pasand aaye you.n hi likhte rahiye aur hame bhi kuch seekhne ka moqa milta rahega,  daad hazir hai javed sahab qubool keejiye

Uthate hain unke naaz kahan gila karte hain
aise parwaane to mushkil se mila karte hain
Bebaakiyaa.n aur shokhiyo.n ke gul aslam sahab
ishq naam ki hi shaakh pe khila karte hain

bahoth qoob aslam sahab .. Sahi farmaya Apne Aqri Misre me !!

Qadeertoopchi
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 04:16:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer