Dil Karta hai!!

by thycreator on July 02, 2005, 06:27:22 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
ReplyPrint
Author  (Read 9138 times)
thycreator
Guest
«Reply #30 on: July 02, 2005, 02:20:23 PM »
Reply with quote
Wah Parker ji, Sandhaya ji, nikki ji.......kya bat hai......
Pyari ji........jindagi hoti hi hai jeene ke liye........;-)

Iss khushnuma mausam phir se mujhe tum yad aaye,
Jab chue hawa mujhko,teri chuan dil ko tadpaye,
Tanha hu mai iss mehfil mein,koi sathi na mera yahan,
Koi toh nahi hai jo mere iss tanha dil ko behlaye,
Ab aa jao mehboob mere, tere darash ko akhiyan tarsi hai,
Teri chahat ki yad liye, barson meri akhiyan barsi hai....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
arz karta hun by zafarzeeshan in Shayri for Khumar -e- Ishq
- Dil Karta Hai - by Meena in Shayri for Dard -e- Judai
*~*~*JeE kArTa HaI*~*~* by ghayal_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq
bas ek bar wapas lautne ka man karta hai by Sonia01 in Miscellaneous Shayri
~~TUMHE MAHSOOS KARTA HU~~ by baadal102 in Shayri for Khumar -e- Ishq
nikki
Guest
«Reply #31 on: July 02, 2005, 02:27:26 PM »
Reply with quote
very nice...........Thy............................... .........
Logged
thycreator
Guest
«Reply #32 on: July 02, 2005, 02:36:08 PM »
Reply with quote
Thanx a lot Nikki ji..........

Wo mehboob mera saare jahan se nirala hai,
Jo mai barson na keh paya,usne nigaho mein keh dala hai,
Kehti hai ki usko pyar hai mujh jaise deewane se,
Uss ek nazar mein jalim ne,mujko apna kar dala hai....
Logged
nikki
Guest
«Reply #33 on: July 02, 2005, 02:43:19 PM »
Reply with quote
kya baat hai......................aap to kamaal kar rahe ho aaj..................


manga hai usse khuda se
woh mil jaye to koi aur chahat nahi hai

uske liye fir jeena hai mujhko
uski khushi mein hi meri khushi hai
Logged
thycreator
Guest
«Reply #34 on: July 02, 2005, 02:58:37 PM »
Reply with quote
Thanx a lot.......apke sath ka asar hai shayad;-)

Uske pyar ki khusbu mein hum iss tarah se kho gaye,
Pehle toh aashiq the hum, ab deewane hi ho gaye,
Kaise sambhale khud ko, apna hi hosh na raha,
Usne bat aisi ki hum mare khushi ke ro gaye...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #35 on: July 02, 2005, 02:59:17 PM »
Reply with quote
Bohat achey thycreator, Sandhaya, Sandeep, Nikki & HumTum....
Logged
Talat
Guest
«Reply #36 on: July 02, 2005, 03:20:09 PM »
Reply with quote
Quote from: "thycreator"
Friends.......aaj bahut dino ke bad kuch likha hai, socha aap logon ke sath share karu........ur reactions awaited!!!

Aaj phir se hame iss mausam mein kho jane ko dil karta hai,
Teri inn naram se aagosh mein simat jane ko dil karta hai,

Khusnuma si fizayen hai, ek madhoshi ka aalam hai,
Inn barasti boondon mein bheeng jane ko dil karta hai,

Ye kaisa ik nasha sa hai mere iss jehen o dil par aaj,
Teri inn nasheeli aakhon mein doob jane ko dil karta hai,

Thama sa lagta har lamha, hawayein bhi kuch madhyam hai,
Aaj phir se mujhe tera aanchal lehrane ko dil karta hai,

Ek muddat se gulistan mein phool khil hi nahi paye,
Aaj phir teri hothon ki hansi churane ko dil karta hai,

Mera mehboob tu iss sare jahan se bhi nirala hai,
Tere har ik nazar pe mar mit jane ko dil karta hai,

Aaj phir se hame iss mausam mein kho jane ko dil karta hai,
Teri inn naram se aagosh mein simat jane ko dil karta hai…….


Bohot hi khoobsurat likha hai Amit.....really its simply beautiful !!!!!!!!!!!!!!! Usual Smile
Logged
thycreator
Guest
«Reply #37 on: July 02, 2005, 03:25:02 PM »
Reply with quote
Thanx a lot talat ji..........apki kuch lines ka intezaar rahega mujhe...............................
Logged
Talat
Guest
«Reply #38 on: July 02, 2005, 07:55:01 PM »
Reply with quote
Khusnaseeb hai wo jise tera pyaar mila hai
Daaman uska chaand sitaaron se bhara hai
Dua hai mere dil ki tere pyaar ko manzil mile
Tere masoom pyaar se mehki hui ye fizaa hai !!!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #39 on: July 02, 2005, 08:03:50 PM »
Reply with quote
too gud Talat sis.............................................. ............
Logged
thycreator
Guest
«Reply #40 on: July 03, 2005, 08:39:12 AM »
Reply with quote
Thanx a lot Aryaan ji...........aur talat ji, aapki toh bat hamesha hi alag rahi hai........bahut khoob...

Sath uska ho toh hum jami ko aasman mein mila de,
Iss soye hue samadar ke dil mein bhi jajjbat jaga de,
Tere pyar ki taaqat mein toh wo bat hai humdum,
Ki hum pahdon ka bhi seena cheer kar dikha de..........lollllllzzzzz........kuch jyada ho gaya;-)
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #41 on: July 03, 2005, 09:29:46 AM »
Reply with quote
excellent .........thy..................   bahot  acche  words aap  ne  likhe...........
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #42 on: July 03, 2005, 09:31:46 AM »
Reply with quote
excellent .........thy..................   bahot  acche  words aap  ne  likhe...........
Logged
Talat
Guest
«Reply #43 on: July 03, 2005, 10:57:53 AM »
Reply with quote
Thanks Nikki.........Amit........aur sab ne yahan bohot achcha likha hai.....!!!

Har pyaar ko manzil mile yeh zaroori to nahin
Magar pyaar ko manzilon ki zaroorat to nahin
Pyaar jazbaat ka milan hai khyaalat ka milan hai
Rooh main basa hai aisa kabhi mit ta hi nahin !!!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #44 on: July 03, 2005, 12:10:15 PM »
Reply with quote
Thanx a lot waheed bhai.........aur talat ji, bahut khoob......

Sach hai ki pyar uska mere rom rom mein bas gaya,
Wo aankhon se iss dil mein utra aur ghar kar gaya,
Kaise dhoondhu ab mai usko jo hai dunia ki bheed mein,
Ek jhalak dikahyi usne aur phir jane kahan wo kho gaya....
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 03:24:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer