dil ki gali mein aaj phir......

by mudassirali on December 09, 2007, 04:52:01 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2244 times)
mudassirali
Guest
Reply with quote
dil ki gali mein aaj phir pey chal si sunaii di hai
merey dil ney phir se mujhey ishq ki duhaii di hai

karvat badal kar kal meri puri raat kati jab
subha honey par mujhey ishq ki razaaii di hai

kal jab mujh ko na chain tha need bhi koson duur thi
aawaz azaan ki thi ajab gunah kiya lori sunaii di hai

maaf karna merey dost dil ki aawaz nahin yeh
mainney hamesha har gunah ki kya safaii di hai

ronaq hai merey chehrey par sach ka bhi noor hai
sach ki seekh mujh ko meri maa sey sunai di hai

kehta hai "mahak" tumsey gar ghalat kabhi tum ho
sach kehnay pey allah ney bhi to mithaii di hai.



doston assalamalaikum ek ghazal pesh kari hai alag andaz mein likhney ki koshish dil mein kuch baat thi lafzon sey bayan kardi ummed hai ghazal pasand aaye ya na aaye baat zuroor pasand aaeygi.agar is ghazal ko koi sahab kisi achchey andaaz mein likhdein to mein unka bohot shukr guzar rahoonga. allah hafiz.
(Mudassir ali "Mahak")
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: December 10, 2007, 11:53:53 AM »
Reply with quote
doston assalamalaikum ek ghazal pesh kari hai alag andaz mein likhney ki koshish dil mein kuch baat thi lafzon sey bayan kardi ummed hai ghazal pasand aaye ya na aaye baat zuroor pasand aaeygi.agar is ghazal ko koi sahab kisi achchey andaaz mein likhdein to mein unka bohot shukr guzar rahoonga. allah hafiz.
(Mudassir ali "Mahak")

Bahut achhe khayaal hai gazal mein.. Usual Smile
Aap hi ke khayaal, thoda sa pher badal kiya hai isme... 
Koi galti ho toh... please maaf kariyega... Usual Smile


Dil ki gali mein aaj jo ajab si halchal sunaai di hai,
Lagta hai jaise humare dil ne ishq ki duhaai di hai...

Khayaalon  mein jiske badali karwate tamaam raat,
Usney subah hone par mujhe ishq ki razaai di hai...

Bechaini thi dil mein, neend aankhon se koson duur,
Phir bhi uski awaaz mein mujhe lori sunaai di hai...

Maaf karna doston, jo buri lage humare dil ki baat,
Begunaah ho kar bhi sada humne apni safaai di hai...

Nooraani sa lage chehra, ho sachhai agar dil mein,
Sach ki yeh seekh mujhko meri maa se sunaai di hai...

Woh kehte hai ada se, ki ab likhe bhi to kya likhe,
Har akhar mein tumhare "mahak" gazal dikhaai di hai...

Logged
baadal102
Guest
«Reply #2 on: December 11, 2007, 08:01:49 AM »
Reply with quote
BAHUT AACHE ALI JI.
&
SHIKHA JI
Logged
diya_barsat
Guest
«Reply #3 on: December 11, 2007, 08:02:48 AM »
Reply with quote
nice one guys
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: December 11, 2007, 10:52:39 AM »
Reply with quote
Mudassir and Shikha, very nice !
Logged
varunkumar06
Guest
«Reply #5 on: December 11, 2007, 12:23:10 PM »
Reply with quote
ver good
keeep in touch
Logged
mudassirali
Guest
«Reply #6 on: December 13, 2007, 03:14:56 PM »
Reply with quote
shikha ji aapney kafi umdaa tariqey sey meri likhi hui ghazal ko pesh kiya hai, balkey ya yoon kahein key ghazal ko sahi kar key pesh kiya hai. shukriya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: January 18, 2008, 11:01:32 PM »
Reply with quote
bahoot khoob mudassirali  and shikha!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:03:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer