DekhoN jo us ka maiN rukh e pur noor baiTh ke

by Ghulam Haider on January 06, 2012, 11:04:16 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1764 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
DekhoN jo us ka maiN rukh e pur noor baiTh ke.
Karta hai mujh ko aur wo mas.hoor baiTh ke.

Aaiena rakh ke saamne kis aan-baan se,
Dekhe hai apna husn wo maghroor baiTh ke.

Allah re, ye tarz e takallum to dekhiye,
Karti ho jaise baat koi hoor baiTh ke.

Beemaar us ka ho ke paRa hoN maiN is liye,
Dekhe wo meri haalat e na joor baiTh ke.

Tapke hai shae’ri se meri khoN kahiN kahiN,
Dil ke kured leta hoN naasoor baiTh ke.

Wah.shat mere junoN se thi kaisi ke ba’d e marg,
Roye hai meri qabr se wo door baiTh ke.

Wo waqt yaad aata hai tanhaayi meN mujhe,
Jab dostoN meN rehta tha masroor baiTh ke.

Haider ki shae’ri meN junoN ka hai wo shu’oor,
MajnuN se bhi ziyada hai mash.hoor baiTh ke.
Logged
mkv
Guest
«Reply #1 on: January 07, 2012, 04:54:54 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Haidar sahab
Behatrin peshkash.

DAAD DAAD DAAD Applause Applause
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #2 on: January 07, 2012, 10:02:44 AM »
Reply with quote
Itni saari daad dene ke liye tah e dil se aap ka shukr guzaar hoN "mkv" ji.
Logged
khujli
Guest
«Reply #3 on: January 07, 2012, 10:06:09 AM »
Reply with quote
DekhoN jo us ka maiN rukh e pur noor baiTh ke.
Karta hai mujh ko aur wo mas.hoor baiTh ke.

Aaiena rakh ke saamne kis aan-baan se,
Dekhe hai apna husn wo maghroor baiTh ke.

Allah re, ye tarz e takallum to dekhiye,
Karti ho jaise baat koi hoor baiTh ke.

Beemaar us ka ho ke paRa hoN maiN is liye,
Dekhe wo meri haalat e na joor baiTh ke.

Tapke hai shae’ri se meri khoN kahiN kahiN,
Dil ke kured leta hoN naasoor baiTh ke.

Wah.shat mere junoN se thi kaisi ke ba’d e marg,
Roye hai meri qabr se wo door baiTh ke.

Wo waqt yaad aata hai tanhaayi meN mujhe,
Jab dostoN meN rehta tha masroor baiTh ke.

Haider ki shae’ri meN junoN ka hai wo shu’oor,
MajnuN se bhi ziyada hai mash.hoor baiTh ke.



 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #4 on: January 07, 2012, 10:10:05 AM »
Reply with quote
Aap ne dil se daad di hai janaab !
Aap ki daad kuchh khusoosi hai. icon_salut
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: January 07, 2012, 11:26:37 AM »
Reply with quote
Ghulam Haidar saheb, Adaab.Aap ki yeh khubsurat ghazal parh ke tabiat khush ho gai. Aise hi khubsurat kalaam se nawaazte rahiye.Bahut bahut daad.Hasan
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: January 07, 2012, 11:46:40 AM »
Reply with quote
DekhoN jo us ka maiN rukh e pur noor baiTh ke.
Karta hai mujh ko aur wo mas.hoor baiTh ke.

Aaiena rakh ke saamne kis aan-baan se,
Dekhe hai apna husn wo maghroor baiTh ke.

Allah re, ye tarz e takallum to dekhiye,
Karti ho jaise baat koi hoor baiTh ke.

Beemaar us ka ho ke paRa hoN maiN is liye,
Dekhe wo meri haalat e na joor baiTh ke.

Tapke hai shae’ri se meri khoN kahiN kahiN,
Dil ke kured leta hoN naasoor baiTh ke.

Wah.shat mere junoN se thi kaisi ke ba’d e marg,
Roye hai meri qabr se wo door baiTh ke.

Wo waqt yaad aata hai tanhaayi meN mujhe,
Jab dostoN meN rehta tha masroor baiTh ke.

Haider ki shae’ri meN junoN ka hai wo shu’oor,
MajnuN se bhi ziyada hai mash.hoor baiTh ke.


Bahut Bahut Khoooob Haider Ji..

Bahut Hi khoobsurat Ghazal  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #7 on: January 07, 2012, 02:12:12 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoooob Haider Ji..

Bahut Hi khoobsurat Ghazal  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aap ki nawaazish hai khwaish ji ke meri ghazal ko aap ne qaabil e daad samjha. be had shukriya.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #8 on: January 07, 2012, 02:41:13 PM »
Reply with quote
Ghulam Haidar saheb, Adaab.Aap ki yeh khubsurat ghazal parh ke tabiat khush ho gai. Aise hi khubsurat kalaam se nawaazte rahiye.Bahut bahut daad.Hasan
MoHtaram F.H.Siddiqui Sb. hamari Allah se yehi dua'a hai ke wo aap ko hamesha khush rakhe, aur aap hameN apni mohabbat aur dua'aoN se nawaazte raheN.
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 3 hours and 46 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 07, 2012, 05:36:52 PM »
Reply with quote
bohat khoob haider ji
Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #10 on: January 08, 2012, 05:51:13 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause VERY GOOD JI VERY GOOD
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #11 on: January 08, 2012, 08:21:09 PM »
Reply with quote
Wah.shat mere junoN se thi kaisi ke ba’d e marg,
Roya hai meri qabr se wo door baiTh ke.
Ghulam Haidar saheb, Adaab.
Aap ki ghazal ka yeh sher parh ke khushi mahsoos huyee  Aise hi khubsurat ash.aar se nawaazte rahiye aur Khudaye berhaq se aap ke haq mein dua-go hoon ke aap issse bhi achchi ghazal kahein jo Radeef pakad kar chale ' aameen
.............Sadiq Rizvi
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #12 on: January 08, 2012, 11:28:19 PM »
Reply with quote
bohat khoob haider ji
Shukrira "HUM_DUM" Ji ke aap ne meri ma'mooli si koshish ko pasand kiya.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #13 on: January 08, 2012, 11:32:40 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause VERY GOOD JI VERY GOOD
A'zeez "Sunildehgawani ji, Aap ne meri ghazal ko paRha aur pasand kiya,ye aap ki mohabbat hai, hamesha khush raheN.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #14 on: January 09, 2012, 12:01:45 AM »
Reply with quote
Wah.shat mere junoN se thi kaisi ke ba’d e marg,
Roya hai meri qabr se wo door baiTh ke.
Ghulam Haidar saheb, Adaab.
Aap ki ghazal ka yeh sher parh ke khushi mahsoos huyee  Aise hi khubsurat ash.aar se nawaazte rahiye aur Khudaye berhaq se aap ke haq mein dua-go hoon ke aap issse bhi achchi ghazal kahein jo Radeef pakad kar chale ' aameen
.............Sadiq Rizvi

Buzurgwaar, "Sadiq Rizvi" Sb. Aadaab Pesh e khidmat.
Mujhe is baat ki be Had khushi hai ke aap ko meri ghazal ke is shea'r ko paRh kar khushi mahsoos huyee. Allah(A.J.) aap ki dua'a qabool kare aur mujhe is se bhi achchhi ghazal likhne ki taufeeq de. Ye aap ka khulooS aur dili moHabbat hai ke aapne meri ghazal par apni daqeeq nazar daali. Jo log haq bayaani se kaam lete haiN wo bohot kam haiN. Mujhe is baat ki be had khushi hai ke aap ne is (ya kisi doosri)ghazal par kuchh tanqeedi nigaah daali aur ye a'rZ kiya ke "aap isse bhi achchi ghazal kahein jo Radeef pakad kar chale". Ye jumlah is baat ki taraf isharah karta hai ke kahiN, kisi jagah(is ghazal meN ya kisi doosre kalaam meN)aap ko radeef meN kuchh na kuchh aisa zuroor maHsoos huwa hai jis ne ye khaaS jumlah likhne par aap ko aamaadah kiya. Agar aap ki nazar meN mere kisi kalaam meN aisi koi baat nazar aayi ho to mujhe zuroor mutavajjeh karN. Is se meri iSlaaH bhi hogi, mere i'lm meN bhi azaafah hoga, aur jo naqS hai woh bhi bar taraf ho sakega. Allah aap ko hamesha khush o khurram rakhe... Aameen
MukhliS: Haider
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:36:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer