Rajesh Harish
Guest
|
Dil sambhalta hoon par sambahta nahi Aap ko ek baar dekhne ki badi laalsa thi Ho sake hamari galiyon se guzarna sahi Dil sambhal kar may chala jaunga kahin
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #1 on: October 30, 2008, 11:09:03 AM » |
|
Barson ke baad dekha Aik shakhs Dilruba saa Ab zehen mein naheen hai per naam tha bhala saa
Ubroo khichey khichey sey Aankhain jhuki jhuki see Baatein ruki ruki see Lehja thaka thaka saa
Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa
Khawabon mein khawab Uss ke Yaadon mein yaad uss ki Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa
Pehley bhi zindagi mein kitney hee loug aaey Woh her tarha sey lekin auron sey tha juda saa
Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen Taaza Rifaaqaton sey Dil tha dara dara saa
Ab such kahein tou yaaro Hum ko khaber naheen thi Bun jaaey ga qayamat Aik waaqaya zara saa
Taywer thay berukhi key andaaz dosti ke Woh ajnabi tha laikin lagta tha Aashna saa
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
honeyrose
Guest
|
|
«Reply #2 on: October 30, 2008, 11:11:26 AM » |
|
Bohat khoob Rajesh ji
Nice sharing Rishi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajesh Harish
Guest
|
|
«Reply #3 on: October 30, 2008, 11:22:06 AM » |
|
Dil todhne wale tujhe dil doondh raha hai Ab hume batao ki tumhara wada kahan hai Jo tum ne kiya tha jab hum mile the paheli baar Aaj toota dil lekar hum kar rahe hai tera intezaar
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #4 on: October 30, 2008, 11:25:53 AM » |
|
WOH MERA THA YEH BATANA AJEEB LAGTA HAI AB US SE AANKH MILANA AJEEB LAGTA HAI
JO ZINDAGI MAI KABHI BHI MERA HO NA PAYA AB US KA KHWAAB MAI AANA AJEEB LAGTA HAI
BARAY KHULOOS SE DAWAT TO US NE BHEJI HAI PAR US KI MEHFIL MAI JANA AJEEB LAGTA HAI
THA JIS KA HAATH HAMESHA HAMARAY HAATHOO MAI AB US SE HAATH MILANA AJEEB LAGTA HAI
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajesh Harish
Guest
|
|
«Reply #5 on: October 30, 2008, 11:36:50 AM » |
|
Dil lekar jab se tu gayee hai kuch soojhta nahi Tardpan badh gayee hai tera dil roothne laga hai Mera dil mujhe waapas kardo aur kuch chaha nahi Jab tu bewafa hai to mere liye aur koi hoga kahin
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #6 on: October 30, 2008, 11:39:29 AM » |
|
Aiy mairy humnasheen chal kahen aur chal iis chamn mein ab apna guzaraa nahey baat hotii guloon tak to seh laitay hum ab to kantoon pay bhi haq humara nahey
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajesh Harish
Guest
|
|
«Reply #7 on: October 30, 2008, 11:42:50 AM » |
|
Dil diya tha yaar ko samajh kar may dildaar Us ne usse phenk diya jaise tha wah bekaar Ab to lagta hai yahan koi nahi hai madadgaar Jinhe apna yaar samjha woh bhi nikla gaddaar
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #8 on: October 30, 2008, 11:43:52 AM » |
|
Teray firaaq key lamhey shumaar kartey howe Bikhar chalein hein terra intazaar kartey howe
To mein bhii khush hoon koi uss sey gaa key keh denna Agaar woo khush hey mujhey beqaraar kartey howey
Tumhein khabar he nahin key koi toot gayya Muhabbatoon ko buhat paeydar karteey howey
Mein muskarata howwa aeenay mein ubhroon gaa Wo roo parey gii acchanak singhar kartey howey
Mujhey khabar thi key abb loot kar naa aaoon gaa Soo tujh koo yaad kia dil pey war kartey howey
Woo keh rahhi theey samandar nahin aankhen hein Mein unn mein doob gayya aetibaar kartey howey
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajesh Harish
Guest
|
|
«Reply #9 on: October 30, 2008, 11:46:00 AM » |
|
Nice sharing Rishii
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #10 on: October 30, 2008, 11:46:34 AM » |
|
na hareef-e jaan, na shareek-e ghum shab-e intizaar, koi to ho kisay bazm-e shock main layain hum dil-e bay karar koi to ho
kisay zindagee hay azeez ab kisay aarzoo-aay shub tarab magar aay nigaray wafa talab tera aitabar koi to ho
kaheen tar-e daman-e gul milay tu yeh maan lain k chamman khilay k nishanay fasl-e bahaar ka saray shakhsar koi to ho
yeh udaas udaas say bam-o-dur yeh ujaar ujaar c rah guzar chalo hum naheen na sahee magar sarray koo-aay yaar koi to ho
yeh sakoon-e-jaan kee gharee dhalay to charagay dil hee na bujh chalay woh bala say ho ghum-e-ishq ya ghum-e-rozgar koi to ho
sarray maqtalay shab-e-aarzoo rahay kuch to ishq kee aabroo jo naheen adoo to faraz tu k naseeb-e-daar koi to ho
Thanku Sir Ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajesh Harish
Guest
|
|
«Reply #11 on: October 30, 2008, 11:58:44 AM » |
|
Tara ka tootna sabhi ne dekha Dil ka tootna kisi ne na dekha Ab hum jee kar kya karenge Jab hamara dil hi toot gaya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #12 on: October 30, 2008, 12:01:22 PM » |
|
main dhoubh jaoun teri ein jheel sii gahri ankhoun main phir apni barbadi ka Eilzam teray nam kar doun
main apni Rouh koo teray Wajood mai bhar doun phir apni zaat apna har payam teray naam kar doun
tou mojhay mouhubat ka aghaz day sanam main apnay payar ka anjam teray naam kar doun
mouhobatoun kay qaseeday likhoun teri sana mai hazaron payar kay paygham teray naam kar doun
hou jis ka zikar mouhubaat kii har kahani mai eik aysa payar ka paygham teray naam kar doun
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
Rau: 14
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.
Posts: 19903 Member Since: Feb 2006
|
|
«Reply #13 on: October 30, 2008, 12:21:57 PM » |
|
Bahoot Badhiya Dono Ne Achcha Likha Hai,. Good Going Yaar Yunhi Likhte rahiye,.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #14 on: October 30, 2008, 12:44:50 PM » |
|
Yaadon Sey Rishta Kal Bhi Tha Yaadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha Dil Afsurdaa Sa Aaj Bhi Hai
Tum Door Huvey Majboori Mein Hum Toot Gaye Is Doori Mein Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana Ye Dil Ka Dar Vaa Aaj Bhi Hai
Woh Sahil Woh Mitti Geeli Mitti Ke Gharondey Sahil Per Sahil Ki Bipherti Mojoon Se Gharondon Ko Bachana Aaj Bhi Hai
Tum Khush Ruho Abaad Ruho Dil Apna Tu Barbaad Huva Gham Dil ka Sahara Kal Bhi Tha Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai
Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain In Aankhon Mein Jo Kal Tuk Tha Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai
Ab Shikva Kisi Se Kya Karna Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila Gham Kal Bhi Mera Sarmayaa Tha Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|