Dil ki khwaishein

by Pooja on December 19, 2008, 05:32:35 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 15
ReplyPrint
Author  (Read 12130 times)
_Vicky_
Guest
«Reply #45 on: December 22, 2008, 05:29:47 PM »
Reply with quote
Lagta hai aaj aaapka Qatl karne Ka Poora Poora Iraada hai.. hahaha
Aapke Jawaab to Masha-allah.. Behad Khubsoorat..!!


Ek Shikayat Tere Iqraar Se, Humen Ho Gai Sanam,
Kyun yeh Zubaan se apni, Tumne Baat Na Kahi.....

Hum To Tere Thirakte Labon Ko hi Takte Raha Gaye,
Aur wo Baat Tune, Aankon se Aankhen Mila ke Kahi..!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
hazaaron khwaishein aisi... by diya786 in Ghazals
Dil ki khwaishein by smardia in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Khwaishein Huyee Na Kam by KOYAL46 in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Pooja
Guest
«Reply #46 on: December 22, 2008, 05:30:25 PM »
Reply with quote
shukaria veer ji!!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #47 on: December 22, 2008, 05:31:55 PM »
Reply with quote
Vicky aaj kya pee kar aaye ho bhai Winking Usual Smile

Excellent ! Applause
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #48 on: December 22, 2008, 05:32:18 PM »
Reply with quote
oye hoye !

Aaj to dhamaal par dhamaal ho rahi hai Winking Applause Applause

Bahut dino baad kuch sama bandha hai ek baar phir se tongue3

Lage raho Thumbs UP

Raj Bhai Aap yunhi Hausla Badhaate raho.. Hum Sama Baadhte rahenge..!!

Bahut Bahut Shukriya..!!

**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #49 on: December 22, 2008, 05:34:26 PM »
Reply with quote
Vicky aaj kya pee kar aaye ho bhai Winking Usual Smile

Excellent ! Applause

Hahahahaha.. Raj Bro Yeh Kamaal to Pooja Ji Ki shayari ka Hai.. jo Bin piye hi Sharaabi bana deta Hai..!! Shukriya..!!

**~** Mann **~**
Logged
Pooja
Guest
«Reply #50 on: December 22, 2008, 05:36:07 PM »
Reply with quote
Lagta hai aaj aaapka Qatl karne Ka Poora Poora Iraada hai.. hahaha
Aapke Jawaab to Masha-allah.. Behad Khubsoorat..!!


Ek Shikayat Tere Iqraar Se, Humen Ho Gai Sanam,
Kyun yeh Zubaan se apni, Tumne Baat Na Kahi.....

Hum To Tere Thirakte Labon Ko hi Takte Raha Gaye,
Aur wo Baat Tune, Aankon se Aankhen Mila ke Kahi..!!


wah ji wah.. humari baat hum per.... bahoot khoob Mann ji

kahte rahe hum to, nadan-e-dil tera samjha hi nahi
zuban per laate kaise baat, lubo ne tere jab kuch kaha hi nahi

thirakti rahi baat lubo per, humare lubo ko kabhi samjha hi nahi
milai jo ajj ankhon se ankhein, to raha koi ab parda hi nahi

Logged
Pooja
Guest
«Reply #51 on: December 22, 2008, 05:38:37 PM »
Reply with quote
Hahahahaha.. Raj Bro Yeh Kamaal to Pooja Ji Ki shayari ka Hai.. jo Bin piye hi Sharaabi bana deta Hai..!! Shukriya..!!

**~** Mann **~**

 DOH DOH DOH

wo ek shair kaha hai... shayad thik se yaad nahi.. app wo he baat kar rahe hai mann ji

Wo qatal bhi karte hai to churcha nahi hota
humne ahh bhi kar di to badnaam ho gaye..
something like this.....


Mann ji app likhte he itna khumar se bhara hai ki parr kar apne app jawab khumar main aa jaata hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #52 on: December 22, 2008, 05:45:21 PM »
Reply with quote
Hahahahaha.. Raj Bro Yeh Kamaal to Pooja Ji Ki shayari ka Hai.. jo Bin piye hi Sharaabi bana deta Hai..!! Shukriya..!!

**~** Mann **~**

kar ke hume madhosh, ilzaam hum per lagaya hai
wah re Ashiq, kaya husan ko behkaya hai

ek teri najar ka jaadu, jo kar baithe khata hum
dekhon to kis kadar, jamane ko samjhaya hai

na muskura ab, door door se un dekh kar humko
de de panah seene main, sir haya se jhuk ayya hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #53 on: December 22, 2008, 05:50:23 PM »
Reply with quote
Hahahahaha.. Pooja Ji.. Ab maine Kuch Galat to Nahi Likha na..!! Aapki Shayari Waqai Mohabbat ke nashe Me Jhoomne ko Majboor Kar deti hain..!! Khair..!!

Yeh Jawab Bhi aapne Bahut Pyaara likha hai.. maza aa gaya..!!

Iqraar-e-Mohabbat, aaj Tere Labon se Sun Kar hi jaunga,
Warna Poori Raat Aaj, Tere Darwaaze Par Guzaar jaunga....

Kaha Nahi Sakte Gar, To Baahon me Hi Bhar Lo Humen,
Tum Kuch Na Bologi, Main Phir Bhi Sab Samajh Jaunga...!!


chalo Itna to kar hi do na.. Gar Bol Nahi sakti ho to.. hahaha

**~** Mann **~**


Logged
Pooja
Guest
«Reply #54 on: December 22, 2008, 06:05:15 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
wah wah wah kay abaat hai.... bahoot khoob MANN JI..bahoot he payara jawab likha hai apne..

apne shabdo ki jadugari main, phir se husan ko behkaya hai
Iqraar-e-bahane se, dekho kis kadar apne pass bulaya hai

khud jise kahne main, hume barso intzaar karwaya hai
kis andaaz se ussi baat ko, hum per barpaya hai

na bolege hum bhi, jab tak na khud kuch kah jaao
dekhein to sahi, deewanapan tera kaha tak charr ayya hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #55 on: December 23, 2008, 05:29:54 AM »
Reply with quote
wah ji wah kya khoob rep diya hai
bolti band kardi ab kya jawab du?

Koshish Karta Hoon Ji Galti Maaf Ho...


Main Dhoop Bhare Raston Se Chalke Aaya Hoon
Ab Ho Sake To.e.Dilbar Tum Mera Saaya Ban Jaao.

Kya Hota Hai Intazaar Aur Ye Dard.o.Ghum Ka Maza
Sab Jaan Jaaoge Bas Ek Bar Mujhe Gale Se Lagaao


wah kaya baat hai.. shihab ji ... bahoot khoob!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #56 on: December 23, 2008, 04:12:42 PM »
Reply with quote
Aa Jaiye Pooja Ji.. Hum Kaagaz Kalam Dawaat aur Khud bhi lekar aapki Mehfil aa gaye Hain.. Hahahaha
Bahut Khubsoorat Jawab likha Hai aapne.. Ab yeh samajh nahi aa raha ki wah wah kitni baar likhun..!!


Bahak Gaye Kadam, Tere Husn ki Adaakari se,
Izhaar Kar Gaye Hum, Teri Aankhon Ki Khumari se...

Phir Bhi Tera Iqraar Bhara ek Jawaab Na aaya,
Be-Maut Mar Gaye Hum, Tere Ishq ki Beqaraari se...!!

Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #57 on: December 23, 2008, 04:17:53 PM »
Reply with quote
wah kya baat kahi hai MANN, bahut hi badiya


Jasbir Singh
Logged
Pooja
Guest
«Reply #58 on: December 23, 2008, 04:29:17 PM »
Reply with quote
Aa Jaiye Pooja Ji.. Hum Kaagaz Kalam Dawaat aur Khud bhi lekar aapki Mehfil aa gaye Hain.. Hahahaha
Bahut Khubsoorat Jawab likha Hai aapne.. Ab yeh samajh nahi aa raha ki wah wah kitni baar likhun..!!


Bahak Gaye Kadam, Tere Husn ki Adaakari se,
Izhaar Kar Gaye Hum, Teri Aankhon Ki Khumari se...

Phir Bhi Tera Iqraar Bhara ek Jawaab Na aaya,
Be-Maut Mar Gaye Hain, Tere Ishq ki Beqaraari se...!!



Lijiye aa gaye hum bhi... shukaria janab apko jawab pasand ayya... kaha app khumar-e-King aor main dard main likhne wali.. such main bahoot mushkil ho jaata hai apke sath khumar main likhna kai baar.. app ke khumar ka bhandaar hai aor mujhe khayalo khawabo ko jhinjhor jhinjhor ka shabdo ko khojna padta hai.. bahoot he acha jawab likha hai apne hamesha ki tarah...

ankhon ko yah khumar teri deewangi de gai
dekha tumne is tarah, rooh meri, teri ho gai

Iqraar-e-Ijhaar to bas ek bahana hai e-sanam
jante hai hum, pahli najar main he, humari takdeer ek ho gai


Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #59 on: December 23, 2008, 04:32:07 PM »
Reply with quote
Lijiye aa gaye hum bhi... shukaria janab apko jawab pasand ayya... kaha app khumar-e-King aor main dard main likhne wali.. such main bahoot mushkil ho jaata hai apke sath khumar main likhna kai baar.. app ke khumar ka bhandaar hai aor mujhe khayalo khawabo ko jhinjhor jhinjhor ka shabdo ko khojna padta hai.. bahoot he acha jawab likha hai apne hamesha ki tarah...

ankhon ko yah khumar teri deewangi de gai
dekha tumne is tarah, rooh meri, teri ho gai

Iqraar-e-Ijhaar to bas ek bahana hai e-sanam
jante hai hum, pahli najar main he, humari takdeer ek ho gai



wah wah, bahut khoob kaha aap neh JI

Jasbir Singh
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 15
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:18:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer