Dil haseen hai to mohabbat bhi haseeN paida kur!

by SADIQA JAWED on November 07, 2006, 06:33:08 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2201 times)
SADIQA JAWED
Guest
Reply with quote
Dil haseen hai to mohabbat bhi haseeN paida kur!

by jigar muradabadi

 

pahle to husn-e-aml, husn-e-yaqeen paidaa kur
phir isie khaak sey firdaus-e-barieN paidaa kur

yehi duniyaa keH jo butkHanaH bani jaati hai
iss butkHane se kaabe ki zameeN paidaa kur

rooh-e- aadam nigraN kab-sey hai teri jaanib
uTh aur aik junnat-e-jaaved yahiN paidaa kur

kHas-o-khashake tawahum ko jalaa kar rakh de
yaani aatishkadaa soz-e- yaqeen paidaa kur!

gHum mayasser hai to issko gHum-e-kunain banaa
dil haseeN hai to mohabbat bhi haseeN paidaa kur

aasmaan markaz-e- takHayyul va tassavvur kab tak
aasmaaN jiss se kHajil ho woh zameeN paidaa kur
 [kHajil= sharminda, ashamed]

dil ke her qatraH meiN tufaan-e- tajjalli bhur de
batan her zarre se ek mahr-e- maheiN paidaa kur

bandagi yuN to her insaan ki fitrut lekin
naaz jiss per karieN sijdey woh jabiN paidaa kur

pasti-e-kHaak peH kub tuk teri bebaal wa pari
phir muqaam apnaa sar-e-arsh bareiN paidaa kur!

ishq hi zindaH va pabandaH haqiqat hai jigar
ishq ko aa'm banaa, zauq-e- yaqeen paidaa kur
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
EK HASEEN SAPANA by poem143s in Shayri-E-Dard
Sab Se Haseen by captainyr in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
haseen din by samnoj in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
EK HASEEN KA HASEEN KHWAAB HOON MAIN .........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
TU HASEEN AUR HASEEN HO JAAYE ............................... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayari -e- Husn « 1 2 3 4  All »
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #1 on: November 10, 2006, 07:38:20 PM »
Reply with quote
Thnak You!

Jab sey mukhalif hui ha hawa Zamany ki !
Mujhy bhi Zid si hui ha ! Dia jalany ki !
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #2 on: November 26, 2006, 06:52:53 AM »
Reply with quote
nice sharing sadiqa ji ...........pure urdu padkar dil ko accha laga........

haseen dil se 'fahi' hone lage gar ishq bhi haseen
to haseeno ke husn ko haseen maut kaun kahega

........................@fahi@........................
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: August 28, 2009, 02:47:57 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Sadiqa ji,mindblowig creation,beautiful lines by Shihab ji ad Purani jeans ji.excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
aaina
Guest
«Reply #4 on: August 29, 2009, 11:26:46 PM »
Reply with quote
thnxxxxx so much for sharing such a beautifull ghazal of jigar muradabadi sahab
Logged
aaina
Guest
«Reply #5 on: August 29, 2009, 11:40:06 PM »
Reply with quote
salam


jigar sahab ka ek waaqiya yaad aa gaya jo kisi ki zubaani suna hai, jigar sahab amuman apne walid sahab ke sath nashisto.n mai jaya karte the jahan ki tarahii mushaiyre bhi hua karte the, baharhaal ek baar ek misra dia gaya.....jo kuch you.n tha

sharaab seekh par daali kabaab sheeshe mai

bade ustaad shayero.n  ne koshish ki magr kuch sahi nahi aa rha tha kyunki baat bilkul ulti kahi gayi thi bhala sharaab seekh par aur kabaab sheeshe mai, kuch ajeeb tha,  jigar sahab jo ki us wqt bhut kam umr the walid se kuch kehne lage jispar unke walid ne unhe chup kara dia, aisa kaii baar hua jo mehfil e sadar the unhone unke walid se poocha ke hazarat sahabzaade kya keh rhe hain jispar jigar kahde ho gaye aur kaha ki agr sadar e mohatram ki ijaazat ho to mein kuch kahun, log dang ke ye bachcha kya kahega kuch labo.n pe ajeeb se muskurahat thi, bahrhaal ijazat mil gayi to jigar sahab ne kuch you.n kaha...


jigar ke aate hi saaqi ke aise hosh udde
sharaab seekh par daali kabaab seheeshe mai


afreen afree.n is choti si umar mai  ye hosla, waqiya yaad aa gaya to share kar lia ghustaakhi ke liyn maafi
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: August 30, 2009, 01:37:08 AM »
Reply with quote
Very beautiful sharing Aslam ji. Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 03:40:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.087 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer