DIl ki Kalam se

by nishita on December 15, 2004, 07:04:08 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 8195 times)
dolly
Guest
«Reply #60 on: December 23, 2004, 08:56:13 PM »
Reply with quote
aaye hai.........nahinji aapko to shaayari bilkul nahi aati.......bhai hum hi naadan hainji...kyon...

par itni aasani se peecha nahi chodenge,
chodenge tabhi jab aap humaara dil todenge..4 that any time
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
E-kalam by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Is Kalam Me....... by pawan16 in Shairi - E - Zindagi
Kalam..!! by Áɑѕӈίգ in Miscellaneous Shayri
KALAM by lehar srivastava in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
.{ Kalam Ruk Si Gayi Hai }. by Omi-Shru in Shayeri for Dard -e- Bewafai
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #61 on: December 24, 2004, 08:27:27 PM »
Reply with quote
Achchha ji!! :D  Aisa hai kya!!!!lolzzz :lol:

Dil to hum kisi ka kabhi nahin todenge!
Kuchh likh dein phir to aap peechha Chodenge!

Kyon theek hai na ji!lolzzzz :lol:  :lol:
Logged
dolly
Guest
«Reply #62 on: December 25, 2004, 06:55:43 AM »
Reply with quote
leejiye arunji...kehte hain dil na todenge,par dekhiye wahi kar rahein hain aap,
khair jo likh diye hain,uska ek hi jawaab hai humare paas....


gar kuch pasand na aaye,to mat likhiyega apni kalam se,
par agar kuch pasand aa jaaye,taarif zaroor kar deejiyega dil se,
jo kabhi kuch bhee na pasand aaye...maafi maang lengeji aapse,
aage kuch nahi likh rahi ....................is dar se,
kahin yeh na samajh baithein aap,ki peeche pad gayeen yeh phir se...

MERRY CHRISTMAS!!!!!

AB YEH NA PUCH LEEJIYEGA KI KAHAN SE AA GAYEEN AAP......

hum kahenge...

humaare sochne ya kehne se kya hota hai...
wahi hota hai jo manzoore khuda hota hai[/b]
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #63 on: December 25, 2004, 10:25:12 AM »
Reply with quote
Quote from: "dolly"
leejiye arunji...kehte hain dil na todenge,par dekhiye wahi kar rahein hain aap,
khair jo likh diye hain,uska ek hi jawaab hai humare paas....


gar kuch pasand na aaye,to mat likhiyega apni kalam se,
par agar kuch pasand aa jaaye,taarif zaroor kar deejiyega dil se,
jo kabhi kuch bhee na pasand aaye...maafi maang lengeji aapse,
aage kuch nahi likh rahi ....................is dar se,
kahin yeh na samajh baithein aap,ki peeche pad gayeen yeh phir se...

MERRY CHRISTMAS!!!!!

AB YEH NA PUCH LEEJIYEGA KI KAHAN SE AA GAYEEN AAP......

hum kahenge...

humaare sochne ya kehne se kya hota hai...
wahi hota hai jo manzoore khuda hota hai[/b]


Thanx N wishing Same for you also!!!

ha! ha! ha!  :lol: Very Smart Reply!!!! :lol:  :lol:
Vaise Humen maaloom hai kahan se aayi hain aap!!!! Lekinnnn! Chaliye chhodiye!!! Yeh dekhiye!!! :lol:

Kitne badal gaye hain woh haalat kee tarah,
Jab bhi mile, Mile hain pahlee mulaqaat kee tarah!

Hum kya kisi ke husn ka sadqaa utaarte,
Ik zindagee milee bhi to khairaat kee tarah!

Dil mein ghamon kee aag bhadkne lagee to hum,
Roye hain phoot phoot ke barsaat kee tarah!

Jab unkee anjumann se uthaaye gaye 'zafar'!
Laut aaye laut.tee hui baaraat kee tarah!


(Bahadur Shah Zafar)
Logged
khirbar
Guest
«Reply #64 on: December 25, 2004, 12:12:37 PM »
Reply with quote
hi  Usual Smile


Sab kuch tu tere pass hai
Tu phir kiyon dil udass hai?
Hai piyar bhi tere liye
Khayal bhi tere liye
Ye dil bhi tere pass hai
Tu phir kiyon dil udass hai?
Main sochta hoon bas tujhe
Main dekhta hoon bas tujhe
Jab mujh pe etebaar hai
Tu phir kiyon dil udass hai?
Hai zindagi tere liye Ye dil, khushi tere liye
Ye sab jo tere pass hai
Tu phir kiyon dil udaas hai?
Too neend main, tu khwab main
Too mere dasht-o-aab main
Har pal too mere saath hai
Tu phir kiyon dil udass hai?
Har simt hain gul khile houe
Hain dost bhi mile houe
Har simt piyar hi piyar hai
Tu phir kiyon dil udass hai?
Ye dil, khushi or etebaar
Ye dost, khwab or ye piyar
Sab kuch tu tere pass hai
Tu phir kiyon dil udass hai?


bye take care
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #65 on: December 25, 2004, 02:48:05 PM »
Reply with quote
waah ji!! Khirbar ji!!! Urs is an Nice Collection!!
Collection hi karte hain yaa kuchh likhte bhi hain!!!?
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #66 on: December 25, 2004, 03:15:12 PM »
Reply with quote
very nice  work arun bhai..........dolly....khirbar..............  :lol:
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #67 on: December 25, 2004, 05:40:26 PM »
Reply with quote
Shukriya Waheed Bhai!!!!
Logged
nishita
Guest
«Reply #68 on: December 27, 2004, 01:06:51 PM »
Reply with quote
very nice Usual Smile
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #69 on: December 27, 2004, 05:45:52 PM »
Reply with quote
Thanks Nishita ji!!! :lol:
Logged
nishita
Guest
«Reply #70 on: December 27, 2004, 06:21:28 PM »
Reply with quote
@ sharmaji


aapki hasi pe mar mit gaye hai hum
baat karke aapse bhool jaate hai saare gum

lol
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #71 on: December 27, 2004, 06:30:14 PM »
Reply with quote
Nishita ji! Aapki Taareef ke liye Shukriya!!! Usual Smile
Lijiye Yeh Banda Phir Hans Diya!!Lolzzzzz :lol:  :lol:  tongue3  :lol:  :lol:  :D
Logged
khirbar
Guest
«Reply #72 on: December 29, 2004, 07:35:42 AM »
Reply with quote
hi friends Usual Smile


jee sharma jee

bohat kaam likhta hoon jo likha hoon main nay app ki nazer ker diya karoon ga
ab to kibla app per monhiser hay kay janab ko mayri nazam kasi lagi
Umer kay samannder main
Zindagi kay dharay hai
lain phir eik taza taza nazam hai
i hope so u like it


"Ghayer say teyra ashna hona
Goyah acha hua bura hona


Kasi jankha hay zameer ki moth
Kitna assaan hay baywafa hona


Nasha-e-laztay gunah kay baad
Sakhat mushkill hay parasa hona

Admee ko khuda na dikhlayeh
Admee ka kabhi khuda hona

Dill ki batoon pay kon jay khirbar
Asay dushmaan ka dost kiya hona



ok bye take care
 Usual Smile
Logged
nishita
Guest
«Reply #73 on: December 29, 2004, 09:23:20 AM »
Reply with quote
her baat main her saans main
khuda ki kasam tum hi to hoo
meri her nazar main her fikar main
jo ik shakhs hai wo tum hi to ho
band ankh se jis ka sapna dekha
hakikate nazar wo tum hi to ho
nazar aata hai naam jo her satar main
her ik lafz wo tum hi to hoo
dour rhe ker bhi karib ho tum
dil main samaye bas ik tum hi to ho
mar jahen bin jis ke hum
wo akheri saans tum hi to ho.....

(NM)
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #74 on: December 29, 2004, 09:41:13 AM »
Reply with quote
wah!!!!!!!!!  khirbar........nishita.........  bahot khoob...

Youn dil ko har ek shaks par wara nahi karte
aankhon main har ek aqs utara nahi karte
honi hai to ek baar hi ho jaye mohabbat
Yeah bhool hai aisi kay dobara nahi karte...   (nm)
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:09:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer