Dil Karta hai!!

by thycreator on July 02, 2005, 06:27:22 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
ReplyPrint
Author  (Read 9137 times)
nikki
Guest
«Reply #45 on: July 03, 2005, 12:11:40 PM »
Reply with quote
too gud THY..........................very touching.....................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
arz karta hun by zafarzeeshan in Shayri for Khumar -e- Ishq
- Dil Karta Hai - by Meena in Shayri for Dard -e- Judai
*~*~*JeE kArTa HaI*~*~* by ghayal_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq
bas ek bar wapas lautne ka man karta hai by Sonia01 in Miscellaneous Shayri
~~TUMHE MAHSOOS KARTA HU~~ by baadal102 in Shayri for Khumar -e- Ishq
thycreator
Guest
«Reply #46 on: July 03, 2005, 12:21:13 PM »
Reply with quote
Thanx a lot nikki ji.........

Doondha jisko galiyon galiyon,
wo pyar mere dil mein hi raha,
Jo shaks kahi na mila mujhe,
wo aakar mere dil mein basa,
Kaise milta mehboob mera,
jisse dil se maine jane na diya,
Wo ab tak iss dil ka malik hai,
Ye dil uspe sajda karta hai,
Yaden uski mera haasil hai...
Logged
Talat
Guest
«Reply #47 on: July 03, 2005, 12:45:27 PM »
Reply with quote
Waah Amit......... Bohot achcha hai..............!!!

Wo jo hai basa dil main use dhoondte ho kahan
Wo to saanson main samaa gayaa hai tumhari
Kyun ghum karte ho jo nazron se hai wo ojhal
Band karke dekho, palkon ke peeche hai tumhari !!!
Logged
vaibhav7143
Guest
«Reply #48 on: July 04, 2005, 05:04:01 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Khusnaseeb hai wo jise tera pyaar mila hai
Daaman uska chaand sitaaron se bhara hai
Dua hai mere dil ki tere pyaar ko manzil mile
Tere masoom pyaar se mehki hui ye fizaa hai !!!!!


KHUSHNASIB HAI WOH JISKA TU NASIB HAI
USE AUR KYA CHAHIYE ZINDAGI MEIN
JISKE TU KARIB HAI
Logged
Talat
Guest
«Reply #49 on: July 04, 2005, 05:06:19 AM »
Reply with quote
Shukriya vaibhav !! and well said ...................!!!!!!!!!!
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #50 on: July 04, 2005, 09:36:02 AM »
Reply with quote
thanks nikki, creator and all friends thanks.


Har kisi ki kitaaboN mein murjhaae ghulaab nahiN hote  
Har kisi ki aaNkhoN mein 'MAUT' ke khwaab nahiN hote  
Mat poocho ke aansoo kitne bahe haiN aaj  
Har kisi ke ashkoN ke hisaab nahiN hote  
NM
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #51 on: July 04, 2005, 09:48:09 AM »
Reply with quote
Hisab rakhte hai vo har galti ka meri
pyar kitna hai hai iska unhe koi hisab nahi
hum tuh samjte hai unhe ek nayab hira
unke dil main mere ehsaason sa koi ehsaas hi nahi
Logged
vaibhav7143
Guest
hi
«Reply #52 on: July 04, 2005, 09:51:47 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandeepparker"
thanks nikki, creator and all friends thanks.


Har kisi ki kitaaboN mein murjhaae ghulaab nahiN hote  
Har kisi ki aaNkhoN mein 'MAUT' ke khwaab nahiN hote  
Mat poocho ke aansoo kitne bahe haiN aaj  
Har kisi ke ashkoN ke hisaab nahiN hote  
NM


PHIR NA SIMTEGI AGAR DOSTI BIKHAR JAYEGI
ZINDAGI ZULF NAHI JO PHIR SE SANWAR JAYEGI
JO KHUSHI DE TUMKO THAM LO DAMAN USKA
ZINDAGI RO KAR NAHI HANS KAR GUZAR JAYEGI
!~! !~! !~! !~! !~!
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #53 on: July 04, 2005, 09:54:03 AM »
Reply with quote
yah wahshat-e-dil hai....
ya ik tamannay-e-be-manzil hai
manzil to choRhiye,yah kis ne paayi
magar yah jo ik aarzoo-e-mustaqil hai...
ab isse kya ke kissi ne kya khoya kya paaya
ab isse kya ke kissi ke bas khhoya kuchh na paaya
ab to yah ehsaas bhi be-maani hai
ab to yah tassavur bhi qaatil hai
nm
Logged
thycreator
Guest
«Reply #54 on: July 09, 2005, 09:23:32 AM »
Reply with quote
Thanx a lot Talat............nice one from you too........
Nice contributions from sandhaya, sandeep and rest........

Wo aaj phir humse muhabbat ka sabab poochte hai,
Jo koi samajh hi nahi saka wahi matlab poochte hai,
Kaise bataye koi ki kissi se muhabbat kyu hai,
Mera dil lekar hathon mein,todne ka gajab poochte hai.....
Logged
Talat
Guest
«Reply #55 on: July 09, 2005, 11:53:34 AM »
Reply with quote
Thanks Amit............................................. ............. n good one again !!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #56 on: July 09, 2005, 12:05:38 PM »
Reply with quote
thanx a lot talat ji....................

Tumhari chah mein humne guzari umar hai ab tak,
Dekhna hai ki aage ye jindagi kategi kaise,
Gar taqat hai wafa mein meri toh tu bhi tadpegi,
Meri chahat ye sacchi hai yu mitegi kaise...
Logged
Talat
Guest
«Reply #57 on: July 09, 2005, 12:14:51 PM »
Reply with quote
Nice again !!!

Zindagi main to bas ek hi chahat hai humari
Sang guzre tumhare yeh zindagani humari
Ek baar aa kar dekho meri zindagi me tum
Tumpe qurbaan kar den hum khushiaan saari !!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #58 on: July 09, 2005, 12:23:28 PM »
Reply with quote
wah wah........kiske liye tha...;-)

Khushnaseeb hoga wo jinhe haasil tum ho,
Tumse chahne wale kahan milte hai aaj kal,
Hame bhi talash hai aise ek sathi ki aye dost,
Jis par  mar mitne ko ho jaye ye dil bekal......
Logged
Talat
Guest
«Reply #59 on: July 09, 2005, 12:29:02 PM »
Reply with quote
Hai koi Winking !!! Magar nahin hai !!!!!!!

Bohot achche Amit !!!!

Wo paas ho kar bhi humare bohot door hain humse
Hum keh bhi nahin sakte hain mohabbat hai tumse
Kabhi lagta hai ki ye tapish pighla degi wo pathar
Aur keh denge ek din wo "Mohabbat hai tumse" !!!!
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 02:34:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer