Pooja
Guest
|
«Reply #30 on: October 09, 2004, 09:46:15 PM » |
|
is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai goyaa kii muhabbat nahii.n ehasaan kiyaa hai
sochaa thaa ki tum duusaro.n jaise nahii.n hoge tum ne bhii vahii kaam merii jaan kiyaa hai wah!!! bahoot khoobbbbbbb........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
qakhs
Guest
|
|
«Reply #31 on: October 10, 2004, 07:10:55 AM » |
|
" MOHABAT 1 mohabat karnay kay liay kisi ko majboor mat karo yah to dil say jagti hai
POETRY 1 dost agher usay gum na tha humsay Bicharnay ka to kio door tak daithta raha ankh bhar kay mujhay 2 bara naz tha jinay apnay parday ka nasir aaj raat wo khowab may sar-i-aam chalay aaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #32 on: October 10, 2004, 10:43:26 AM » |
|
Nice Qakhs...............bahot khoob likha aap ne.........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #33 on: October 10, 2004, 10:45:09 AM » |
|
Sahil se bichharr kar mojoon ne Kishti ko kinaara jaan liya
Thi jis ko sahaarey ki haajat Khud us ko sahaara jaan liya
Jo naqsh dil pa hon wo dkhay nahi jatay Kuch log kisi hal mein bohlay nahi jatay
Ay hon jo kabhi zindagi mein roshni ban kar Wo log kisi taur boohlay nahi jatay ..............
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #34 on: October 10, 2004, 02:42:15 PM » |
|
jis simt bhi dekhoon nazar aata hai ke tum ho ai jaan-e-jahaan ye koi tum sa hai ke tum ho ye khwaab hai khushbu hai ke jhonka hai ke pal hai ye dhundh hai baadal hai ke saaya hai ke tum ho (NM)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #35 on: October 10, 2004, 04:06:02 PM » |
|
wow...........talat...........wah!!!!!!!!
main bhi hoon is daur ka sehma hua insaan thode se tabasum ki zarurat hai mujhe bhi.............
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #36 on: October 11, 2004, 06:46:20 AM » |
|
Well said....
hum ghazal main tera charcha nahin hone dete teri yaadon ko bhi ruswa nahin hone dete (NM)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
diljala
Guest
|
|
«Reply #37 on: October 11, 2004, 08:02:39 AM » |
|
Well Talat Hi Aap ke liye
Kafas Udas Hai yaaro, Subah Se Kuch To Kaho Kahin To Behr-E-Khuda Aaaj Zikr-E-Yaar Chale
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #38 on: October 11, 2004, 04:03:48 PM » |
|
" MOHABAT bara naz tha jinay apnay parday ka nasir aaj raat wo khowab may sar-i-aam chalay aaye WAH!!!!! QAKHS!!! BAHOOT KHOOB LIKHA.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #39 on: October 11, 2004, 04:06:49 PM » |
|
Nice Talat, Waheed_rose and Diljala ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
qakhs
Guest
|
|
«Reply #40 on: October 11, 2004, 04:32:47 PM » |
|
raqs karane kaa milaa hukm jo dariyaao.n me.n ham ne Khush hoke bha.Nvar baa.Ndh liye paon me.n
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #41 on: October 12, 2004, 06:38:39 AM » |
|
Thanks Waheed....Diljala & Pooja..
Nice one waheed Diljala & qakhs
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #42 on: October 12, 2004, 07:58:23 AM » |
|
Thanx Pooja..........Talat.......................
Yeh Ek Nazar Jo Dareechoun Ko Phaand Nah Payee Kisi Ki Chaah Ka Shayed Keh Imtehaan Hoga Woh Aankh Jis Ko Muhabbat Ki Aankh Kehtay Hain Basi Ho Shehr Main Phir Bhi Yeh Baya Baan Hoga……….
|
|
|
Logged
|
|
|
|
diljala
Guest
|
|
«Reply #43 on: October 12, 2004, 08:16:37 AM » |
|
Thanks to all
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa....... Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa.... Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa ......... kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa..... ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa... ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #44 on: October 16, 2004, 06:05:40 AM » |
|
wah!!!! bahoot khoob...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|