Assalaam-alaikum,
Aap Ghulam Haider hain aur main Haider ka Ghulaam iss lehaaz se bhi main apne aap ko khush naseeb samajhta hooN.Main koi ustad to nahin hoon mager mujhe aisa laga ke agar Radeef her ghadi hoti to ....? kyon ki baat qafiye pe khatm hojati hai jaise mashhoor(baith ke) ke saath her ghadi ho to baat mukammal ho jati hai, ye tanqeed nahin hai sirf ek salah hai agar meri baat buri lagi ho to mehrbani karke meujhe maaf fermaiye ga.
ain nwazish hogi.
A'laikumussalaam wa raHmatulaah !
Fakhr hai mujh ko Ghulam e Haider e karrar hoN.
Is se baRh kar is jahaN meN kuchh nahiN mere liye.
Yaqeenan har(a'am) insaan apni zindagi ki ibteda se inteha tak i'lm Haasil karta hai. Mujhe be had khushi hai ke aap ne izhaar e khayaal farmaya. Aap ne jis pahlu se baat ki hai wo kalaam meN mazeed kamaal aur behtari paida karne ke liye hai. Mujhe is meN koi shakk nahiN ke "aap ki tajveez kalaam se ham-aahang hai", Lekin kya ye har shea'r ke taqaazeh ko poora karti hai? Jaise :"Allah re, ye tarz e takllum to dekhiye, karti ho jaise baat koi Hoor......"? Ya "Beemaar us ka ho ke paRa hoN maiN is liye, Dekhe wo meri haalat e naa-joor......"? Ya "Tapke hai shae'ri se meri khoN kahiN kahiN, Dil ke kured leta hoN naasoor....."? Agar baat "har GhaRi" se muqayyad ki jaaye to kisi aik aise kaam ka zikr kiya ja sakta hai jis meN insaan aksar o beeshtar mashghool rehta hai. Phir aisi Soorat meN doosre halaat ke zikr ke liye jagah tang ho jaati hai, is se ghazal ki ma'naviyyat aur haqeeqat meN ikhtilaafi soorat pesh aa rahi hai.
MaiN ne un haalaat ka zikr kiya hai jo baThne ki Haalat se kaafi Had tak saazgaar aur munaasib haiN.