Dil ki khwaishein

by Pooja on December 19, 2008, 05:32:35 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 15
ReplyPrint
Author  (Read 12337 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Kah jaaye wo jo hum sun.na chahte hai
Ya Rub bas yahi ek dua dil se hum chahte hai

Ankhein batati hai unki jo jo baatein
Hum bas ab unki juban se sun.na chahte hai

Chupate rahte hai, humse, aor dosto main shamil
Unki, bas unki zindagi main, shamil hona chahte hai

Apni chahto main qaid, na jaane kaya kaya khawab saja liye
Kar ke qaid unhe ab, her khawab unhe batana chahte hai

Hu madhosh mujhe nahi hai ab apni khabar koi
Bana kar unhe madhosh, dunia se bekhabar ho jaana chahte hai

Dil ki khwaishein na puche Pooja se ab koi
Unki saanso per apni zindagi chalana chahte hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
hazaaron khwaishein aisi... by diya786 in Ghazals
Dil ki khwaishein by smardia in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Khwaishein Huyee Na Kam by KOYAL46 in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: December 19, 2008, 05:42:06 PM »
Reply with quote
Really Nice Pooja Ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: December 19, 2008, 05:45:22 PM »
Reply with quote
Shukaria Rajesh ji, kuch dosto ko shikayat ho gai thi ki dard main bahoot likh rahi hu.. dosto ki shikayt door karne ke liye Ajj Khumar-e-Ishaq main he rahna hoga  DOH

Apni chahto main, aa teri chaht mila du
dekhu tujhe is tarah, yah dunia tumhe bhula du
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #3 on: December 19, 2008, 08:15:35 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

aapko khumar mein likha dekh accha laga,behtareen rachna.

kya kahe,kya na kahe,asmanjasta hein bani hui
 dil mein dabi baat,zuba se nikaal de yuhi?
bharam dil ka,bus bana rahe pal do pal
aasan nahi kisi ke dil mein kar paana dakhal!

madhoshi kuch ghari ki behka sakti hein zarror
kshanik bhar ka hota hein jaanta hu ye saroor
ghaavo pur marham bana ke unko sehlaana chahte he
kya hamaari zuba se woh yeh sub sun-na chahte he!!

Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: December 19, 2008, 08:23:47 PM »
Reply with quote
Shukaria Prateek ji!! Apki he kavita se prabhavit hokar is kavita ki rachna hui hai!!
Bahoot he simple shabdo main apne bahoot gahri baatein likh di hai.. Hamesha ki tarah bahoot khoobsurat kavita likhi hai apne, app bahoot jaladi offline ho jaate hai so jaladi main jo man mai ayya wo he likhne ja rahi hu


Her waqat jis ke shabdo main majbooti,
Kyun wo ajj sawalo ke majhdhaar hai
Dil main hai daba smundar pyar ka
Lubo per khamoshi ka sailaab hai

Asaan nahi hai kah dena, dil ke baato ko
Magar apne pyar se kyun inkaar hai
Ghavo ko na kuredo shabdo se
Inki dawa sirf ek tera Ikraar hai!!
 
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #5 on: December 19, 2008, 08:28:25 PM »
Reply with quote
aap ki kwaish bahut pyari hai. dua kartey hai puri ho sab.

hum lafzo sey bhi dua karengey
buss abb kal kuch likehengey


jasbir singh
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #6 on: December 19, 2008, 08:46:55 PM »
Reply with quote
waah pooja ji waah..bahut khoobsurat panktiyaan janm di he aapney.umda.

In bimaariyon ka ilaaj hi agar ikraar hai
to saaf sunlo,mujhko tumse pyaar hai!
teri takdeer ko pur kaise meri hatheli du main
jaanta hu haasil nahi mujhey kabhi bahaar hai!!

tum kyon sawaalon se joojhtey ho
samandar mein saahil khojtey ho?
doobney ko hum to kub se tayaar hai
bolo aisa saath tumko sweekar hai!!



Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: December 19, 2008, 09:03:52 PM »
Reply with quote
waah pooja ji waah..bahut khoobsurat panktiyaan janm di he aapney.umda.

In bimaariyon ka ilaaj hi agar ikraar hai
to saaf sunlo,mujhko tumse pyaar hai!
teri takdeer ko pur kaise meri hatheli du main
jaanta hu haasil nahi mujhey kabhi bahaar hai!!

tum kyon sawaalon se joojhtey ho
samandar mein saahil khojtey ho?
doobney ko hum to kub se tayaar hai
bolo aisa saath tumko sweekar hai!!



wow kaya baat hai, isko kahte hai nahle per dehla marna, bahoot khoob Prateek ji, thori deri ho gai jawab dene main, office main hu so kuch kaam karne lag gai thi, kaya majbooti dikhai hai apne shabdo main.. last ki do line main phir doobna kyun?

humm soch main daal diya apne Prateek ji, kis tarah jawab likhu...


Sun.ne ko taras rahe the jo shabd
Akhir wo kah daale tumne
Mere sawalo ki barsaat main
Pyar ke kuch chintein daale tumne

Takdeer badalti rahti hai
Kyun jawab takdeer per daale tumne
Na kabhi modna, munh humse
Sir ko jhuka, sath sweekara humne!!
 


Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #8 on: December 19, 2008, 09:51:35 PM »
Reply with quote
Nice Prateek ji and Good one from you Pooja Ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: December 19, 2008, 09:55:03 PM »
Reply with quote
Shukaria Rajesh ji!!
Logged
cara
Guest
«Reply #10 on: December 20, 2008, 01:05:35 AM »
Reply with quote
lovely--poojaji.

khawabome,khayalome,sansome,
dil ki har khawishhonme tu hi tu nazar aata hai.
Logged
gurinder
Guest
«Reply #11 on: December 20, 2008, 02:15:24 AM »
Reply with quote
beautiful  very niceeeeeeeeeeeeeeee
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #12 on: December 20, 2008, 10:29:03 AM »
Reply with quote
WAH WAH WAH, KYA PYARI MEHFIL SAJI HAI
BUSS KUCH HAATI, GHODEY, BAND BAJOH KI KAMI HAI
KHWAISH SAB KI HO JAYE PURI
DUA HAI RABB SEY,NA KISI KI AAS RAHEY ADHURI

JASBIR SINGH
Logged
diya786
Guest
«Reply #13 on: December 20, 2008, 01:28:06 PM »
Reply with quote
Kah jaaye wo jo hum sun.na chahte hai
Ya Rub bas yahi ek dua dil se hum chahte hai

Ankhein batati hai unki jo jo baatein
Hum bas ab unki juban se sun.na chahte hai

Chupate rahte hai, humse, aor dosto main shamil
Unki, bas unki zindagi main, shamil hona chahte hai

Apni chahto main qaid, na jaane kaya kaya khawab saja liye
Kar ke qaid unhe ab, her khawab unhe batana chahte hai

Hu madhosh mujhe nahi hai ab apni khabar koi
Bana kar unhe madhosh, dunia se bekhabar ho jaana chahte hai

Dil ki khwaishein na puche Pooja se ab koi
Unki saanso per apni zindagi chalana chahte hai


BAHUT KHOOB POOJA JI
AAPNE BAHUT ACCHA LIKHA HAI
KEEP GOING
Applause Applause
Logged
diya786
Guest
«Reply #14 on: December 20, 2008, 01:31:58 PM »
Reply with quote
waah pooja ji waah..bahut khoobsurat panktiyaan janm di he aapney.umda.

In bimaariyon ka ilaaj hi agar ikraar hai
to saaf sunlo,mujhko tumse pyaar hai!
teri takdeer ko pur kaise meri hatheli du main
jaanta hu haasil nahi mujhey kabhi bahaar hai!!

tum kyon sawaalon se joojhtey ho
samandar mein saahil khojtey ho?
doobney ko hum to kub se tayaar hai
bolo aisa saath tumko sweekar hai!!





BAHUT ACCHE PRATEEK JI
AAPNE BHI KAMAAL KA LIKHA HAI
Applause Applause

Kaise kahein yeh kaisa pyar hai tumhara
nigahon mein chupa hua ikraar hai tumhara

Yakeen karo apni is mohabaat pe
ise bhi intezaar hai tumhara


Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 15
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:32:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer