Dil Ka Kaha Maan Jaaye

by HUM_DUM on January 10, 2007, 08:09:10 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2019 times)
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
Reply with quote
Pehle To Apne Dil Ki Raza Jaan Jaaye.
Fir Jo Nigaah..e..Yaar Kahe Maan Jaaye.

Pehle Mizaaz..e..Raahguzar Jaan Jaaye.
Fir Gard..e..Raah Jo Bhi Kahe Maan Jaaye.

Kuch Keh Rahi Hain Aapke Seene Ki Dhadkan.
Meri Sune To Dil Ka Kahaa Maan Jaaye.

Ek Dhoop Si Jami Hain Nigaahon Ke Aas Pass.
Ye Aap Hain To Aap Pe Qurbaan Ho Jaayen.

Bus Ho Jaaye Aapki Pyaar Bhari Ek Nigaah.
To Meri Saari Uljhane Sulajh Jaayen.

Thak Gaya Aapko Apna Kehte Kehte.
Aap Bhi Use Apna Kahe Khuda Kare Woh Ghadi Jald Aa Jaaye


n/m
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tune jo kuch bhi kaha main ne us se maan liya by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
Uss ne kaha....main ne kaha by socha na tha in Shayeri for Dard -e- Bewafai
eda maan naa ker by AD in Patriotic Poetry in Punjabi
MAAN TO MAAN HAI by faheem_akayla in Shairi - E - Zindagi
pinky
Guest
«Reply #1 on: January 11, 2007, 07:04:34 PM »
Reply with quote
Waah ji waah!!
kya baat hai..

Kya likha hai..
Ek dum Mast hai ji..
Usual Smile
Logged
pinky
Guest
«Reply #2 on: January 11, 2007, 09:55:30 PM »
Reply with quote
Keh diya Dil ne tumhe Apna..
Ab Kaise hothon se hum izhaar karein..
Dekh kar tumhe jhuk jaati hain ye gustakh nazarein,
Ke kis tarah tumse apne dil ki baat kahein..
Tum bhi jaante ho mere Dil ka har Ehsaas E HumDum..
Ab aur Kaise Pinky tumse ye Jazbaat kahe..
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #3 on: January 12, 2007, 12:02:26 PM »
Reply with quote
Bohat Bohat Shukariya Pinky JI
and Nice 2 u.....


Ye mohabbat bhi kitna tadpati hai, Kabhi dil ko sehlati hai,
Kabhi dil ko jalati hai, Kabhi har shey par jeet dilati hai,
Kabhi jeet me bebas banati hai, Kabhi toofan me kashti ko paar lagati hai,
Kabhi saahil par aakar dil ki kashti ko dubati hai,
Kabhi zamane se ladna sikhati hai,
Kabhi ek shakhsh se dil ko harati hai.
Aksar  rehte hain khamosh aashiq
fir bhi na jaane kyun ye laakho sawal chhod jaati hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #4 on: January 12, 2007, 12:14:30 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoooooooooB HUM DUM JI..
behad khubsoorat kalaam likha hai aapne..

Pahali baar aapko padha aur padh kar bahut khushi
hui.. bahut acha likhte hain aap.........!!!!!!
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #5 on: January 12, 2007, 12:19:45 PM »
Reply with quote
Bohat Bohat Shukariya Vicky Saheb
gar aap bhi kuch likhe to hume sikhne ko milta?
Logged
pinky
Guest
«Reply #6 on: January 12, 2007, 08:01:13 PM »
Reply with quote
Quote from: "HUM_DUM"
Bohat Bohat Shukariya Pinky JI
and Nice 2 u.....


Ye mohabbat bhi kitna tadpati hai, Kabhi dil ko sehlati hai,
Kabhi dil ko jalati hai, Kabhi har shey par jeet dilati hai,
Kabhi jeet me bebas banati hai, Kabhi toofan me kashti ko paar lagati hai,
Kabhi saahil par aakar dil ki kashti ko dubati hai,
Kabhi zamane se ladna sikhati hai,
Kabhi ek shakhsh se dil ko harati hai.
Aksar  rehte hain khamosh aashiq
fir bhi na jaane kyun ye laakho sawal chhod jaati hai


Mohabbat ke sawaalon se kya sawal karna..
Inke jawaab to HumDum ki aankhon mein mil jaate hain..
Log khud hi dhoondte hain mohabbat ko duniya mein..
Phir khud hi iss jazbe ko badnaam kar jaate hain..
Logged
nikki
Guest
«Reply #7 on: January 12, 2007, 08:10:41 PM »
Reply with quote
superbbb Hum_dum ji n Gr8 Pinky dear...

yun ton nigah bhi jhuki hai aur dil ki dhadkane bhi khamoosh hain
magar main jaanti hun tum sab jaante ho
fir bhi na jaane kyun keh nahi paati
jab bhi karte ho tum apne dil ki baat mujhse
main chup ho jaati hun
shayad main uss baat ko baar-2 sunana chahti hun

dil dohrata hai tumhare kahe alfaaz
aur zubaan pe tale lagg jaate hain
hum bhi dekhte hain yeh hamare kaampte hue hoonth
kab talak humein aapko wahi baat kehne se rok paate hain
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #8 on: January 13, 2007, 12:38:06 PM »
Reply with quote
Quote from: "pinky"
Quote from: "HUM_DUM"
Bohat Bohat Shukariya Pinky JI
and Nice 2 u.....


Ye mohabbat bhi kitna tadpati hai, Kabhi dil ko sehlati hai,
Kabhi dil ko jalati hai, Kabhi har shey par jeet dilati hai,
Kabhi jeet me bebas banati hai, Kabhi toofan me kashti ko paar lagati hai,
Kabhi saahil par aakar dil ki kashti ko dubati hai,
Kabhi zamane se ladna sikhati hai,
Kabhi ek shakhsh se dil ko harati hai.
Aksar  rehte hain khamosh aashiq
fir bhi na jaane kyun ye laakho sawal chhod jaati hai


Mohabbat ke sawaalon se kya sawal karna..
Inke jawaab to HumDum ki aankhon mein mil jaate hain..
Log khud hi dhoondte hain mohabbat ko duniya mein..
Phir khud hi iss jazbe ko badnaam kar jaate hain..


teri wafaa ki daad main bohat lafz kehne hai
par kya kare teri badnaami se darete hain
dekhne na le koi aap ko humaari aankhon main
bus yahi sochkar hum nigah..e..jhukaye rakhte hain
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: January 14, 2007, 05:18:10 AM »
Reply with quote
bahoot khoob HumDum ji

yah line bahoot hi achi lagi.

Kuch Keh Rahi Hain Aapke Seene Ki Dhadkan.
Meri Sune To Dil Ka Kahaa Maan Jaaye.

--- bahoot acha likhte hai app.... apka Yoindia mai sawagat hai Usual Smile

Pinki bahoot hi ache jawab likhe hai apne...

Good work Both Usual Smile

Jaan kar dil ke raaz, juban aor khamosh ho gai
Nigah ne kahi dil ki baat, her taraf bahar ho gai

Her baat lage dil se shayari-e-gulzar ho gai
Rahguzar zindagi ki, Ishaq-e- khumar ho gai!!
Logged
pinky
Guest
«Reply #10 on: January 14, 2007, 12:22:08 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Pooja and Thanx ..

Thank You nikki..aapne bhi bahut achcha likha hai..
Usual Smile
Logged
pinky
Guest
«Reply #11 on: January 14, 2007, 12:25:57 PM »
Reply with quote
Quote from: "HUM_DUM"
Quote from: "pinky"
Quote from: "HUM_DUM"
Bohat Bohat Shukariya Pinky JI
and Nice 2 u.....


Ye mohabbat bhi kitna tadpati hai, Kabhi dil ko sehlati hai,
Kabhi dil ko jalati hai, Kabhi har shey par jeet dilati hai,
Kabhi jeet me bebas banati hai, Kabhi toofan me kashti ko paar lagati hai,
Kabhi saahil par aakar dil ki kashti ko dubati hai,
Kabhi zamane se ladna sikhati hai,
Kabhi ek shakhsh se dil ko harati hai.
Aksar  rehte hain khamosh aashiq
fir bhi na jaane kyun ye laakho sawal chhod jaati hai


Mohabbat ke sawaalon se kya sawal karna..
Inke jawaab to HumDum ki aankhon mein mil jaate hain..
Log khud hi dhoondte hain mohabbat ko duniya mein..
Phir khud hi iss jazbe ko badnaam kar jaate hain..


teri wafaa ki daad main bohat lafz kehne hai
par kya kare teri badnaami se darete hain
dekhne na le koi aap ko humaari aankhon main
bus yahi sochkar hum nigah..e..jhukaye rakhte hain


Jhuki nigahon mein bhi chehra tera rehta hai..
Meri khamoshi mein bhi zikra tera hi hota hai..
Tum kuch kaho na kaho mere HUMDUM..
Mera dil har baat tumhari sunta hai..
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #12 on: January 15, 2007, 10:46:29 AM »
Reply with quote
wah ji wah ab main kya jawab doon?
Logged
pinky
Guest
«Reply #13 on: January 15, 2007, 10:54:07 AM »
Reply with quote
kuch mat likho ji aap..
he he he :lol:
Logged
pinky
Guest
«Reply #14 on: January 15, 2007, 08:01:39 PM »
Reply with quote
Aankhon mein shararat hai,
hothon par muskurahat..
Chehre par ye shokhiyan,
Har ada mein hai mohabbat..
Ufff,Kuch to kaho HumDum mere..
Ye chuppi tumhari bhi hai
Ek ajab si aadat..
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:18:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer