Dil lelo...

by Ravi_Dave on January 06, 2007, 07:59:07 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1249 times)
Ravi_Dave
Guest
Reply with quote
Dil lelo humein dhadkan ki fikar nahi,
chain lelo humein tadpan ki fikar nahi,
aap ki nashili aankhon ne yun paagal kiya (2)
rooh lelo humein tan ki fikar nahi,

Roop lelo humein husn ki fikar nahi,
zindagi lelo humein jatan ki fikar nahi,
aap ki kaheen baaton ne deewana banaa diya (2)
beshumaar pyaar lelo humein paagalpan ki fikar nahi,

Lahoo-e-phool lelo humein dil-e-gulshan ki fikar nahi,
khushboo-e-jigar lelo humein tan, man ki fikar nahi,
yeh haseen raaton ne yun aap ka pataa diya (2)
sare rishtey lelo humein ab kisi aur bandhan ki fikar nahi!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ye digri bhi lelo by samnoj in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
nahi tumse mohhabat he,chaho toh kasam lelo by Prateek Mardia in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
** Aa Kar Lelo Zaraa Tu Hamari Khabariya** RH by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
ISHQ KE SAARE IMTEHAAN LELO by F.H.SIDDIQUI in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
sath hume bhi lelo by premshankar in Other Languages
FAREE
Guest
«Reply #1 on: January 08, 2007, 06:17:28 PM »
Reply with quote




Talaash Karo Koi Tumhein Mil Jayega

Magar Hamari Tarah Tumhein Kaun Chahega

Zaroor Koi Chahat Ki Nazar Se Tumhein Dekhega

Magar Hamara Dil Kahan Se Layega.












Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: January 09, 2007, 04:38:16 PM »
Reply with quote
Quote from: "Ravi_Dave"
Dil lelo humein dhadkan ki fikar nahi,
chain lelo humein tadpan ki fikar nahi,
aap ki nashili aankhon ne yun paagal kiya (2)
rooh lelo humein tan ki fikar nahi,

Roop lelo humein husn ki fikar nahi,
zindagi lelo humein jatan ki fikar nahi,
aap ki kaheen baaton ne deewana banaa diya (2)
beshumaar pyaar lelo humein paagalpan ki fikar nahi,

Lahoo-e-phool lelo humein dil-e-gulshan ki fikar nahi,
khushboo-e-jigar lelo humein tan, man ki fikar nahi,
yeh haseen raaton ne yun aap ka pataa diya (2)
sare rishtey lelo humein ab kisi aur bandhan ki fikar nahi!


wah bahut khoob..[/color]

Ye dil teri aahon mein asar hai ki nahi !!??
Unko mere es gam ki khabar hai ki nahi>.!!??
[/color]
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #3 on: January 10, 2007, 11:01:09 PM »
Reply with quote
Bohat Khoob FareeJi and RojaJi aur Shukhriya,

Tum dard-e-dil de jaate ho chupke se,
phir bhi sangdil nazar aate ho chupke se,
chaudo bhi yeh chupke chupke sataana (2)
humein khulke gham dejaawo, humein zakhm-e-baadal ki fikar nahi,

Kabhi muskurado hamari bhi taraf sanam (2)
ke hum khushi se paagal ho jaaye, phir bhi humein shokh se ghaayal hone ki fikar nahi!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:19:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer